Search This Blog

Thursday, March 30, 2017

Ek mussaver......


Image result for beautiful women paintings


ek mussaver kab se khayal ko
apne khayali butth se nikaal kar
dhaalne laga hai khaakon may 
kahin aisa na ho ke vo khaaka
uter hi aajaye uski ankhon may
----------------------------------------

vo zeenatein tamaam waqt le gaya
vo roghbatein khud tamaam hogayeen
na jaane aqal se parheiz kyon raha usey
dil ki besood koshishein nakaam hogayeen
muddaton ke baad khud se azad hogaye
umr ki adhuri manzilein paigham hogayeen
qismat ke faisley aate aate hi aate hain samajh
ranjishein saubatein ulfaton ka inaam hogayeen
tassawur nigah ko rang deta hai do ghadi
ye pal do pal ki inaayetein uske naam hogayeen
zindagi her lamha lagti hai hum ko ajnabi
teri meri kahaniyaan ab aam hogayeen

Thursday, March 23, 2017

Chalo phir koi ummid ki amad hai......................



Chalo phir koi ummid ki amad hai
suno phir koii khayalon ki bhar paai
Abhi hai waqt,hafiza Zara sa khush ho le
Dil ki khahish hai ke vo bhi kuch boley
Abhi tak khwaab , kehte they sunte they
Aaj hasti ne raaz apne ajab kholay

------------------------------------------------------

Koi sargoshi chaunka deti hai raaton ku
Nind may zaaya kar na mulaqaton ku
Abhi ghafil ganwa na emkan-e-vasl ka mauqa
Ye shab khwabi kahin de na jaaye naya dhoka
Koi dhund chutne ko beqarar hai kab se
Koi nazara milne ko betaab hai kab se
Ye duniya khayalon may hi guzri hai
Yehan khwabon ki hi sabz nagri hai
Haqeeqatan hosh ka hausla kum kum hai
Vo ab tak khud se mil kar hi gum hai
Aah! Zindagi tujh se mil hi sake na hum
Her aah per tujh se door hotey rahe hain Hum
Jo roya karta hai duniya ke na hone pe
Vo phir roya kare na moqadar ke khone pe
Zindagi niyamat hai hazari agar samjho
Pal pal karoge aabyaari agar samjho
Koi khud dhoka hai koi hai khud mauqa
Koi khaali nahi hai ajar se agar samjho
Yaad ka kona kona muattar hai
Yaad ko bas tu hi tu muyassar hai
Taalib aaj bhi be perwaz aur be parr hai
Matlub hamesha se deewanon ka khugar hai

Friday, March 3, 2017

khafa khafa si.....





khafa khafa si lag rahi fiza ye
mosam ka apna mizaj bhi nahi hai
door tak nazar kar sake jis ka peecha
aisa koi manzar door tak nahi hai
khamoshi dil may mehfuz hogai hai
ab usko zuban ki zarurat nahi hai
ehsaas ban gaya hai saath rehte rehte
us ke lams ka ehsaas kyon nahi hai
fasaana lag rahi hain be-khwab raatein
shama ko bhi jalne ki ijazat nahi hai
kyon ghabra rahe hain vo aainon se
jin ki nigaah khud per teherti nahi hai
zikr ki ghadi karaaye tere darr ke phere
faryadi ka kabhi waqt zaaya hota nahi hai
aye khayalon ko paighaam karne waale
tere khayal may guzar inka hai ke nahi hai