Search This Blog

Wednesday, June 22, 2022

mohabbaton ki duniya ab ke naii naii hai...............


khushiyon ki umar mokhtasar hai

ghumon ki rahguzar taweel tar hai

----------------------------------------------------

ye mujh ko kya hua hai

kya ehsaas teher gaye hain

ya dil ka mosam badal gaya hai

akhir un shikayeton ki manzil

tere sang tamaam hogaii hai

khud se nalaan zindagi ko

aaina dikha kar nikal gaii hai

tha husn zindagi ka wabasta jis say

in zulmaton may usi ki roshni hai

tune bhi akhir manjhdhar may hi choda

patwar zindagi ki hathon se nikal gaii hai

ab chahe is kinaare ho us kinaare

muntazar apna kahin koi nahi hai

hisson ki zarurat ab tujh ko bhi nahi hai

mujh se bhi tune ye hiss chin li hai

jin hararaton per shumaar tha zindagi ka

tere sang jalte bujhte serd hogaii hai

umar kahan guzri kisey khabar hai

lagta hai pal may tamaam hogaii hai

ek sunnaatta yaadon per bhi hai taari

jung haafize ki nidhaal kar gaii hai

rab ke faislon may sab tayeshuda hai

yehan aane jaane ki ek daud si lagi hai

yarab mujhe tujh se koi gila nahi hai

mohabbaton ki duniya ab ke naii naii hai

Thursday, June 2, 2022

us ke baghair mai................

 




ek mera purana kalam aaj nazar se guzra to sach maaniye apne ehsas ka mai ne shukur ada kiya ke waqi rab jis per meherban hua uske veeraane may hi ye gul khila...

------------------------------------------------------------

Mai kal bhi khwab thi
Aaj bhi deewana khwab hun
Apne her adhure khwab ka
Khud Mukammal jawab hun
Kaatib-e-qalam ki soch ka
Mai ek adhura baab hun
Dilon ka bhedh ashkar ho jahan
Mai us faqeer ka be-kal rubaab hun
Jo aa ke ek baar,teher Gaya wahin
Mai us nigah ka, achuta shabab hun
Jis ki sohbaton ka,gumaan hai aaj bhi
Us ke Asal ka,mai uth-ta naqab hun
Mohabbaton ki tarha nawaza gaya jisey
Mai us sagar ki Ana ka,adna hubaab hun
Kal bhi jawaz tha aaj bhi hai zindagi
us ke baghair mai khaali kitaab hun
Duniya laakh karle uske haal ka shumaar
Mai un khamoshiyon ka bhipra chanaab hun
Muddaton se mai tatol rahi hun apna dil
Mai aaj bhi unhi palon ka hisaab hun
Sehraavon ka khumaar jin ki rahi ho pyaas
Mai Un jhoomtey , dilon ka saraab hun
Sar per sarphiron ke sajta raha hai jo
Us dilnawaz ke qadmon ka gulaab hun