Search This Blog

Monday, December 11, 2023

ye hosh ke marhale hain...


meri raaten teher gaii haiN
mere din guzar gaye hain
ye hosh ke marhale hain
mil kar mukar gaye hain
sehemi khamoshiyon say
tufaan bhi dar gaye hain
tera darr bandh kyon pada hai
bekhwab kitne peher gaye hain
herkat suna hai zindgi hai
ye herkat vo kar gaye hain
aakhir hasti ka namud kya hai
kitne ilzam iske sar gaye hain
jo chund saanson per tiki hai
us zindgi pe hum mar gaye hain

Tuesday, October 31, 2023

yarab is duniya ki be-hisi ka ....

 



yarab is duniya ki be-hisi ka 

tere mazlum bandon ki be-kasi ka

dono jahanon may shore jo macha hai

kya tere qanun-o-qudrat say poshida hai

jurm kahan aur kis kis se hua hai

masumon ki ismay kya khata hai

aaj maseehaii ki jisey ashad hai zarurat

vo kyon asmanon may tujh ko dhundta hai

shah-e-rag se qareeb-ter jo sada raha hai

akhir us sa samee-o-baseer kon bhala hai

maula ek tere "kun "se khauf khaaye "jahal "hai

usi "kun"se  mazlumon ki  her mushkil "sahel "hai 

un nhanne zaakiron ke sadqe hogaye kitne momin

un masumon ke yaqeen ka yarab ban jaana zaamin

tahidast hain seherai magar tahi daman nahi hain

jis ka tu khuda hai vo be asra be amaan nahi hain 

tere bandon ne thama hai daman-e-rahmat-e-do alam

teri hi rahmat  ka hain nishaan mazhar-e-do alam

apne ummatiyon ki kasampusri vo sahaar na sakenge

jub tak tu na sun le ,mere habeeb iltija karte rahenge

mere malik teri shaan-e-kareemi sab hai teri dastaras may

tune kaha hai zulm ko rokna hi afzal hai teri nazar may

tou phir is khamoshi ko abujahal ki  fataha na banana

un nhanne shahidon ke sadqe dua sab ki maan jaana

tune mod kar rukh abraha ka abdulmutalib ki laaj rakhli

yarab  tere payaron ka waasta hai tere bandon ki laaj rakh le

Thursday, September 14, 2023

paas-e-wafa

 



un rishton ka mai kya karun

jo mujhe kabhi na mil sakey

ye khuda se hain per khuda nahi

jinke baghair zindagi na chal sakey

zar,zan,zameen si hain inki mohabatein

unka nizam inke baghair na chal sakey

dhunde jwaaz mohabbaton ke,ke shayed koi

gharz ka maara, dil ke damon hi mil sakey

zaruratein yon mohabbaton ko kha gayeen

dono kahan is bheed may saath chal sakey

aaj umar ki thakan zindagi ki kitaab se

dhundti hai kaash aisa koi lamha mil sakey

jahaan koi yaad karta ho yon hi humein

ehsaas rishton ka humein kaash phir se mil sakey

vo bhi gaye, nibhaii jinhon ne khamoshi

waqt-e-rukhsat shayed goyaii hum ko mil sakey

jaane kitney sawal zehen-o-dil may dafan hain

aram in kofaton ko shayed hi kabhi mil sakey

Efa-e-ahad ne chin liye dil ke saarey ekhtiyaar

aye kaash kabhi ekhtiyaar is dil ko mil sakey

lahu ki kashish ek din rang laayegi zarur

dil-e-natwaan ko iski khabar shayed na mil sakey

suragh humne paa liya is kashmakash ka aye huzur

derd ke maaron ko darmaan tum sa na mil sakey

Monday, September 11, 2023

Ghum-e-Hijraan

 



Tere jaane ka manzar

Ankhon se nahi jaata

dil is mitti ki haqeeqat 

maan kyon nahi jaata

shahar-e-khamoshan se

wapes  koi  nahi  aata

---------------------------------------

tu ne kaha tha kabhi mujh se

azeez hun mai jaan se zyada

jaate jaate teri jaan kah gaii hai

Usey paas nahi tere qaul ka zara sa

khalikh ne ajab khel ye racha hai

Dil-e-adam ka nahi kiya khulasa

be-basi dilon ki ajab be-basi hai

Agley jahan Ka mila hai unhein dilasa

aye kaash bheys adam ka tu bhi leta

mohabbat ki bebasi ka raaz jaan jaata

maana ke tera banda la-faani nahi hai

ghum-e-hijraan ki saubaton se hi jaan jaata

jeene marne ke hausle diye zarur tune

jaane waalon ka ghum uthaya nahi jaata

un ankhon ki khamoshi shikwa kinaan thi

hijir ka ye mosam teher kyon nahi jaata

Monday, August 14, 2023

yehan hum nahi akeley.....

 


duniya ke haseen mayley

yehan hum nahi akeley

-----------------------------------------------

her dil ki upaj naii hai

her ankh naya jhelti hai

zindagi her pal naya tamasha

roz hawadison se khelti hai

lagta hai ke mere liye hai

magar parat sab ke kholti hai

tukdon may sab but gaya hai

khud may khud ko tatolti hai

rab ne admi banaye admi ki khatir

kahan admiyet in may bolti hai

baat mokhtasar si bas hai itni 

tum se tumhi ke raaz kholti hai

Sunday, August 6, 2023

umar ki ye manzil......................

 




umar ki ye manzil

ajab mode le ke mili hai

jis dil pe takiya tha

usne bhi ankh mundh li hai

waqi usul duniya ke sitam hain

mosamon si inki dhaandli hai

aye zindagi tera chalan wahi hai

azma kar bande ki jaan li hai

khushi may hai ghum ki luzzat 

yehin pal do pal rahat mili hai

jahan luta tha qaafila dil ka 

usi sehera may umar apni dhali hai

kya seher tha kaisa haseen sitam tha

jeene marne ki sauubat eksi mili hai

mushkilon ke saath raahatein kyon hain

teri zarbon se baat hum pe khuli hai

khudaya shikwa kinaan dil may bhi tu hi

deewane dilon ki manzil teri hi gali hai

Tuesday, July 4, 2023

in sochon ke samandar say................


in sochon ke samandar say

yaadon ke moti chun chun kar

laakh piroya waqt ke dhagon may

koi haar galey ka nahi ban paaya

in ka koi sira haath hi nahi aaya

ghum ke thapedon ne halath ke tufaan ko

hai duniya ki haqeeqat kya ye samjhaya

chal aye ghum-e-dil hum ne bhi jaan liya

saath koi nahi deta na tu na mera saaya

haasil-e-karam bas   ek sakun lamatnahi

is se sawa kya hoga  rab ne yehi batlaya

jaane   is khamoshi may  hai ye sakun kaisa  

teri meri ek hi chahat  hai yehi samjhaya

teri hikmat hi mohabbat thi mere maula

tere bandon ko aate aate  samajh aaya

Friday, June 16, 2023

Charagh-e-Dil

 



taaza hain aaj tak 

teri sohabaton ke pal

teri ahaton ka muntazar

 hai ye rooh ka safar

teri yaadon se jul uthey

hain phir charagh-e-dil

hawaon may phir wahi

maanus mastani si mehek

shal jism-o-jaan may kahin

hai koii ruposh hum safar

dubte palon ki wahi hai tazgi

tanhai bhi hogai hai mokhtasar

her saans usi ki hai guftagu

wahi khayal hai mera chahragar

waqt ka carvan  badh hi nahi saka

her jaa  laga  humein ek hi nagar

tune chin lein   hissen hijr ki sabhi

khana-e-dil may tu rah gaya magar

Monday, June 5, 2023

tu nahi hai abhi.....

 


zindagi  zindagi na rahi

hogaii teri yaad zindagi

hai muamma  ulfat teri

thi abhi  tu nahi hai abhi

--------------------------

khamoshiyon ko dekha  hai phir se jhinjod kar

waan bhi kuch nahi tha khamoshiyon ko chod kar

shaamil tha zindagi may   jo   shab-o-roz ki tarha

vo chal diya achanak mujh ko yon tanha chod kar

jo dil apni hi athkheliyon may taumar magan raha

anjan tha milti hai khushi chaadar ghum ki odh kar

zamaane bhar ke ghumon  ka  beda jisne gharq kar diya

chal diya tufaan ashna usey thapedon may chod kar

thi kise khabar shaam-e-ghum   itni hogi taweel-ter

bund bund  zindagi ka lejayegi yaadon se nichod kar

rang chahaton ke  hasrathon   say mil kar   behel gaye

khwab jitne they zindagi  ke chal diye muh mode kar

akhir ye dil apni zad se aage nikal hi na saka kabhi

ek tum hi they meri hasti ko rakhte they jod kar

aah, zindon ke darmyaan  khud ko zinda nahi lagi

tumhari yaad ne thama hai baarha mujh ko daud kar

Monday, May 22, 2023

dil keh raha hai.................

 



aye khuda mujhe khud nahi patta

mujhe kya hua mujhe nahi patta

dil keh raha hai bus sab bhul jaa

jo hogaya hai tha sab taye-shuda

teri soch ka mehdud hai daayera

tu bas apni taqdeer ki maan jaa

kaatib ne jo likha apna sar jhuka

her aane waala ekdin wapes gaya

waqfa faham ka na ro kar ganwa

duniya ka husn arzi,arzi hai irteqa

rooh se qayem hai adami ki baqa

khaaki may khalikh ka ansar hi mila

Thursday, May 11, 2023

ye shaam badi mokhtasar hai....

 



jaan liya hai jaan kya hai

jaate jaate jaan ne kaha ye

kisi ko jaan na keh sakenge

ye shaam badi mokhtasar hai

isey jawaan na kar sakenge

umar ka dhoka kha liya hai

waqt ko rawaan na kar sakenge

hijir-o-vasal ke lateef tazkare may

tera derd ziyaan na kar sakenge

tere sath munjamid dil hogaya hai 

isey aur pareshan na kar sakenge

Tuesday, May 2, 2023

ye kal ki baat hai...

 


ye kal ki baat hai

humqadam they tum mere

ye zameen thi meri

asmaan se tum jo they

mujhe kahan hosh tha

meri duniya tum jo they

sohbaton ke ajab rang they

mere rang tumhare hogaye

mai waqt ki likhi dastan hogai

tum mera unwan hogaye

zindagi ka ek anokha tajruba

ehsaas ka safar ain se parey

jahan baat dil hi kare dil sune

darmyaan jub paikar hi na rahe

phir koi justaju kyon kar kare

meri zindagi may tum hi they

aaj is khula se horaha hai nashar

perwaz to hai taye,zindagi mokhtasar

ye naye ratjagon ki numi hai......................

 


zindagi naye safar per

lagta hai nikal gaii hai

shaayed dil ki duniya 

rang apna badal gaii hai

----------------------

khwab safar ke raaston ko

musaferon ki kya kami hai

khwabida ankhon may aye dil

ye naye ratjagon ki numi hai

na ghum hai na khushi hai

nabz bhi thami thami hai

lipti hai kohrey may duniya

ya dhund sochon per jami hai

zindagi ,zindagi lagti nahi hai

shayed,teri saanson ki kumi hai

suragh us jahan ka mil gaya hai

is safar per tu tanha nahi hai

Sunday, April 2, 2023

Vo kahan nahi hai....






Ye diya jo timtima raha hai

De gaya hai suragh roshni ka

---------------------------------

sadiyon ki musafaton ney

umarbhar ki kofton ney

thaka diya hai hum ko

ajab hai ghum-e-duniya

taaqab may hai musalsal

her din naya jahad hai

khud se naya ahad hai

duniya-o-maafiha se hut kar

mila karenge khud se

apni khamoshi bhi ab khata hai

tanhaii ka sakut bhi narawa hai

akhir is duniya ko kya hua hai

her karwat lagey saza hai

akhir tum gaye hi kyon they

mere aur zamaane ki darmayaani

wahed deewar tumhi they

ab roz aate hain pathar

ab unke haath ye masghala hai

akela shikaar asaan hogaya hai

chalo chalaao saare teer-o-nashtar

ab hum may khuda bol uthega

mazlum dil ki aah se bhi pehle

rab bekason ka dil thaam lega

daro nadano waqt ke ghazab se

ye kabhi eksaa nahi rahega

is dil ne mar kar bhi di zindagi hai

chot kha kar bhi tamanna yehi ki hai

kaash sitamgaron ko kabhi sakun aaye

ye zakham hi unka madawa ban jaaye

khuda ne azmaishon se hi likhe moqadar

inke baghair abur ho na sake samandar

aye dil jub sab tujhe patta hai

phir kyon ye aah-o-bakaa hai

tujhe yaad ho ke yaad na ho

ye raaaste tune hi chune they

phir shikwa kaisa nashtaron se

jisey tune samjha sitam hai

shaayed wahi kaleed khild ki ho

kya ye sakun ki dawa nahi hai

ke khuda dil may hi kahin hai

vo sab sun raha hai jaanta hai

tutey huye dilon ko wahi thaamta hai

subah shaam usi se guftagu hai

vo kahan nahi hai vo ku ba ku hai

Thursday, March 23, 2023

Gunj dil ki jub tak....

 



kaarkhana-e-qudrat may jo chupa hai

tere nadan bande ko kya patta hai

jo mahaz khaana puri may laga hai

iske ghaur-o-fikir ke darmyan faasla hai

in faseelon may banda ulajh ke rah gaya hai

kabhi doghadi is purfareb jahan se nikal paata

apni zaat ka jamaal usko nazar aata

ye kamaal uski apni zaat ka nahi hai

khalikh ki hikmaton ko samajh jaata

ke ye jung jo " mai " ki lagi huii hai

fareb-e-nazar ke siwa kuch nahi hai

tujh may " tera " kuch bhi nahi hai

dono alamon may tu tanha nahi hai

tere pal pal ki khabar tasheer horahi hai

banaane waale ne tujhe aaina hi banaya

tujhe hi aainon ka maqsad samajh na aaya

zinda hona zindagi ki nahi hai daleel koi

gunj dil ki jub tak naala-e-haq nahi hai

khilaf fitraton ke sada ladi hai jung tu ne

kabhi apni dorangi niyaton ke rang azmaata

tujhe gul bhi chahiye gulcheen ki roghbatein bhi

mumkin hi nahi , muhafiz khaaron se nikal jaata

rafta rafta raftaar zindagi ki samjha hi legi

aaya zarur hai , khaali haath koi nahi jaata

Friday, March 17, 2023

khamoshi se unko, hai pyaar is qadar............................





khamoshi se un ko, hai pyaar is qadar

veeran kar gaye hain shahar dar shahar
chale aao ke yaan bhi hai koi muntazar
tumhi ko dhundti hai her taraf ye nazar
ruka hua hai kab say ye ummid ka safar
tum ko mere haal ki kaise hogi na khabar
mere khayaal bhi hone lage hain muntashar
dhadkanen waqt se hogayeen hain bekhabar
zindagi saneha  sahi  guzarna hi hai agar
ye khaaki bhi is pul sirat se jaayega guzar
tahreek is khayal ki tujh per hai munhasar
meri zindagi ki ibtida wahi javidaan ek nazar

Wednesday, March 15, 2023

duniya shogal hai chund lamhon ka...................

 




aye do jahaan ke baadshah

mera koi nahi hai tere siwa

--------------------------

in sochon ke samandar se

kabhi nikal hi na paaye hum

ajab duniya mili thi hum ko

kabhi khul ke ji na paaye hum

shayed apna safar tha begana

kabhi aage badh na paaye hum

munjamid they ehsaas ye saare

hum ko mehsus kar na paaye hum

duniya shogal hai chund lamhon ka

iski zadd se nikal hi na paaye hum

in shab-o-roz may na dil shaamil tha 

teri mehefil se juda ho na paaye hum

farzi ye paikar tha aarzi sab talluq they

apni haqeeqat kabhi bisra na paaye hum

Friday, February 24, 2023

ab socho tou lagta hai...........................




haan baad muddat ke raaz ye khula tha
kirchiyon may rista apna hi dil mila tha

humsaya zindagi ka jo qhula lag raha tha
wahi ajnabi is qhula ka darr ban gaya tha

--------------------------------------------------------------
ab socho tou lagta hai

chahatein bahut theen
phir bhi chaha tumhen

laakh nasamajh rahe hum
phir bhi samjha tumhein

sawal khud na-samajh hai
kaash jaan paata humen

zindagi shikwa kinaan hai
kaash kisi din azmaate humen

ye haq tumhen humne diya hai 
warna kaise bujh paate humen

zindagi ko umar bhar sunte rahe
kaash baat dil ki sunaate tumhen

Thursday, February 23, 2023

Ye dil ki aah-o-fighan hai..............

 



in  khamoshiyon  ki

apni  alag  zuban hai

is chup ki dastan may

simta  hua  jahan hai

baarha usko suna hai

kehta kuch kahan hai

abhi kuch unsuna hai

dil ki aah-o-fighan hai

duniya se karde ghafil

nazron ka carvan hai

sohbat ke do ghunt pile

is  alam ka  vo kahan hai

talib ke dil sun raha hai

talab khud pasheman hai

raas aa jaaye humen bhi 

khamoshi jo hukmaran hai

Monday, February 13, 2023

bande teri zaat ek aaina hai......................

 


ye safar hai agahi ka

faham ki rahguzar hai

teri yaad hai Dastagiri

hurf hurf teri nazar hai

-------------------------------------------------

asmaan bhi hai roshan

mosam bhi hai gulaabi

saba her taraf eksi hai

ehsaas teher gaye hain

---------------------------------------

nabz ki gardishon may

ek dhamak si chupi hai

saanson ki laghzishon may

koi aah machal rahi hai

shikayet bhi bartaraf hai

shaam-e-ghum dhal rahi hai

dil ke rang qaus-e-qaza hain

mussawer ki hikmat yehi hai

jeene marne ke hain saleeqe

rasam-e-wafa usi ki kadi hai

ghum husn hain zindagi ka

unhi se teri takmil horahi hai

in saare makhmason ka haasil

tujhe najaat kofton se mili hai

bande teri zaat ek aaina hai

usi se munakes roshni horahi hai

tera chahna kamaal tou nahi hai

uski chah se baat sab ki bani hai

Thursday, January 26, 2023

Aye Dil....



umar  kya  gaii  zindagi  bhi  gaii

kya haal hai kisi ko khabar na hui

khud-faramoshi  ka alam na poochiye

do ghadi ke hosh ki khabar hi na hui

Tum hi they dil-e-be-nawa ki zindagi 

tum kya gaye zindagi ki aas bhi gaii

Ab lagta hai koi dum,nikal jaayega dum

wabastagi saanson se teri,jub se na rahi

saaye jism se juda , jaate jaate keh gaye

ummid ke safar ki umar tamaam ho gai

ek tum tanha nahi,derd ke bazaar may

laakhon ristey dil mile jahan tak nazar gaii

aye dil ye saniha pehli baar tou hua nahi

khaaron ko gul maan kar umar behelti rahi

Sunday, January 22, 2023

Umar ke ye mosam.....

 




umar ke ye  mosam guzar jaayenge

tere yaadon ke shajar ug hi aayenge

be-unwan dastaan kis ko sunayenge

lafzon may apna dil kaise samayenge

hum teri udasiyon may dhal jaayenge

yeh jalte bujhte pal tujh ko sunaayenge

kise tha patta derd khamosh hojayenge

tere baghair bhi din ye guzar jaayenge

lagta hai umarbhar khud ko sataayenge

be-sabat zindagi se mukar na paayenge

Wednesday, January 11, 2023

ek subah hone ko hai mehmaan.......................


 


ek shab musalsal hai darakhshaan

ek  subah  hone  ko  hai  mehmaan 

-----------------------------------

tum adum gaye jub se jaan-e-jahaan

mujhe nahi khabar ke mai hun kahaan

lag  raha hai  umar ka  safar neem jaan

dono haathon se lut raha hai khanmaan

jaane  waale  teri  yaad  hai  lahu  lahaan

mere qalam se tere qaul hogaye javidaan

rahi kya khoob zarafat sitam ki meherbaan

kiya  muhafizon ne  shab-e-khoon ka elaan

thi jisey takmil ki talab usi ko mila nishaan

jo darmaan hua derd may wahi  hai  insaan