Search This Blog

Sunday, January 31, 2010

Jaam-e-Noor



Tasveer teri jub bhi
Nigahon may aagai
Ye khana-e-dil jaise
Baqa-e-noor hogaya
Jaise kahin koii shola
bujh kar tuur hogaya
kahin koii butt gira
gir kar chuur hogaya
mera wajud teri hasti
tu mera surur hogaya
jisne bhi nigah daali
vo mass-hoor hogaya

Thursday, January 21, 2010

Saathi Puraana


Kahin kisi shehar may
Phir kisi ke ghar may
Koii hasrathon ka maara
Aaj mar gaya hoga
Dilon ke bhed saarey
Jaan lete hain sitaarey
khud apni hi chaal se
Koii dar gaya hoga
Ye do ankhen dekho
Kitne khwab dekhti hain
Kisi ka Insey guzar kar
waqt teher gaya hoga
Kahin nafs brahana hai
Kahin arzu sarghana hai
Asaan hai shikaar hona
Shikaar kar gaya hoga
Usey marghub chahten hain
be-bas ki shikayeten hain
Uska ab bhi wahi thikana
Wahin vo Phir gaya hoga

Monday, January 11, 2010

Her saans kasmakash hai


Ye bekhudi keh rahi hai
Ye be-sabab nahi hai
Koii dushman hosh ka hai
Koii hosh ab nahi hai
Diwana dil keh raha hai
Diwana ye kub nahi hai
Khird ka ab kya karoge
Khird gar sab nahi hai
Duniya se kya dil lagana
Duniya apni jub nahi hai
Kal khwaab ke siwa kya
Kal gar koi shab nahi hai
Her saans kasmakash hai
Her taraf tu jub nahi hai