Search This Blog

Friday, December 25, 2015

be-shak khamoshi karam hai.....................







ye  mosam bujha bujha sa
kyon  tufaan utha raha  hai
be-khabar saakt fizaaon ko
kya manzar dikha raha  hai
be-shak khamoshi karam hai
kyon hulchal macha raha hai
ana-parast shaitan bhi bada hai
insaan se bhi yehi gila raha hai
maana ajz ba-adab ki hai zeenat
be-adab se kyon mat kha raha hai
tujhe mehbub hai sar jhukana
dekh kis ke aage jhuka raha hai

Friday, December 18, 2015

her su gar ishq nazaara hojaaye...........................



ek soach zehen may ubhari hai
baat samjho tou geheri hai
loag  kitney munafiq hotey hain
her dum ye kehtey rehtey hain
sab ko ek din wapis jaana hai
rab ka waada sab se sohna hai
jis ghadi bulawa aayega
saare daawey bhul jaayenge
bas ye kehte nazar aayenge
yehan kitne apne pyaarey hain
in kay dil ghar hamaarey hain
ek dil apna hi bhul jaayenge
apne khaul se nikal aayenge
jo ghar hai bas apne qaliq ka
bandey ka rishta hai salek ka
maang maang kar mar hi jaayenge
per maangney se baaz na aayenge
chund ghadiyion ke aur sawaali hain
daman puur hain phir bhi khaali hain
ghaur karo bashar kahan se aaya hai
usne apna jasd kahaan se paaya hai
teri hasti laakh khaaki sahi
ismey tou rab ka hi noor samaaya hai
dil per kub se ye duniya qaabiz hai
gar aisa hai tou khuda hi haafiz hai
aakhir aaya hai tou jaayega
bekaar ki takraar se kya paayega
tujhe rab ne hi jahaan ye bakhsha hai
tera her ansar uska hi naqsha hai
tu kuch bhi nahi hai uske siwa
tu karle laakh jatan deewaney
rooh uski hai ho jaayegi hawa
maine ansoo tou adam ke bhi dekhe hain
uske qadam bhi derd may behekey hain
bashar ke haath agar ye raaz aajaaye
phir her zee rooh qaraar paa jaaye
mohabbat kya khaak karega khaaki
ek rab ki mohabbat hi rahegi baaqi
her rishtey may samjho tou wahi jhalke
her surat ko dekho zara ankhen mal kay
her su gar ishq nazaara hojaaye
hum rab kay rab hamaara hojaaye

Wednesday, December 16, 2015

manzilien junun ki.............








ye  hawaas mere gawah hain
ye sada derd ke dilruba  hain
kaha  junun ki  manzilon nay
ye  kisi  intiha  ki ibtida hain
------------------------------------

chaley aao. aao, aajaao..................



in be-tarteeb khayaalon kay
is taane baane may
kitney chupe afsaaney hain
jo tum ko sunaaney hain
chaley aao. aao, aajaao
ek raat adhi adhuri si
lafzon may samaana chahati hai
kisi khushbu ke hissar may kho kar
koii dhun jagaana chahati hai
kaho kya kahun mai un lamhon say
jo ummid ki suli per latkey hain
jo khamosh shor machaate hain
kitna iradon ko koi bhatkaaye
khayaalon may aakar jum jaatey hain
phir koi pathraii huii khahish per
puri quwat say zarb lagaate hain
aah! nadaan ye bhul jaatey hain
her baat ki ek umar hoti hai
halaath ki chahe ho na ho
jazbaat ki umar bhi  hoti hai
phir kyon be-waqt chale aate hain