Search This Blog

Friday, February 19, 2010

Ye saal pehla




Umar ka tumhara

Ye saal pehla
Aane waali sadi ki
Ek aisi kadi hai
kahin na kahin
Sab ki Arzu
tumse judi hai
Koi khwab tumhare
Gar dekhta hai
Meri jaan Daanish
Tumhari khushi may
Khuda dhundta hai
Jeene ka matlab
Tumse mila hai
Tumhara hona
Zindagi ka silsila hai
Tumhara haseen chehra
Meri Dua hai
Tumhari muskurahat
dil ki dawa hai
meri jaan tum ko
milengi sab ki duayen
ye mehafi tumhari
saja rahi hain maayen
ye buzargon ke saaye
faizaan-e-rahmat
inhi ki badaulat
milegi tumko junnat
meri jaan tumko
ye hi payaam denge
inhi may tumko
rahabar apne milenge
meri jaan Daanish
danishwari ki
tum missal banna
choton se mohabbat
badon ki tazeem karna
apne Abba ke dilse
apne phuul chunna
tahmmul ka daman
Ammi ka daman samjhna
tumhare rang saare
khuda ko hain pyaare
usine asmaan se
hain ye jalwey utarey
basher ko samjhaii haqeqat
warna insaan insaan se
kaise karta mohabbat
tum ye mohabbat nibhana
ho tum se roshan zamana

Monday, February 15, 2010

Kaash hoti khwab ye zindgi


Aaj kal dekhiye saahibo
Sohabaton ka bhi mole hai
Umrbhar yehi socha kiye
Mohabbat badi anmol hai
Ab jaa ke samjhe hain hum
Ye duniya kyon itni gol hai
Gardish-e-dauraan ne dekhiye
Khola kaise kaison ka pole hai
Dono haathon se taqdir ke pitey
Dil hai ke jaise koi dhol hai
Kaash hoti khwab ye zindgi
Haqeeqaton may bada jhol hai
Ab yaqeen ko samjhayen kya
yehan her koi danwa dole hai
Fareb hai ye Duniya dilfareb
Sacha buzargon ka qaul hai

Saturday, February 6, 2010

rang ulfaton ka




Shahar-e-khamoshan se
Aaya hai ko qaasid
Khamoshion may koii
phir se tahalka hai
her dam badal raha hai
rang ulfaton ka
ab ke himaqaton ka
rang bhi halka hai
her baar us se mil kar
usko hi humne dhunda
her chehre per hai qaadir
ye usi ka malka hai
tauba uski be-niyaazi
ishq ki dekh sarfarazi
ashiqon ki her ada may
wahi tou jhalka hai
apna ye nahi thikana
us se milkar raaz jaana
uske sang safar ye
gulshan se gulka hai
her qadam ek manzil
her raah,raah-e-haq hai
mila raahbar ki surat
makeen mere dilka hai