Search This Blog

Sunday, July 31, 2016

mujhe yaqeen hai mere yaqeen ......





kabhi khayaal kar le koi sawaal
tum un ka ghum na manaya karo
mujhe yaqeen hai mere yaqeen 
mere guman may na aaya karo
jisey paaya dono jahan haar kar
usey pal may na ganwaya  karo
mai farsh aur arash ki hun kadi
mujhe khayaal,na uljhaaya karo
mai jaanti hun khula meri zaat ke
apne daman taley na chupaya karo
zabt ki manzilein abhi door hain
imtihaan may waqt na zaaya karo
khayal khamoshion ki hi goonj hai
inhein apne naam se bulaaya karo

Wednesday, July 27, 2016

mai yaad hun aaungi gar bulaoge...................






mujhe bhula kar bhi na bhulaoge
mai yaad hun aaungi gar bulaoge
meri kashmakash ka ho raaz tum
bujh hi loongi gar tum bujhaaoge
mere yaqeen ko ab to de do hawa 
mere gumaan ko kub talak sulaoge
soch kehti hai  tum soch  ho meri
tum  hi mujh ko mujh se milaoge
jub talak baaqi hain hosh ye mere
sochti hun kahin  to mil hi jaaoge
Is deewngi per gar ho jaaye karam
in sawalon  se tum nikal  hi aaoge
thake thake say lamhe kehte hain
her haal may apna waada nibhaoge

Wednesday, July 20, 2016

Ek baar phir mujhe....



Ek baar phir mujhe
Usi safar pe lay chalo
Jahan her shaye khumar thi
Jahan ankh dil may shumaar thi
Na dahan zer-e-baar-e-kalaam they
Na dil ke pyaam nashar-e-aam they
Na chasm talab-e-iltifaat ki thi mutmani
Na tha malaal koi bujh le na ye unsuni
Bas rubaru tha Ek jalwa khaira kun
Dil sun raha tha uski dilnasheen dhun
Lafz samaaton ka safar kar hi na sake
Hissein aaj tak apni maut mar hi na sake
Aisa samaa kabhi aam ho hi na saka
Ye lamha sab ke liye jaam ho hi na saka
Bada baa kamaal tha mil kar nahi mila
Darmyan deewar thi,aur jaari tha silsila
Ek aaina rubaru tha jaise shab-o-roz
Khud apna deedaar tha kitna jaan soz
Ghusl-e-sehath paa gaieen rooh ki aziyetein
Mukammal kar gaieen Ye dar perda sohabatein

Tuesday, July 12, 2016

Tha ek khayaali jugnu......





Ek khayali jugnu ka taqab tha
Dasht bhi kitna pyara pyara tha
Umr tamam hui shab bhar may
Dil bas ek khwab ka maara tha
Ghadiyon ka hisab ab kon rakhe
Jub unhi ghadion per guzara tha
Rooh sarshaar thi uski sohbat may
Her lamhe ne khud ko nakaara tha
Aah! Dum bhar may duniya ojhal thi
Khamoshi may bhi usi ka naara tha
Tamaam hasti pe muhit thi uski hasti 
Ek dil ke siwa sab kuch hamara tha
Akhir jaanan ye alam konsa alam hai
marna mera kya ji uthna dobara tha
Kaash tere aage zubaan hojaun mai
Tera qurb ka her pal ek ishara tha
Teri ranaii salb kare leti hai tawanai
Phir koi hosh kahan koi yaara tha
Teri haqeeqat khuda jaane ya deewane
Tere siwa dil ka kahan koi chara tha