Search This Blog

Monday, December 30, 2013

ye hosh ke marhale hain................








meri raaten teher gaii haiN

mere din guzar gaye hain
ye hosh ke marhale hain
mil kar mukar gaye hain
sehemi khamoshiyon say
tufaan bhi dar gaye  hain
tera darr bandh kyon pada hai
bekhwab kitne peher gaye hain
herkat suna hai zindgi hai
ye herkat vo kar gaye hain
aakhir hasti ka namud kya hai
kitne ilzam iske sar gaye hain
jo chund saanson per tiki hai
us zindgi pe hum mar gaye hain

Saturday, December 21, 2013

ye azab khahishon ke.......................





ye azab khahishon ke
bhogne tou honge
khahishen bhi apni
derd bhi hain apne
sehne tou honge
yehin tamam honge faisle bhi
yehin pukarengi aahen
yehin khatam hongi raahen
yehi kasmakash rahegi
yehin chupke say dil jalenge
yehin raakh bhi udegi
yehin jism khaak honge
yehin rooh chaak hogi
ke yehin arzu phali thi
yehin dil ki dilagi thi
raah aur bhi mili thi
per yehi bhali lagi thi
lutf ka moqam bas yehi hai
yeh sarmastiyan gawah hain
inki umr do ghadi hai
do-rangi theen khahishen ye
ek rang takmil ki thi chahat
duja tha qudrat ki amanat
kyon na vo rang chuna tu ney
jis say teri zaat dhul gai thi
tere khwab sirf haseen they
taabir unki bas yehi thi
ek derd may duba hua dil
do ankhen khoon say tar
ye khoon hai khahishon ka
jinhen ye samjh may na aaya
rab jub saamne khada tha
kyon khahishon say dil lagaya

Friday, December 6, 2013

ek sach, ek soch....






sab say dil lagaya
ek dil say nahi lagaya
ye duniya mahaz tamasha
ye dil kyon na jaan paaya
her zubaan mukhtalif hai
jisey dil samajh paaye
koi vo baat kar na paaya
saath halaath her qadam hain
koi rishta saath ho na paaya
kehne ko her shaks mohabbat hai
per koi mohabbat kar na paaya
ye dil,.dil kyon padh raha hai
is sair-e-baatini say kya haath aaya
sadion say tha jo jamud taari
vo ek dil na tod paaya
maqtal say raah-o-rasam hai purani
bekaar hi vo zalim qaatil kehlaya
chala le, tu bhi teer-o-nashtar
is munjamid lahu ko koi na ched paaya
rooh tou azal say safar per hai apni
 is jism ka thikana rishte kehlaya
aaj lagta hai her ankh ajnabi hai
ek ajnabi say jub say dil lagaya

vo mil raha hai mujh say..................




vo mil raha hai mujh say
kitne chehre ajeeb le kar
vo hans raha hai mujh per
meri khahishon say mil kar
tu kar le hasraten apni puri
dekh kya mila in may kho kar
bas jaa tu kahin bhi jaa kar
jaana hai meri raahon say ho kar
aakhir in hison ko kya hua hai
kya mar gayeen tujh say juda ho kar
jub sulajh gayii hai her paheli
akhir kahan rah gaii hun kho kar
hui tanbeeh,tasdeeq-e-ishq ka ishara
tera nishan mila hai tujh say door ho kar