Search This Blog

Thursday, April 29, 2010

Koi zarb jub dost ban kar


Mujhe gila kisi se nahi hai
Mujh may hi koi kami hai
Koi zarb jub dost ban kar
Jigar mera chaak karde
Meri ana ko pal bhar may
Koi Lamha khaak karde
Kahin koi chot ubhrey
ilzaam mere sar hi tehere
mai ghafil kahan hun khud se
ye roshni mili hai jahad se
pyaala lubon tak laate laate
zabt ke sabaq samjh may aate
tund hawaon se ghabrana kaisa
ye shamma jali hai jalaate jalaate
musaheb mamnun-e-mehafil sada hai
wahin mere hosh ki dawa hai
jub talak koi ungli na uthey
insaan kaamil kub hua hai
Aainon ki bhala ab kya zarurat
Uski aankhon ne yehi kaha hai
Bhatka kare bhatkaane waala
Apna patta usi se mila hai
Zindgi ,Mai sherminda nahi hun
Ye meri aagahi ka silsila hai