Search This Blog

Wednesday, June 27, 2012

Isra






mai na jaanti thi
ke shab intizar ki
kehlayegi isra kabhi
mai jaanti thi ulfat meri
paayegi meraaj ek raat ki
tu mili jaise koi ujli subah
jaise buund nayi barsath ki
tu kahakashan chaandni raat ki
tu roshni hai aqadas zaat ki
tu raaz asmaani hai jaan
tu isra hai naye muhimat ki
hum ko junnat yehin pe mili
thaami jub ungli tere haath ki
huye wabasta tere naam say
chali baat jub bhi,teri baat ki

Sunday, June 24, 2012

Tu na sahi tera Khayaal hi sahi....................





ek khushnuma safar hai zindgi
tu nahi sahi tera sawaal hi sahi
her ghadi hai ye teri muntazar
tu na sahi tera khayaal hi sahi
kub say sooni padi hai rehguzar
aa yaad ke yaad ka gulaal hi sahi
go khamoshi teri kimiyaai hakim
hikmaton ka inhen malaal hi sahi
sada talabju rahega talib rahbaran
haasil tu na sahi teri misaal hi sahi
tu misl itr-o-gul ibadaton may hai
hijr ka hisab ye mah-o-saal hi sahi
her lamha cut raha hai vasl ki surat
ye mere khayaal ka kamaal hi sahi
sabaa kahe mehek pehchan le meri
mai hun her taraf,ye vabaal hi sahi

Wednesday, June 20, 2012

Ye kashtiyaan kabhi......





ye kashtiyan kabhi safar na kar sakeen
inhen kinaaron say is qadar pyar hogaya
khauf hijr ka inhen le kar na badh saka
koi nakhuda rawan dawan na kar saka
waadey tou bahut kiye they nasib ney
in may say koi kaatib ko yaad na raha
jub bhi aftaab say zameen galey mili
najaane kyon ghurub ka dar laga raha
halaath ke thapedon ne saahil bhula diya
maajhi ne kashtiyon ko darya dikha diya
vo jaanti theen apne junun ki intiha
tabhi tou hosaki ek naye safar ki ibtida

Saturday, June 16, 2012

Aye shaam husn tera kyon udaas hai....



aye shaam husn tera kyon udaas hai
najane kaun say manzar ki pyaas hai
mai ayeen hun aur vo sanaa-kaar hai
duniya badalne ka hunar uske paas hai
teri tarha mai bhi ek ummidwaar hun
muddaton say mujh ko uski hi aas hai
ye intizar tujhe kabhi dhalne nahi dega
tu baaqi rahegi jub tak baaqi teri aas hai
sau dil bane tab kahin usne khuda kaha
bas usi ek lamhe ka khuda ko paas hai
kaarobaar jahaan ka hai kuch is taraha
yehaan koi aam hai tou koi khaas hai
gum jo kar gaii vo bhi teri hi raah thi
Deewangi meri tere junun ki asaas  hai

Friday, June 15, 2012

ye chaand nahi hai dekho..................



ye chaand nahi hai dekho
ye aks tumhaara hai
ab na zameen meri hai
na asmaan hamara hai
sone waalon ne kahan dekha
ye shab bhar ka sitara hai
iska naqsh,nigaar na paaye
ye sab say nyaara hai
koi dum jo bichad jaaye
ulfat ke maaron ka qasara hai
uski her nazar inayet hai
uska tabassum bada pyaara hai
guftar nerm,raftar baraq uski
ajab palbhar ka nazara hai
ek karishma si hai zaat uski
uski sohbat per hi guzara hai
wahi mere khayaal ka mahavir
wahi mere lafzon ka sahara hai

Monday, June 11, 2012

Warna Duniya may rakha kya hai..............





aaj kitne arse baad 
khola hai maine is baksey ko
kuch purze hain ye kal kay
yehi meri rooh ka haasil hain
ye korey hain per mere hain
be-rabt hain per kaamil hain
yehan kaun samajh paaya hai 
her koi jaane ke liye aaya hai
per ye mera baksa anokha hai
isney mehfuz hona sikhaya hai
yehan maine khud ko chupaya hai
yehin mujhe jeena raas aaya hai
warna duniya may rakha kya hai

Tuesday, June 5, 2012

Manzar tere chehre ka.............





manzar tere chehre ka
reh reh ke ye kehta hai
yehan koi aur rehta hai
ye kaali siyaah aankhen
kal jugnu si roshan theen
ab yehan kaun rehta hai
tere khamosh sookhe lub
zabt ki wahi kahani hain
insaan jahan sanwrta hai
hirasaan na ho meri jaan
faqat kasoti hai ye duniya
yehaan her koi sehta hai
ye ek say raat din terey
kyon sehra say lagte hain
kya koi gul bhi khilta hai
yarab tu sab ka hai nigran
tere hawale hai meri jaan
phir kyon dil ye behta hai

Friday, June 1, 2012

Ujaala mere khwabon ka.....






ujaala mere khwabon ka
rehne dey sawera hone tak
ye subahen aksar apne saath
malgaje andhere le ke aati hain
husn yaadon ka pal bhar may
ankhon say noch jaati hain
yon bhi deewanon ki chahat ka
koi matlab nahi hota
na koi deewana furqat may
phir deewana hota hai na rota
ke vo tou hai hi deewana
uska dil  azal say hai veeraana
do ghadi koi aa ke sustaa le
phir bhul jaata hai laut kar jaana
dar darvesh ka bhala kaisey chutega
dil chahta hai wahin pe mar jaana
ye ishq-e-pechaan hai saaheb
asaan nahi hai is say bach paana
daam dil ke yehaan mehenge hain
muft bat-ta hai ulfat ka paimaana
do ghoont ke gunahgaar hum bhi hain
is surur ki qeemat do nafil shukrana