Search This Blog

Saturday, April 30, 2016

khud apne hone ka jise guman ho ...................



aye  meri udasiyo  mai udaas hun
Mai mahaz  khushi ka qayaas  hun
khud apne hone ka ho gumaan jise
Ek aise samandar ki mai pyaas hun
dhundta phirta hai jise khud apna dil 
Ho na ho kisi aur ka mai ehsaas hun
raas  aaye na jise rang na gulsitaan
usi nasib-e-dushmanaan ka qasaas hun
theen jiski haqeeqatein bhi khwaab si
usi junun ka mai utra hua libaas hun
mujhe azmaate rahe qismat ki tarha
aye charagar mai tumhari asaas hun

Thursday, April 28, 2016

Ummid mujhe zara itna bata..........



ummid mujhe zara itna bata
ummid ka kaise milta hai patta
ummid ka daman dhunde hai koi
fermaa de karam ab na usko sataa

ek sawaali aur do do haath
phir bhi khaaye taqdeer say maat
ek arsh per hi nahi rab ki zaat
ankh bhi tu aur tu hi barsaath

is khamoshi si khamoshi may
ek sargoshi si achanak ubhri hai
kahin koi rudaad sunaane waala hai?
teri dua ab meri khahish tehri hai

chalo pehchan liya maine tum ko
ab ye ankh micholi rahne do
jo tumne itne barson may na kaha
khudara aaj mujhe vo kehne do

ek nazara ojhal tha ek ayaan 
jo na samjha, tha uska bayan
na hona tha maqsad ka zyaan
paa liye tujh may dono jahaan