Search This Blog

Tuesday, March 30, 2010

Vo surkh rang mosam



Rut hai rehmaton ki
Mosam hai bakhshishon ka
Koi lamha faiz ka
Bas mil jaane ko hai
Vo surkh rang mosam
Phir se aane ko hai
Phir rang uske dil ka
Rang laane ko hai
kuch aur derd ko
tu nikhar jaane de
Phir is ghadi ko
tu qareeb aane de
abhi bada maza hai
is khud-faramoshi may
lahza lahza yon bikharti
be-tarteeb dhadkanon may
koi musalsal keh raha hai
tu sada mera raha hai
kisi zameen asmaan may
tere yaqeen,tere gumaan may
ek mubham khayal ban kar
tujh may chupa hua hai
wahin dost ka martaba hai
wahi azmat-e-Dua hai

Monday, March 15, 2010

Dastak de raha hai Karam



Alwida keh rahi hai zindgi
Dastak de raha hai Karam
Daras they jo sohbaton ke pal
Dohra gaye khayaal aaj phir
Meher-o-wafa ke bikhrey gul
Mehaka gaii phir baad-e-saba
Ek Adnaa ko aala kar gaii
Naye naye junun ki intiha
Koii shamma ban kar jala
Kahin koi perwana hogaya
Majaaz ko be-haqeeqat na jaan
wahin pe milta hai khuda
Duniya kabhi na samajh saki
sauda mohabbat ka hai kya
ye jaam kya maye hai kya
deewanon ka azam hai kya
ye meelon talak phaila hua
dast-e-karam ka faiz kya
ye ahad-e-nibaah ke daayre
inka kahaan tak hai silsila
qanun-e-qudrat hai yehi
derd jub ho kar dawa
arzu ki haqeeqat samajh
phir utha haath kar dua
daman-e-ulfat jub taar ho
rang laata hai ishq-e-Mustafa
marifat mohabbat may hai chupi
gar mil gaii tou jaan jaa

Wednesday, March 10, 2010

Mehafil-e-shauq


Ye mehafil-e-shauq sajaane waale
ye tere shauq ki manzil paane waale
ye tere mehbub se dil lagane waale
ye zikre mehbub ko vird banaane waale
ye tere ishq ki milaad manaane waale
ye ishq ki aag may khud ko jalaane waale
paalenge tujhe yarab unko paane waale
ye Do aalam apne Aaqa pe lutaane waale
ye Baab-e-junnat ka khwab sajaane waale
ye sabz gunbad dil may basaane waale
ye deewane ahad-e-ulfat nibhaane waale
sar ke bal aayenge,bulayenge bulaane waale

Wednesday, March 3, 2010

Raah


Mujhe raah dikha ke tum
Na chod dena raah may
Tumhari raah na sahi
Meri raah tumhi se hai
Mai kub se darmyaan
Khadi hun intizar may
Tumhara saath na sahi
Her baat tumhi se hai
Tumhare safar se hi huii
Is safar-e-na-tamam ki ibtida
shauq-e-manzil na sahi
ye dil tumhi se hai
tamaasha jo bane rahe
Ehsaas jaane kahan gaye
Apna patta na sahi
ye atta tumhi se hai
Ghum ab kis ka Karen
Wajah samjhe they jisey
Uska nishaan na sahi
Apna nishaan tumhi se hai