Search This Blog

Saturday, July 25, 2009

Saaqi Ne Mayekashi ka....


Saaqi ne maye-kashi ka Haseen gurr sikha diya
Kuch hosh jo aaya tou Phir jalwa dikha diya
Jaam-o-sabu se Gharz deewanon ko na sahi
Apne mehbub ke darr ko Maye-khaana bana diya
Mast-e-ghum jo they Unhen pyaala thama diya
Saaqi ko pyaas ne Sair hona seekha diya
Aye naberd e azmaa-e-waqt Tujhe kya kya bana diya

Thursday, July 23, 2009

Meri Jaan Daanish



Meri jaan tum ne
meri baahon may aa kar
zindgi bhula di
Meri zindgi kya thi
waadon iradon ki
Ek ansuni daastaan
sulagti yaadon ke
sisakte aatish-fishaan
Khaakh hote palon may
Jott naii tumne jalaa di
Tumne mujh se
Ye duniya bhula di
Raah-e-gumrahaan se ho kar
ranaiion may kho kar
bas deewana ho kar
Ghum ki luzzat bhula di
Samjha tha kal
Jisey zindgi ka hul
Khwabon ke peeche
Chah may chahton may
haqeeqat ganwa di
Ab jaa ke jaana
Mera maqsad tumhara hona
Meri zindgi tumhaari
Meri jaan tum jaan meri
Tumhi se khuda ne
Samjhai qudrat
Tumhi se paaya
Raaz-e-wihedath
tum ko thi sirf
Mohabbat ki zarurat
Yehi tumhara lahu hai
Yehi tumhari parwaan
yehi rab ki chahat
yehi adam ka imaan
Meri mohabbaton ka
Kinaara tumhi ho
Meri hasrathon ka
Sahaara tumhi ho
Meri her arzoo ka
Jawaab pyaara tumhi ho
Meri jaan tum
Noor-e-khuda ho
Meri jaan tum
Jalwa-e-kibriya ho
Meri jaan tum
Khuda ki ada ho
Meri jaan tum
Adam ki sada ho
Meri jaan tum
Meri Dua ho

Sunday, July 19, 2009

Firaq


Bahut socha
Bahut chaha
Ke tum yaad na aao
Be-naam jazbon ko
Na Koii naam de-jaao
Yaad be-bas hai
Kahin bhi aati hai
Ek wahi tumhara
Paighaam laati hai
Kya ye mumkin hai
Mulzim se munsif ko
Ulfat hojaaye
Khataon may bhi Ulfat ka
Pehlu nazar aaye
Haan hosakta hai dekho
Izraah-e-karam koii
Ulfat ki Shaam de-jaaye
Zarurat ko kahin koii
Ulfat ka naam de-jaaye
Ajab mushkil hai
Qatil ke seene may
Dhadakta hua dil hai
Waqt-e-aakhir
Wahi hai Aakhiri khahish
Usi ki mehafil hai
Yehaan her koi be-bas hai
Zindgi ki baazi hai
Daau Khud ko lagaata hai
Baad marne ke
Safeena haath aata hai
Ye kaisi mohabbat hai
Mohabbat ke iwaz koi
silsila sazaaon ka
ishq ke naam kar jaaye
nasal dar nasal kis liye
mohabbat ki saza paaye
derd ka safar hai ye
kya kya na samjhaaye
furqat ke mosam ko
naya mafhum de jaaye

Tuesday, July 14, 2009

Etraaf


Usey patta hai
Gunaah kya hai
Khata kya hai
saza kya hai
junnat ke talabju
safar-e-junun may
Kahaan kahaan se guzre
deewangi nay Kitne dil todey
kiye aabaad kitne mayekhane
Kitni faseelen giraayeen
Kitne ghar lootey
Kitne dil ujade
hawas ko hawa dekar
kitne heelon hawalon se
apne zamra-e-be-nawahi tak
kitnon ko khinch laaye
hai abhi waqt,dekho
Etraaf ka ek lamha
zindgi badal jaaye

Monday, July 13, 2009

Koii Baat Naii Chedo




Khudara ab aur na chedo
Kuredo na zakhmon ko
Ye barson tarse hain
Sakun ke ek ek lamhe ko
Unhen haraa kar ke
tumhen sakun milta ho
Tou aao,aajaao le kar
saare lafzon ke vo nashtar
tumhen marghub kal bhi they
aaj bhi mehbub hain tumko
ye pesha kahan sabko
meherbaan raas aata hai
jalaa ho jiska dil
wahi dia jalaata hai
tumhen gar bharosa ho
mere zakhmon per
inhen phir azma dekho
ye ansuon ke nahi qaabil
siffak lamhon ka hain haasil
tadap araam ki nahi aadi
derd taskin ke nahi qaayel
ghum bhi tumse nalaan hain
in qiston se pareshan hain
waqfa-e-laazim ke khwahaan hain
chalo chodo na puchenge
kyon hai aur ye kya hai
ye sab kis liye aakhir
kisi ke laashe per se hokar hi
ghar pahunche hain taayer
Koi baat naiii chedo
Koi dilbastagi tou ho
zakhmon ko Pehlu badalne ki
muhallat tou de do

Thursday, July 9, 2009

Tumhi Deewangi......


Mere sher tum
Kahaan kho gaye
Tum khayaal
Kisi aur ka hogaye
Gar tum nahi
Mai bhi nahi
Tumhi may
Thi mai kahin
Meri zindgi
Tumhari multaji
Meri her dua
Ab ajnabi
Mere paas aao
Mere meherbaan
Yaaden sabhi hain
maatam-kinaan
mai jaanti hun
ye mumkin nahi
ab mai kahin
aur tum kahin
meri raaton may
saaye ki tarha
deewaron per sabt ho
meri deewangi tumhi
tumhi mera zabt ho
meri aarzu aakhiri
ho mujasim
tumhaari saahiri
tum chaand hi sahi
kisi aur asmaan ka
ek jhalak ka
haq maange zameen
mere sheron may tum
yon hi samaaye raho
mujh may apni khushbu
yon hi basaaye raho

Wednesday, July 8, 2009

Ishaara


Sab kehte they
Ek mahal ho Sapnon ka
Maine asmaan may
Kal ek mahal dekha
Do paaun Raqs karte dekhe
Kitni baahen Waa dekheen
Baadlon ko Takta dekha
Badli ki dekha dekhi
Chaand nikalte dekha
muskura kar kehte dekha
Ek tu hai Aur ek mai hun
Maine par dekhe Perwaaz dekhi
Be-awaaz safar bhi dekha
In khamosh nazaaron ko
yehi Kehte dekha
Safar sabhi ka Moqqadar hai
Saath safar jo karta hai
Wahi manzil ,wahi rasta hai