Search This Blog

Friday, December 14, 2012

Wednesday, December 5, 2012

vo samandar jo kabhi na abur ho sake........




vo samandar jo kabhi na abur ho sake
vo aaj bhi tere mere darmyaan hain
paaniyon say jo sada khauf khaate rahe
vo aaj bhi aab-deeda aur pareshaan hain
takra gaii thi chatanon say jin ki gunj
vo aaj bhi apne shor say anjaan hain
tha baadlon ka shauq jinke khayaal ko
vo aaj bhi wahi alif-lailwi daastaan hain
haqeeqat pe jin ki khwabon ka ho gumaan
vo aaj bhi her shab mere mehmaan hain

Monday, November 26, 2012

Ansu





ansu pehle bhi behte they
per vo derd tera sehte they
ab jub ye ansoo behte hain
apni veeraani ko kehte hain
us waqt maza tha rone may
ab khud per roya karte hain

rang noor say hain aari................




shadab hain ye fizaayen
shookh hai ye hawa bhi
mosam bhi humkhayaali
aur hersu bikhre gul hain
koi dil bhi na hai sawaali
ye rang noor say hain aari
kyon rootha hua hai maali
hai her simt huu ka aalam
aur daman bhi hain khaali
jin ko chuna tha tu ne unki
duniya kyon tung kar daali
bata ye kaisi hai serdmohari
aakhir ye kaisi hai bekhayaali
aankhen mahaz khuli hui hain
waan na koi diya hai na diwali
najaane aur kitne imtihan hain
aur dil ki kub talak ho paamaali
kya gila zamaane ki thokron say
thokar mohabbat may jisne khaali

Wednesday, October 3, 2012

Pareshan sawal hai.......................


sajaaye kitne khwaab is khayaal say
taabir nikal aaye shayed naqaab say
jaise tilismaat ki koi un-suni dastaan 
nikal aaye shab bhar may kitaab say
nau-umr arzoo ki itni si thi hayaath
jaise bheegi ruton ke do pal hubab say
zindagi chin kar kaha yehi hai zindagi
teri qismat likhi gai ankhon ke aab say
nok palak sanwaarte sanwaarte khird ki
raaz haqiqat ke paa liye tere ejtinaab say
roz uski khamoshi say ajab guftagu rahi
pareshan sawal hai uske adhure jawab say

Sunday, September 23, 2012

Ye Mosam..............


vo mosam jo kabhi mujh pe khila karta tha
ab mere dost vo kahin aur mila karta hai
nikla karti thi jugnuvon ki baaraath jahan
ab door door tak koi na chala karta hai
jahan dhoop chaun aankh micholi  karte they
ab wahaan koi khamosh gila karta hai
her pal baat husn ki hua karti thi jahan
ab taqaza waqt ka her waqt  mila karta hai
shikayet rehti thi jisey  shab-e-mokhtasar say
ab perwana apni aag hi may jala karta hai
jo khwab dekhe they shajar ke saayon ne
ab derd us ka yaad kon bhala karta hai
poocho in bikhre huye puzhmurda patton say
ab koi ummid ka mosam jigar chila karta hai
jub say mosamon ne samjhaii haqeeqat apni
ab na koi hasrath na koi ghum pala karta hai

Thursday, September 13, 2012

jub bhi mai ne khuda ku yaad kiya..............





jub bhi mai ne khuda ku yaad kiya
jaane dil ne kyon tujh ko yaad kiya
jub Quraan raha mere haathon may
teri khushbu ne mujh ko shaad kiya
koi talab uthi jub haq ki seene may
tere zaahir ne baatin ko abaad kiya
tere qurb ke taalib kitne nadaan they
her pal khud say ek naya jahaad kiya
ek bunnd ishq ki tujh say jin ko mili
kisi ko shireen,  kisi ko farhaad kiya
tu ne kashaf  ko yon mehjoob rakha
kabhi khud ko bulbul kabhi sayaad kiya

Thursday, August 30, 2012

Ajab kashmakash hai..................




Ajab kasmakash hai
zindgi zindgi nahi hai
jo tha paas apne
vo paas ab nahi hai
jo tha khaas zindgi may
ab vo aur hi kahin hai
kya waqi ye zindgi hai
ya khayaal ki nafi hai
sherth  hai shor ho inqilabi
ke ye daur aakhiri hai
raaz paaliye hain dil ne
ab aur kya kami hai
raftar nabz ki thum rahi hai
ke zindgi  ki sayee nahi hai
derd hain jism ki amanath
ehsaas jism ka hi nahi hai
jo zindgi de murda dilon ko
bata kahan vo maseeh hai
sab ne japa naam rab ka
apne dil ko suna nahi hai
insaan khud ko na jaan paaya
junnat uski siffat may chupi hai
kubar khayaal ka hai andhera
tu mahaz asmaan ki zameen hai
yon na tod naazuk abgeeney
in kirchiyon may bhi wahi hai
sun kabhi tu apne siwa bhi
waqfa ajar ka bas yehin hai

Thursday, August 23, 2012

Meri do aankhon ne ............






Meri do aankhon ne 
hazaron chehron may
laakhon andaz dekhe hain
vo sab ke sab tumhare hain
ye khwab ho nahi sakta
ke mai jaagi hun kub say
nind ne bhi kaha mujh say
mai bhaagi hun khud say
mai ujalon may kho nahi sakti
tumhen dekh kar so bhi nahi sakti
phir tum samajh kyon nahi jaate
mujhe tum hi tum ho nazar aate
ke tum mere derd ki ho perchaai
tumhari mere her ghum say shanasaai
jub hun tanha bheed may akele may
tum mil jaate ho duniya ke meley may
nikal aaye ho tum ab ke naqabon say 
jaise koii haqeeqat nikal aai ho khwabon say
koi kaise ye jaan paayega
deewana sada deewana hi kehlayega
ye ishaara mere hosh ki alamat hai
jo samjhega vo bhi doob jaayega
tum jub bhi mere saamne aaye
dil ne sau sajdon ka ajar paaya
tumhari khamoshi thi ahad-e-wafa goya
herdam saath mere rehta hai tumhara saaya

Wednesday, August 22, 2012

Khahish-e-Neem-jaan





Aap ke noor kadey say khaira 
huyeen hain meri aankhen
koi manzar had-e-nigah tak
mujhe nazar na aa raha hai
Aap ko suna jub doston say 
laga koi mujh ko bula raha hai
Aap ke khaak-e-paa ke laayeq
vo mujhe kab say bana raha hai
mohabaten tou mohabaten hain
vo in ka matlab bata raha hai
Aap ki inaayet giraan qadar hai
Aap ki dore vo thama raha hai
meri hasrathon ke mazar per vo
apni chadar udha raha hai
Aap shafee mere habeeb mere
ye yaqeen mera sada raha hai
mashoor-e-zamaana Aap ka deewana
ye dil deewana usi ki  dua raha hai

Saturday, July 28, 2012

Maine phir aaj tumhen dekha......





Maine phir aaj tumhen dekha
maine aaj phir say tumhen chaha
jaisey koi khayaal rubaru hojaaye
jaisey koi aks hubahu nazar aaye
aisey tumsa koi jub saamne aajaye
kaash phir say koi khwab hojaaye
mai us lamhe ku giraft may le lun
tumhen ek baar nazar say chu lun
kisi pal mujhe bhi hosh aajaaye
jub saamne tumsa koi aajaaye
vo ghadi yaqeen ki surat le le
pehchaan ke saaye usko tatole
dum bhar ku ujaala hojaaye
jub saamne tumsa koi aajaaye
ek yehi rishta nibha hai hum say
ye dil kub chupa hai tum say
ye ek dum say tumhara aana
ek nazar-e-karam ka mil jaana
sau darr shifa ke kholey
ek nazar tumhaari jub boley
mere derd door huye ab saare
ek tumhaari uns ke aagey sab haarey
mai ne haar ke sab jug paaya
tumhen paana hi mujhe raas aaya
mai mamnun hun ulfat teri
tune laaj ulfat ki rakhi hai meri
jub bhi koi ghum nay mujhe sataaya
tu ek naye roop may saamne aaya
tu le jaata hai mujh say mujh ko
her dum mai paas rakhungi tujh ko

Friday, July 20, 2012

Rida





ye tere karam ki intiha hai
regzaron may gul khila hai
teri meher nahi tou kya hai
ab ke Rida ban ke tu mila hai
jahaan boye khaar zindgi ne
usi  chaman ka  tu silsila hai
naukheez titliyon ke paron sa
ajab gudaz tujh may ghula hai
masumiyet teri karti hai baaten
ek khamosh derd ka tu sila hai
tu sar hai sajda hai bandagi hai
maa ko rutba tujh say mila hai
qudrat ka tu anmol hai khazina
tujh say raaz zindgi ka khula hai
tu hai wada bihisht ka meri jaan
jo dil rab ki raah per chala hai

Saturday, July 14, 2012

ye jo ruka hua carvan hai............................





ye jo ruka hua carvan hai
khud manzilon ka nishan hai
jahan chahun ho ulfaton ki
wahi uska naya makaan hai
barha sehra ne us say poocha
ye kya tere mere darmyan hai
jaise ufaq vasal ka hai dhoka
mera teherna tera gumaan hai
nakhal jusatju ka hi hai haasil
sarab ye jahan ya vo jahan hai
ab pyaas koi nahi hai baaqi
her qatre may kausar ayan hai
tune kaha hai tu sab jaanta hai
phir kis liye tu badguman hai
ye ret ka safar hai na rukega
qadmon ko iski khabar kahan hai

Wednesday, June 27, 2012

Isra






mai na jaanti thi
ke shab intizar ki
kehlayegi isra kabhi
mai jaanti thi ulfat meri
paayegi meraaj ek raat ki
tu mili jaise koi ujli subah
jaise buund nayi barsath ki
tu kahakashan chaandni raat ki
tu roshni hai aqadas zaat ki
tu raaz asmaani hai jaan
tu isra hai naye muhimat ki
hum ko junnat yehin pe mili
thaami jub ungli tere haath ki
huye wabasta tere naam say
chali baat jub bhi,teri baat ki

Sunday, June 24, 2012

Tu na sahi tera Khayaal hi sahi....................





ek khushnuma safar hai zindgi
tu nahi sahi tera sawaal hi sahi
her ghadi hai ye teri muntazar
tu na sahi tera khayaal hi sahi
kub say sooni padi hai rehguzar
aa yaad ke yaad ka gulaal hi sahi
go khamoshi teri kimiyaai hakim
hikmaton ka inhen malaal hi sahi
sada talabju rahega talib rahbaran
haasil tu na sahi teri misaal hi sahi
tu misl itr-o-gul ibadaton may hai
hijr ka hisab ye mah-o-saal hi sahi
her lamha cut raha hai vasl ki surat
ye mere khayaal ka kamaal hi sahi
sabaa kahe mehek pehchan le meri
mai hun her taraf,ye vabaal hi sahi

Wednesday, June 20, 2012

Ye kashtiyaan kabhi......





ye kashtiyan kabhi safar na kar sakeen
inhen kinaaron say is qadar pyar hogaya
khauf hijr ka inhen le kar na badh saka
koi nakhuda rawan dawan na kar saka
waadey tou bahut kiye they nasib ney
in may say koi kaatib ko yaad na raha
jub bhi aftaab say zameen galey mili
najaane kyon ghurub ka dar laga raha
halaath ke thapedon ne saahil bhula diya
maajhi ne kashtiyon ko darya dikha diya
vo jaanti theen apne junun ki intiha
tabhi tou hosaki ek naye safar ki ibtida

Saturday, June 16, 2012

Aye shaam husn tera kyon udaas hai....



aye shaam husn tera kyon udaas hai
najane kaun say manzar ki pyaas hai
mai ayeen hun aur vo sanaa-kaar hai
duniya badalne ka hunar uske paas hai
teri tarha mai bhi ek ummidwaar hun
muddaton say mujh ko uski hi aas hai
ye intizar tujhe kabhi dhalne nahi dega
tu baaqi rahegi jub tak baaqi teri aas hai
sau dil bane tab kahin usne khuda kaha
bas usi ek lamhe ka khuda ko paas hai
kaarobaar jahaan ka hai kuch is taraha
yehaan koi aam hai tou koi khaas hai
gum jo kar gaii vo bhi teri hi raah thi
Deewangi meri tere junun ki asaas  hai

Friday, June 15, 2012

ye chaand nahi hai dekho..................



ye chaand nahi hai dekho
ye aks tumhaara hai
ab na zameen meri hai
na asmaan hamara hai
sone waalon ne kahan dekha
ye shab bhar ka sitara hai
iska naqsh,nigaar na paaye
ye sab say nyaara hai
koi dum jo bichad jaaye
ulfat ke maaron ka qasara hai
uski her nazar inayet hai
uska tabassum bada pyaara hai
guftar nerm,raftar baraq uski
ajab palbhar ka nazara hai
ek karishma si hai zaat uski
uski sohbat per hi guzara hai
wahi mere khayaal ka mahavir
wahi mere lafzon ka sahara hai

Monday, June 11, 2012

Warna Duniya may rakha kya hai..............





aaj kitne arse baad 
khola hai maine is baksey ko
kuch purze hain ye kal kay
yehi meri rooh ka haasil hain
ye korey hain per mere hain
be-rabt hain per kaamil hain
yehan kaun samajh paaya hai 
her koi jaane ke liye aaya hai
per ye mera baksa anokha hai
isney mehfuz hona sikhaya hai
yehan maine khud ko chupaya hai
yehin mujhe jeena raas aaya hai
warna duniya may rakha kya hai

Tuesday, June 5, 2012

Manzar tere chehre ka.............





manzar tere chehre ka
reh reh ke ye kehta hai
yehan koi aur rehta hai
ye kaali siyaah aankhen
kal jugnu si roshan theen
ab yehan kaun rehta hai
tere khamosh sookhe lub
zabt ki wahi kahani hain
insaan jahan sanwrta hai
hirasaan na ho meri jaan
faqat kasoti hai ye duniya
yehaan her koi sehta hai
ye ek say raat din terey
kyon sehra say lagte hain
kya koi gul bhi khilta hai
yarab tu sab ka hai nigran
tere hawale hai meri jaan
phir kyon dil ye behta hai

Friday, June 1, 2012

Ujaala mere khwabon ka.....






ujaala mere khwabon ka
rehne dey sawera hone tak
ye subahen aksar apne saath
malgaje andhere le ke aati hain
husn yaadon ka pal bhar may
ankhon say noch jaati hain
yon bhi deewanon ki chahat ka
koi matlab nahi hota
na koi deewana furqat may
phir deewana hota hai na rota
ke vo tou hai hi deewana
uska dil  azal say hai veeraana
do ghadi koi aa ke sustaa le
phir bhul jaata hai laut kar jaana
dar darvesh ka bhala kaisey chutega
dil chahta hai wahin pe mar jaana
ye ishq-e-pechaan hai saaheb
asaan nahi hai is say bach paana
daam dil ke yehaan mehenge hain
muft bat-ta hai ulfat ka paimaana
do ghoont ke gunahgaar hum bhi hain
is surur ki qeemat do nafil shukrana

Thursday, May 31, 2012

Mujhe chaand chahiye,laa day...........





aye chaand ek jhalak nay teri
dekh mujhe tifl bana daala
maa nay laakh aaina dikhaya mujh ko
maine asmaan sar pe utha daala
mujhe chaand chahiye laa dey
apne saare waadey ginwa dey
yon tou her baras edd aati 
per bina chaand ke hoti
jo ote say tune dekha
ek teer sa dil per phenka
teri kamand thi ek ishaara
mera dil hogaya taara taara
tune her baar kaha ye mujh say
hum na mil paayenge tujh say
phir ye aankh micholi kaisi
tu jaisa hai ,hun mai waisi
tu kaii khwab dikha kar soye
ek khwab ki khatir hum roye
tu chaandni raat ka waada
humara her din tera  irada
hum raasta kabhi nahi bhule
dekh,kabhi saath hamaare holey
des pardes lagaayen phera
hamaara kaam wahi jo tera
raasta raasta roshan hojaana
teri tarha koi shab kho jaana
aisa kya maang liya hai tujh say
tu jawaab maangey hai mujh say
ye dau, peych kahaan say laaye
teri hikmat bhi isey na kas paaye
mere pesh-e-nazar bas tu hai
tu hi manzil,tu hi justaju hai

Tuesday, May 29, 2012

paikar nahi hai vo.........





mera etebaar faqat tera talabgar hai
sadiyon say sulag raha wahi intizar hai
hain ye makhmasey saarey wajud ke 
warna mohabat may kahan takrar hai
paikar nahi hai vo,roshan khayaal hai
jo qayaas karsake,vo hiss darkaar hai
teri  khamoshi nay her baar ye kaha
tere liye mera lafz lafz beqarar hai
taptey mosamon nay jhulsa diye havaas
ek dil bacha hai jo tera shahkaar hai
ye soch ye tanhai dekh kya gul khila gaii
phir haath may qalam hai khumaar hai

Monday, May 28, 2012

aye Emaan tujhe meri qasam................




aye emaan tujhe meri qasam
sanbhal yehi hai daam-e-ghum
bhali hai quba teri dhuli dhuli
badal na de isey kahin koi khum
shaatir nafs ki tu kas le lagaam
na hone dey phir khud pe sitam
manzil yaqeen ki bas do qadam
mahfuz rakh apne saare bharam

ye waqt maang le na kahin...............



aye hawa na ched tu
aaj phir puraani vo kahaniyaan
ye waqt maang le na kahin
aaj phir puraani  vo nishaniyaan
ab na koi sawal kar aye mere dil
ab na vo dil hai na vo jawaniyaan
khwaab hogayeen vo raaten khwab si
meherbaan daur hai na vo meherbaniyaan
chaal waqt ki aaj bhi hai wahi
ab deewangi hai na vo nadaniyaan
ab na derd ko ummid hai taskin ki
pareshaan hain dekh khud vo pareshaniyaan
zad per sayyad ke jo bulbul tha kabhi
paa gaya haqeeqaton ki vo tabaniyaan

Sunday, May 27, 2012

Vo ek lamha ab tak pyaasa hai............







vo  ek lamha ab tak pyasa hai
uske haath may ab tak kaasa hai
wahi haal hai ab tak deewanon ka
lub tishna hain hosh zara sa hai
koi dum tufaan uthne waala hai
ye khamoshi sirf ek jhaansa hai
jo paiwast hai mujh may emaan sa
vo khayaal mahaz ek dilaasa hai

Tuesday, May 15, 2012

zindgi mujhe chalna tou hai................










koi chale na chale mere saath
zindgi mujhe chalna tou hai
koi mera saath de ya na de
mujhe pehel karna tou hai
mujhe sawan ki pehli bunnd
mere asmaan banna tou hai
tanhaii may jub dum ghutey
khuli fiza may nikalna tou hai
mere ashk ab bahenge nahi
laikin inhen machalna tou hai
ajeeb hai is pal ki kasmakash
zindgi tujhe sanbhalna tou hai
mere shor ke jo hain muntazar
unhen khud ko badalna tou hai

Sunday, April 15, 2012

abhi adhuri dil ki daastaan hai............






ye wahi hosh ka imtihaan hai

wahi sara-seemgi ka jahaan hai

badh-hawaas hain ahal-e-dil bhi

ruka hua rahnuma ka carvan hai

kub talak ye khel hawadison say

ab yehaan na koi makaan hai

baarha maine socha khamoshi ko

jawaab hai tou aakhir kahan hai

muraad koi bar aaye kabhi tou

abhi adhuri dil ki daastaan hai

zindgi nay karwat badal badal kar

Kar  diya admi ko  neem-jaan hai


Thursday, April 5, 2012

us chaand ko lag gaya girahan...........





us chaand ko lag gaya  girahan
roshnion ko jis pe etbaar tha
un taaron ka nasib kho gaya
chaand ko jin say pyaar tha
tamaam shab tha jo mahu-e-raqs
vo bas ek pal ka khumaar tha
kahin tou khatam hota ye silsila
ye wahi sadion purana intizar tha
dekh chaak chilmanon ki oat say
wahi wahashaton ka talabgaar tha
dil ne samjha jisey daana hakeem
vo bechara khud bhi beemaar tha
koi raah dhundta hai,manzil koi
carvan-e-safar ka yehi qaraar tha
rahbari chaand ko bhi maqsud thi
uski yehi thi dua,yehi israar tha

Monday, April 2, 2012

mera zikr tu............




tujhe khabar hai meri zindgi
mujhe khabar teri mili nahi
teri nazar may mai sada rahi
mujh may hi mai tujhe mili
teri soch may mai chupi rahi
tera zikr hi meri zubaan hui
ye zindgi tujh say hui zindgi
be-sabaat hi sahi tu hai meri
tujhe bhul jaaun mumkin nahi
tu hi mera gurur meri bandagi
tera saath hai khizar-e-hayath
mere saath thi do qadam sahi

Monday, March 12, 2012

tu kahaan nahi .....



tu ayaan  nahi
tu kahaan nahi
tu wahaan hai
jahan asman nahi
dhadkan kahe
tu kahaan nahi
tu tasweer hai
mere haalath ki
tu taqdeer hai
mere sawalaath ki
tu kahkashaan
meri raat ki
tu mehak hai
is barsaath ki
tu shafaq hai
mere jazbaat ki
tu rooh hai
mere jism ki
tu hi hai ada
mere namud ki
tu nishaan hai
mere wajud ka
tujhi say hai
ye meri zindgi

ab tod de,na kar sayee................




jidhar uthi meri nazar
nazar aaye mujhe wahi
wahi junun,wahi aarzu
wahi talaash,wahi justaju
din raat usi say guftagu
jo kabhi na tha rubaru
baarish dua ban gayee
takti rahi banjar zameen
aankhon say jhaankti rahi
shola si ek raat shabnumi
teri khamoshi perda sahi
ab tod de, na kar sayee
maine rang saara pi liya
ab her pal lagti hun naii

Monday, February 20, 2012

paani ka moqadar pyaasa hai......





mujhe dekh samandar si hun mai
jisne chaha mujhe paar kiya
jo gharq hua usko na mili
jis ko chaha vo gharq hua
ab haal mera kuch aisa hai
dushman seena cheerta jaata hai
dost door khada reh jaata hai
areez hun laikin bebas hun
kashti ko saahil deti hun
khud maajhi ke hawaale rehti hun
paani ka moqadar pyaasa hai
matlab samjho tou zara sa hai
gar samandar pyaas bujha lega
saara aalam pyaasa reh jaayega

Tuesday, February 14, 2012

ye daam sunehra acha hai....................






ye daam sunehra acha hai
rangrez tera rang kacha hai
ye anchal maila hi acha hai
tune laakh sajaya arsh magar
mera deewanapan hi acha hai 
wahed dil deen ka markaz hai
tawwaf dil ka sab say acha hai
meri aankhon may jo rehti hain
un aankhon ka rang sacha hai
mai kya hun ek sifar ke siwa
mujh may ek wahi tou acha hai

Wednesday, February 8, 2012

kya ye tassawur ki udaan hai..................




teri khamoshi pashemaan
teri khamoshi hai shikwa
teri khamoshi say nalaan
koi aur bhi hai pareshaan
na yon tu chup raha kar
ghair say hi sahi kaha kar
per kisi aur ka bhi patta kar
yaqeen jiska tera guman hai
teri ek jumbish uski jaan hai
tu sada us pe meherbaan hai
kya ye khayaal ki hai luzzat
kya ye tassawur ki udaan hai
kyon dil de raha hai gawahi
uski khamoshi meri zubaan hai

Sunday, February 5, 2012

Adab Martaba Hai..........







Aye ba-adab,marhaba hai
ye adab martaba hai
ye khillat-e-faakhira hai
ye mominon ka quba hai
ye hai giraan qadar nagina
ye nayaab gul-e-wafa hai
ye zubaan hone say qaasir
ye wasf safa hai marwa hai
ye jazba junun ki hai manzil
ye dil kahin aur na jhuka hai
qaul-o-qarar ke daayere may 
nasib ka maara kub ruka hai
do jahan haar ke ye samjha
teri azmath hi iski irteqa hai

mera dil keh raha hai................








 
mera dil keh raha hai
mai ab thak gaya hun
gar tu mera saath de de
shayed mai chal padunga
bas do qadam meri manzil
ab na kahin badhunga
ab nahi taab mere dil ko
koi zarb na sah sakunga
mere haal per karam ho
warna mai ro padunga

Friday, February 3, 2012

Aaj mai nay phir kuch likha hai.....





Aaj mai nay phir kuch likha hai
is tarha khud ko zinda rakha hai
tera khayaal hai ke mashaal hai
her raah ko taa-binda rakha hai
koi be-basi dil kisi ka na tod de
isi soch nay sherminda rakha hai 
sada-e-haq chahati hai ek zubaan
usne apna gawah banda rakha hai 
chun chun kar sab ghum usne likhe
us per khataon ka pulanda rakha hai
faryaad kar rahi hai faqat teri yaad 
kya isi  liye mujh ko zinda rakha hai

Monday, January 30, 2012

Aaj Jaana Humne..........





aaj jaana humne
khwabon ki haqeeqat kya hai
aaj jaana humne
insaan ki qeemat kya hai
aaj jaana humne
duniya may musibat kya hai
aaj jaana humne
rishton ki sadaaqat kya hai
aaj jaana humne
maujon ki baghawat kya hai
aaj jaana humne
tufaan ki zarurat kya hai
aaj jaana humne
haqeeqat may mohabbat kya hai
aaj jaana humne
zindagi ki haraarat kya hai
aaj jaana humne
deewane ki shararat kya hai
aaj jaana humne
bardasht ki ujrath kya hai
aaj jaana humne
asal may baseerath kya hai
aaj jaana humne
yehaan apni zarurat  kya hai

Saturday, January 21, 2012

Kaii dinon Kay baad.................



Kaii dinon Kay baad
 Aai hai suhaani raat
 Veeranion nay khud
 Cheri hai gluon ki baat
 In serd serd fizaon ko
 Teri yaad de rahi hai maat
 Bujhi bujhi lau bhi jal uthi
 Koi tou hai hawa Kay saath
 Dhadak utha hai dil thaka hua
 Usey Mil Gaya yaqeen ka haath