Search This Blog

Sunday, May 22, 2011

phir safar ka moqam hai.....


phir safar ka moqam hai
phir arzu lub-e-baam hai
kai samandar hain raah may
aur manzil meri do gaam hai
ye fitna-parwar duniya kahey
hamaare haath teri lagaam hai
muskura raha hai mera hausla
ye talwaar dekh be-niyaam hai
andheron may ek buund noor ki
uske jalwon ka hi ye kaam hai
jub say khud may dekha khuda
ab mushkilon may bhi araam hai

Tuesday, May 17, 2011

Ye Surkh Gulaab


shaakh ne li chupke say siski
ek bundd lahu ki jub tapki
chehre pe tamazat khaar ke thi
kali kali surkh gulaab huii
yehi vo rasam-e-ulfat hai
jo derperda nibhaii jaati hai
jub phulon pe jawaani aati hai
tab kahin khaar janam lete hain
saath hai in ka choli daman sa
yeh masum mujahid kehlaate hain

Tuesday, May 10, 2011

ek gumraah say apni...............


Meri jaan mujh say meri jaan maangta hai

jo rondh gaya khud hi vo aan maangta hai

mujh ko bulaata hai phir rooh ke safar per

ek gumraah say apni pehchaan maangta hai

mohabbaton ka azal say yehi ek silsila hai

jo waar day khudi ko vo insaan maangta hai

her su hai aaj bhi wahi zameen hukumaton ki

her rishta mujh say mera imaan maangta hai

tuu jaanta hai meri shomi-e-taqdeer ki duhaii

tuu mujh say mera wahid armaan maangta hai

jub lag gaii hai baazi darne say kya hai haasil

kyon khauf laghzishon ka paimaan maangta hai

teri hansi keh rahi hai qareeb manzil meri hai

ab ye safar na koi saaz-o-samaan mangta hai