Search This Blog

Thursday, January 18, 2024

Ek ajeeb sa khula hai...





Ek ajeeb sa khula hai

Akhir aisa kyon bhala hai

Jisey bhi kuch mila hai

Bas yehin pe mila hai

-------------------------------

shab-o-roz ki musalsal 

amad-o-raft bhi na badli

bas hum badal gaye hain

chachahati zindagi say

apni udaanein nikal gaii hain

kya khoob din they vo bhi

lagta hai din badal gaye hain

chahaton ki chathon say

risti huii udasiyon may

hum khamosh dhal gaye hain

kya koi khushgawar mosam 

humein bhi kabhi mila tha

mohabbaton ki baarishon may

kya kabhi ye dil jala tha

haan yaad kar rahe hain

jugnuon chaand taaron ki humnasheeni

kabhi hum bhi they teri sangaton may

bojhal madhoshiyon ke haseen jhuley

sehen-e-dil per ab bhi padey huye hain

magar khayal khud may simat gaye hain

kya waqt ki badalti hai chaal yon bhi 

yaadon may bhi sab bikher gaya hai

aah zindagi tu tou waqi mokhtasar hai

khud tujh ko kal ki khabar nahi hai

tune chin lein mujh se meri bahahrein

na vo khwab baqi na unke sahaarey

laikin itna zarur aye dil hua hai

dil ki kashti lag gaii kinaarey

teri muskurahaton ne kaha hai

tere yaqeen ko manzil mili hai

deewanon ki gali hi rab ki gali hai

derd ke maaron ko saughat ye mili hai