Search This Blog

Sunday, April 28, 2019

rang-o-buu ke rasiya...................



rang-o-buu ke rasiya
rang le kar rahenge
gar haath aagaye kisi ke
phir saare rang bahenge
ab talak chor they sipahi
ab kis aad may chupenge
zara daman bacha ke chalna
daagh dil ke chut na sakenge
shauq inka lamhon ka kheil hai
kisi daal per do pal nahi rukenge
in waqfon ki kahani mokhtasar hai
laikin inhi may ye sadiyan jiyenge
ye farakh-dil humwatan hain,kahenge
hum jahan hain hamare rasya rahenge
baad muddat ke haath aaya hai mosam
jo hum ko mila hai dete huye chalenge

Thursday, April 25, 2019

kya chahata hai aye dil....




ek sakta hai ke taari hai
her lamha soch per bhari hai
--------------------------------------
Us ne aye dil kahan socha tha
khud boye they shajar jo usne
saayon ko tarsaayenge ek din
roz khilti in konpalon ke sang
khud ko jawan hote dekha tha
sarsabz hote khwab kehte they
ye andaz tumhari amanat hain
tumhari taabir ban ke lautenge
na ke tumhare khwab lootenge
yaqeen perwan ka dekhiye saheb
ke jaane waale kabhi to lautenge
maana dastur dil lagane ka naqis hai
magar saheb kahan hum se chootenge
her subah ka yarab yehi arman hai
hamari tarha ye kabhi na tutenge

Wednesday, April 10, 2019

ye duniya naii naii hai...




ye duniya naii naii hai
yehan shanasa koi nahi hai
jo le kar chale they,carvan-e-ulfat
unhein tahi damani ka,shikwa nahi hai
hum jis safar per maan se chale they
uski rahguzar ka, nishan kyon nahi hai
ye ja baja jo sar hain, katey huye hain
Jo sar utha hua tha,vo ab raha nahi hai
khair mere yarab,dil badal gaye hain
kya ab dilon may, tera basar nahi hai
mohabbat aaina hai,rabubiyet ka
Aah! khudparasti,tera aks koi nahi hai
maana aye dil,dhoke bade haseen hain
luzat-kashi se behter,koi jahad nahi hai
besood talaash ka,haasil bas yehi hai
shab-o-roz may ab,dil kahin nahi hai
aye kaash zindagi tu,sirf khwab hoti
shab bhar ka sauda bura to nahi hai 
hosh ne sah ke zalim,zabt ye sikhaya
khamoshi se behter aah-o-baka nahi hai
kaash jaan meri, waqt rahte jaan paao
jo tum se tuta,vo mahaz mera dil nahi hai
waan tha,mere rab ki takhlikh ka basera
pehchan kar bhi khud ko pehchana nahi hai
hikmat ke khel saare,kaam agaye hamaare
ab dil se hamare kuch bhi chupa nahi hai

Tuesday, April 9, 2019

mujhe bhulne waale.....




mujhe bhulne waale
mai tere dil se na jaungi
tu jitna bhulna chahe
mai rah rah kar yaad aungi
mai kahan door hun tujh se
teri ankh may jhilmilaungi
teri dum todti muskurahat may
aah ban ke kulbulaungi
siyah raat ka jaise koi jugnu 
tere khayalon may jagmagaungi
tu chahe na chahe kya ghum hai
mai meri jaan tujh ko chahungi
lafzon may na jo jhalkey
teri aisi tasveer banaungi
mai tujh ko yaad karte karte 
khud ko ek din bhul jaungi
maana tu saaya hai soch ka meri
mai perde utha kar milne aungi
gawah rahna ye tadap tujhi se hai
ye na rahi mai bhi rah na paungi