Search This Blog

Friday, February 16, 2018

ek diya humne bhi jala kar rakha hai...............



Ek diya humne bhi jala rakha hai
Teri khatir  khud ko bujha rakha hai
Vo kehte they jisey dil kabhi hum bhi
Usey Teri raahon may bicha rakha hai
Ek ek lafz piro kar sajaya hai tujhe
Ek ek lamha galey se laga rakha hai
Rafta rafta ho hi gaye rafu ye zakham
Jinhein barson say chupa rakha hai
Simat gaye tere khaul may hum bhi
 tere qaul per khud ko bhula rakha hai
Barson se sulagti  is khamoshi ne
Ek tufan seene May macha rakha hai



Sunday, February 4, 2018

mere mansab se vo mujh ko hutne nahi deta....................





mere mansab se vo mujh ko hutne nahi deta
mujhe apne iradon may kabhi butne nahi deta
sada dhunda kiye khud ko us ki nigahon may
nigahon se kohra khayalon ka chutne nahi deta
magan ho kar duniya bhula sakta hai deewana
magar  junun  apna kabhi ghatne nahi deta
tujh se raah-o-rasam ki bas yehi ek hai surat
tassavur ko tere ek pal bhi mitne nahi deta
meri saansein  gawaah hain  tere  ek hone  ki
tu mujh se nazar teri kabhi hutne nahi deta
khudgharz duniya ki gharz hum ko bana kar vo
hamare dil se faiz apna kabhi ghatne nahi deta
tamashaii jaanta hai bhedh in tamaashon ka
sabab,musabab se ek pal bhi hutne nahi deta

ye mahaz lafz kahan hain mere....................





ye mahaz lafz kahan hain mere
ek ek khwab sunaya karti hun
Ek raat ka hai saara afsana
Jahan khud ko ganwaya karti hun
pal pal jo buni thi dil ne
wahi tou sajaaya karti hun
roz roz tassavur se juda ho kar
koi tasveer banaya karti hun
apne lafzon ka gira kar perda
ek raaz bataaya karti hun
roz ek naya kar ke irada zalim
roz khud ko sataaya karti hun
mere hone ka bharam hai tujh se
her su tujhi ko paaya karti hun
tujh se hi hai saari faramoshi ye
tujh se hi hosh may aaya karti hun
jahan apna patta na lag paaye
wahan khud ko chupaya karti hun
tera karam hai ek labreiz suraahi
her dil ko jum jum pilaaya karti hun