Search This Blog

Thursday, October 30, 2008

Ajeeb zindgi hai

Badi Ajib ye zindgi hai
paas kuch bhi nahi hai
Her mod suna pada hai
Saath kuch bhi nahi hai
Raston ki merzi yehi hai
Ab mudna sahi nahi hai
dalilon ki kya kami hai
Sawalon ko haq nahi hai
khayal-e-hijr ab haseen hai
darmiyan fasla jo nahi hai
safar ki manzil tayeen hai
saubaton ka darr nahi hai
ulfaton ki serhad naii hai
junun ki koi had nahi hai
mojiza nahi tou kya hai
ishq "chaand" aarzu nahi hai

Maa


Wajud insan ka sada mangta hai panaah
Khuda sey jub kuch sujhte na bana
apni mohabbat ko hi banaya rishta-e-jaan
mohabbat ka dusra naam rakha usne maa
yon haasil jahaan ko vo daulat huii
yon mamta mashur maa ke badaulat huii
aghosh-e-maadar her zee-rooh ki maang hai
kabhi khuda ki nada,kabhi tifl ki baang hai
shafqat rehmat-e-dojahaan,mahak firdosi lage
bihsht ankhon may, uski qadam-bosi may rahe
ajab lutf deti hain maa ki loriyaan
baandh rakhti hain saare rishton ki doriyaan
basher ka ehsaas pehla,anchal ki hawa
maan ke lams may maujud tha khuda
umr daur waqt,kaii jazbaat ki aama-jagah
Insaan in may maa ko dhundta raha
Kahin raahat mili na us dil ke siwa
Ek uske daman may mila sukun be-baha
Andhion ki khabar pehle milti hai usey
tufanon may kinara yon warna milta kise
waqt ke sitam hans ke seh-leti vo
apne jism se juda bhi reh-leti vo
saath chod jaate hain jahaan saaye bhi
wahin waa baahen hain maa ki abhi
Aaj mokhtaar tum, kal maa mokhtar thi
Tumhari zindgi uski sanson ka daromadar thi
Tab bhi khud se zyada chaha tumhen
Hawadison se bacha kar sincha tumhen
Zindgi ka matlab mila uski aghosh may
Marifat ka pehla daras uski aghosh may
Aaj zindgi ne fursat na di tumhen
Kal talak maa ki zarurat thi tumhen
Zamane sada badalte rahe,haqeeqat nahi
Maa ki mohabbat ibadat hai, zarurat nahi
"chaand"Be-sukuni ka daur mange shaur
Maa may maujood hai qaliq ka noor

Chahat

ab jub ke tumne poocha hai
bata doon chahat meri kya hai
umr ka rishta na saath hai chahat
bas ek khayal ki hayath hai chahat
chahat qiston may her rang her surat
ek dil chota sa hazaron ki hai chahat
mudaton daman taar khaar aur gul justaju
haath aaya tu,tab samjhi hai chahat
darperda nafs-geeri ki,thi sarpersati goya
isi se behalti rahi qismat ki maari chahat
chahaten saari girya kinaan apne hone pe
kyon na mili pehle raza-e-yaar ki chahat
ek haseen buth lage,guftaar bhi shereen
jo teri chahat,ab meri wahi chahat
khushbu hai ke sandali ehsaas si teri
moqaddas mohtaram sarapa karam hai chahat
zindgi sarf hogaii talaash-e-basiyar may meri
ab jana,dua duje ki hojana,hai haseen chahat
sada chaha tha khuda,asmaan se koii aaye
vo aaya hai "chaand”laaya hai be-intiha chahat

Kahan le ke aagai hai justaju



Gumaan they kal tak jo shehar
Aaj unke hun mai rubaru
Ye gali naii tou nahi magar
Yahaan sab hai nahi hai aabru
Libaas,rooh ke sang hawa huye
Pareshaan lagti hai her aarzu
Taqazon ka daawa qubul hai inhen
Bhale Zameer ho na sake surkhuru
jazbe serd aur ankhen be-noor hain
be-jaan be-his lagte hain ye maahru
kapkapa gaii dekh kar inhen zindgi
ye kahaan le ke aagaii hai justaju
wabsta tha rishta jis zameen se
phailti rahi badamani wahan chaarsu
qaraar ki manzilen hain kaunsi
kub paayega pata bhatka raahru
ye watan parast samjhte kyon nahi
jahan muhib,wahin mohabbat ki abru
ye saara asmaan hai jub mera
her zameen lage mera watan hubahu
her dam hai saath jaanaan mere
wahi asmaan aur wahi "Chaand"khubru

Waqt



Aye waqt tera sitam
roz chin le jata raha
ek din hasrath gai
ek din aahen meri
ek din be-aab hogayeen
bhari bhari ankhen meri
ek din bhuli rahi
waqt ki her ghadi
shal hogaya jism bhi
bojhal saans lagne lagi
dhundla gaii nazar bhi
ojhal huye manzar sabhi
zehen tak tarik hogaya
taarikh yaad na rahi
waqt saakt hone laga
khud ko bhulne lagi
ye manzil thi kaunsi
waqt-e-vasal jo mili
sab kuch luta dosto
ek dhadkan bachi rahi
shor ko sama-at mili
haule se dil ne kaha
haan faqat yaad hai
chaand sa mera dilruba

Ek teri nigaah


ek teri nigaah kya padi
saare jalwey huye paraaye

Is ke siwa kya hai arzoo meri
Khilwat ho mehafil teri sajaye

Fareb-e-nazar itna hai dil-fareb
Har shaye may tu hi nazar aaye

jub bhi leti hoon haath may qalam
Tera hi aks lafzon may dhal jaaye

jub aaya hai tou aa paas zara
pal do pal mera joban bhi mehek jaaye

Sunnatta


ek sehra hai khamosh sa
ek sunnatta hai be-tufaan
ek saakin saa saahil hai
kya yeh mera dil hai


kabhi yeh bhi dhadakta tha
kitne ru-pehle armaan liye

waqt sa jo ghayel hai

kya ye mera dil hai


kab se qafiley baharon kay
aaye bhi aur chale gaye
raahon may jo saayel hai
kya ye mera dil hai


taqdeer lamhon ka khel sahi
kuch to mila hai is say bhi
ek mohabbat jo kaamil hai
kya ye mera dil hai

Shaam-e-ghum


mohabbat ki ye kaisi ajab manzilen hain
chaha kisi ko, paaya kisi ko

tadapne ka apna alag hi maza hai
khud barbad hokar kiya aabad kisi ko

jeene marne kay they sau sau tarikhe
khud sau baar mar kar jilaya kisi ko

ye qudrat ki hai kaisi sitam-zarefi
duayen meri theen nawaza kisi ko

her bar haari khushiyon ki jannat
khwab mujhko mile taabir mili hai kisi ko

zindagi tujh say bahut kuch mila hai
mohabbat may ansoo, wafayen kisi ko

"chaand"zindagi bazahar,kitni haseen hai
mujh ko mile andhere, ujaaley kisi ko

ek roz ka tamasha


ek roz ka tamasha
jeevan ki har khushi hai

har saans aati jaati
kyon bojh si bani hai


kya yehi zindagi hai
jazbaat vo kahan hain

behaki theen aarzuyen
halaath vo kahan hain


tu bhi mujh se nalaan
mujh may na dhal saka

kyon husn-o-ishq zindagi ka
mujh ko na mil saka


jazba jahad ka
kahaan jaa kay so gaya

junoon faislon ka
kyon ek lakht kho gaya


is deewangi ko yaaro
tum koi naam de do

tishna kaavishon ko
"chaand"ka pyaam de do

Tuesday, October 28, 2008

Ishq ka Safar


Mere husn-o-jamaal may,
tere chehre ka noor hai
meri har ada may be-misaal
tera hi zahoor hai

ye ishqh ka safar hai
manzil ki talaash may
jub Aghaaz tu hi tu,
tou anjaam bhi zaroor hai

ab aur aagahi ke
jaane kitne dar khulenge
Khud say juda ho kar
maine paaya shaoor hai

teri yaad may maine
bade gham kay maze hain loote
Mohabbat ka yeh tohfa
sab se mashoor hai

ek tere tabassum may
pinhaan hai vo khudaai
qadmon may jhuk raha,
dil yeh huzoor hai

ab saare rishte ye
lagte hain kyon paraye
Raha koi nahi shanasa
ye kis ka qasoor hai

ye veraniyon may kaun
kaliyan khila gaya hai
bahaaron ne tujh se mera
pata poocha zaroor hai

Tujh sa na koi dekha,
tujh sa na koi paaya
"Chaand"bas paas hai tere,
zamane say door hai

Wajud




Mai kaun hoon yarab mera wajud kya
ye zindagi mujh sey mangti hai kya
mujhe meri parakh ka koi nisaab do

Guzarte waqt ne cheeney khwab saarey
koi bojh haqeeqaton ka dil par nahi pyare
mujhe duam bakhsde koi aisa khwab do

Har sabakh zindagi ka maine padh liya
Yom-e-hisab ke liye khud ko tayar karliya
Mujhey meri khataon ka koi hisaab do

Har rah par khada ek rishta naya mila
Sab ka mole tha bas mera diljala
Mujhe meri zindagi ka ek aur saraab do

Kisi aur ke chaman ko sajaya umar bhar
Na khar hi mile na phoolon ki rahguzar
Mujhey meri mehak do mere gulab do

Mitti sey bani ,mitti may mil jaungi
Jannat na bhi mili mai bahel jaungi
hayaat bakhsh ho mujhe aisa aab do

Hijr




hijr jaan meri kehte hain kis ko
mai ne kahaan chakha hai is ko

kya derd-e-judai ka maza hai hijr
kya ishq se ashnaii ki saza hai hijr

gar azab hota nasha sa hai kya
be-rukhi may teri maza sa hai kya

pata sadion tak dil ka na chala
aye hijr tu ishq ke karam se mila

sab mohabbat mohabbat bas pukara kiye
sadion sadion galion galion banjara jiye

jub soch bhi saahibo veeraan hogaii
hook chupke se is ki mehmaan hogaii

tere milne ka mai gila gar karun
mohabbat ka dam phir kaise bharun

saath chod jaayenge ye saare mashgaley
hum tujh ko hi laga rakhenge galey

inaam hai hijr ye,ishq hai khuda
samjho tou ye mohabbat ki hi ada

ye ashiqi ki ek qisam hai dosto
hijr ishq ki hi rasam hai dosto

saath chalna gar apna moqaddar nahi
saath jalne se kaun bhala rokega humi

nasiban waali hai ye rut hijr ki
aahon ne dekho asmanon ki sair ki

her lamha hijr aye"chaand"mohabbat hua
ek ek ashk hijr may ibaadat hua

khamosh sada



Door ufaq se roz tujh ko bulata hun
khench shaam ki chadar tujh ko jagata hun

tujh ko tanha lagte hain ye kinare kyon
sagar se saahil ka mai hi naata hun

meelon se napoge mai haath kabhi na aunga
bandh ankhon may sab ko mil jaata hun

ishq ke raahi ko aksar hijr se jalata hun
khwabhon may aksar dil behlane mil jaata hun

charagh liye dhundlai nazar takti hai mujhe
sadion se kehti hai kyon us ko satata hun

serfarosh kub se mere liye ser-gerdaan hain
unke haath bhala aise kub mai aata hun

chaha hai sab ne mujhe,payega koii koii
khamosh sadaon ku mai hi sun paata hun

insanon ki nagri may sab kuch mumkin hai
"chaand"ban kar sab ka saath nibhata hun

Hosh ke lamhe lagte hain ab saza



jin patharon ko tune toor kar diya
aaj mujhe tune wahi pathar bana diya

derd hi apne dawa–e-derd ban gaye
ghumon ko hi tune charahgar bana diya

mar-mar ke jeene ka matlab samjhte rahe
rafta rafta hadison ne nidar bana diya


sabut be-sabaati ka her rishte ne dediya
teri talab ne tahi-dast gadagar bana diya

naveed-e-nau lekar kitne aaye they jahan may
jise mili teri nazar payambar bana diya

mehafil-e-lutf-o-inbisaat bhi ab ghair hi lage
carvaan may bhi tanha musaafir bana diya

bakhshi shab-e-ghaflath ko ek noorani fajar
nooha-e-zulmat kade ko azn-e-sehar bana diya

begana-e-duniya tujh se mil ke dil hua
teri adaaon ne dil deewana,moqadar bana diya

her baar pilaai naye andaaz se tu ne
tere saath jo dooba usey gauhar bana diya

hosh ke lamhe lagte hain ab sazaa
bekhudi ne her darr tera darr bana diya

na manzil ki chah hai na raston ka darr
tu ne "chaand"ko ulfat ka mazhar bana diya

Aarzu

Dil-e-bekhrar ki aarzu hai kya
ek mehbub ke deed kay siwa
Dil-o-dimagh ki na pooch ab-tari
jo tu nahi to kuch bhi nahi mera
Kitne diye mai ne ab tak jala liye
Koi udaas lamhon ko roshan na kar saka
tujh se sama may bikhri thi chaandni
"Chaand"ne bhi kaha tere saath alvida

Qafila sa...



carvaan nahi to koi ghum nahi
ek qaafila sa tera saath hai

tera kaun sa rukh hoga haseen
zindgi faisla ab mere haath hai

mosam ye baharen in ki adayen
tere samne ins ab ki maath hai

roya kiye sada be-kasi-e-nafs per
hosh may laao to koi baat hai

dil nahi tou kya dilruba tou hai
khayal hain ke noor ki barsaat hai

chah nahi jub konain ki dil ko
hasrato tumhari kya awqaat hai

nigaah-e-yaar ki hai ye jalwagiri
roshan dil hua ke shab-e-baraat hai

ek ghunt ka nasha mita gaya khudi
pyara ab dushman ka bhi saath hai

faiz-e-ahad ki hadh nahi momino
"chaand"ye chisht rang saughat hai

Tohfa

Meri takmil meri jaan tum se hi
Meri tashkil meri aan tum se hi



tumhari hasti ne saja diya mujhko
tumhare saath ne behala liya mujhko

meri justaju ko markaz diya tumne
mujhe qaabil-e-azmat kar diya tumne

hairaton ki haseen dastaan ho tum
shahadat- e- imaan mera Irfan ho tum

rishton se milte hain sabaq zindgi ke
inhi may chupe hain adraak bandgi ke

gar tumhen hum ye raaz na batlate
kis tarha jaan apna raaz tumse paate

ek nasihat hai naye saal ka tohfa
zindgi ekbar deti hai kirdar ka mauqa

tumhari tameer may duayen hamari hain
in duaon may sirf khushian tumhari hain

rasmon ko rishton say azad hi rakhna
tumhare liye jo behter tum wahi karna

"chaand"mere,apna ye rishta hai roohani
rahega tum may sada banker meri nishani

Aaqa



jub bhi zikr un ka
mohabbat se koi karta hai

yaad junun hoti hai
zarra zara aahen bharta hai

mayusi ka her lamha
zikr-e- jamaal se behla hai

derd ka maara dil
yaad unhi ko karta hai

her jung jahad-e-nafsani,
ashiq paaye ezaaz-e-rabbani

saath shaafi-e-do alaam ka
khud iqrar-e-shafa-at karta hai

payamber imaan bande ka,
ishq khuda ka paimaan hai

pehchaan ki khatir insaan ko
ye daur mila karta hai

taqliq-e-adam ke sang
mitti ke ansar shaamil hain

zarra shak,bund nafrat,
iblis jin per takia karta hai

Sarkaar bas ek karam
is adna per bhi hojaye

Ek Chaand aapki mehafil ki jaanib
kub se dekha karta hai

Monday, October 27, 2008

Manzil-E-Karam



Fakhr-e-do jahan mere khwaja ka aastaan
Shah-o-gada se unko mohabbat hai eksaan

Rang nasal mazhab ka farkh mit gaya yehaan
Dar-e-Nawaz se jaate hain sab bhar kay jholiyaan

Darbar-e-khwaja hai azmat-o-rahmat-o-gulsitaan
Yaan dushman ko bhi mile hai moqam-e-dostaan

Gulabon sa mehakta Ajmer jannat ka hai nishan
Khwaja ki dilnawazi ki sanad hain ashiqhan

Rahabar-e-ishqh-e-haqeeqi hai jaada-e-khwajgaan
Haasil-e-murad-o-surur hain dua-e-khaadimaan

Khissa mukhtasar ho mehboob ki nazar dil ho zubaan
"Chaand"faqat ek be-khudi hai bas deedar-e-meharbaan