Search This Blog

Friday, December 23, 2022

Badalti ruton may.................






hai mosam bhi tazbazab may ke kya karun

shams ki sunun ke hawavon se wafa karun

pal pal badalte baadalon ka maan kar kaha

akhir  apne  hi  mizaj  se  kaise  jafa  karun

kohre may chaand ki , jhaanki ka uthaun lutf

baarishon ki sunheri dhoop ko apni ada karun

badalti ruton ke sang badle hain rang dhang

ab is beemaari-e-dil ki akhir kya dawa karun

maqsad-e-hayath admi ka,hua gardab ki nazar 

ab pareshan hai khuda , is bande ka kya karun

kaash jaan lete ,mosamon ki tadrees ke usul

asan hon raaste sab ke waaste , ye dua karun 

Waqt ki zadh se jo lamha nikal gaya........

 


waqt  ki  zadh  se  jo  lamha  nikal  gaya

mai hun abhi tak us lamhe ke hisaar may

kofatein dil ki kabhi khatam hi na hosakein

chain aaj tak na mil saka humko qaraar may

zehen-o-dil muddaton se ekjaa na hosake

akhir kya chupa tha ia umarbhar ki haar may

rooh bakhabar thi duniya ke makr-o-fareb se

mushda chupa tha khizaan ka bahaar may

do din ki zindagi ko jaan kar mataa-e-kul 

sarmaya zindagi ka lut gaya be-kaar may

Thursday, December 8, 2022

kya waqi zindagi ,zindagi hai......................

 


zindagi jub zindagi se mili thi

tabhi ye baat hum per khuli thi

zindagi her rang may bhali thi

her mode her manzil teri gali thi

-----------------------------

bas safah-e-zehen se mita hi chahata hai

dil hai ke khud may gum hua hi chahata hai

zindagi ka her tamasha perda gira raha hai

bhul gaya hai jaane ab ke dil kya chahata hai

hai sunnaton ka alam shahar-e-khamoshan sa

zindagi ki hararathon ko, ye kya hua chahata hai

jo pashemaaniyaan theen lag rahi hain aaj hairaan

kya waqi zindagi ,hai zindagi  jaise tu chahata hai

ajab saniha her khushi thi , zindagi hadisa lagi thi

zindagi az-sar-e-nau tujh se milne ko ji chahata hai

kaash gaya waqt milta phir se hasrathon ko dobaara

ab her khwaab zindagi ka hosh may aana chahata hai

nazaan ho aye dil , khuda tujh ko tujh se mila raha hai

makeen derd ka hai mohabbat ka  apni sila chahata hai

Friday, December 2, 2022

Derd Ka Safar



tha  raaz-e-ishq  ka  ayaan  hona
umarbhar ki riyazat ka zyaan hona
---------------------------------------------------------
meri zaat may jo madghum hai
teri hi zaat ka ghum hai
shab-o-roz they tere aadi
ab mai hun aur tera ghum hai
duniya ki bheed may hun tanha
ye teri yaadon ka mosam hai
humsafar derd ka safar  hai ye
tera khayaal hai tera ghum hai

Monday, November 21, 2022

Ye sakut hai ajeeb sa...


 ye sakut hai ajeeb sa

ye sama-aton ko kya hua

ek teri khamoshi ne humnawa

mujhe tamaash-been bana diya

goyaii ka haq goya zindagi ku mila

hume mar mar ke jeena sikha diya

na-shukrey nahi hain hum ba-khuda

humein yaad hai tera karam teri atta

saraab nagar may ek umar  cut gaii

ab haqeeqaton ka bhala kya faida

hosh-o-hawaas saath tum le gaye

ab is paikar ko naam kya dain bhala

ajab kashmaksh may hai waqt bhi

lagta hai kuch bhi kisi ka na raha

muh mod kar chal diye  saaye sabhi

koi hamara na raha hamaare siwa

Tuesday, October 11, 2022

Aye Adam .....


Yarab ek teri dosti  ke sadqe 

dushmani duniya ki qabul hai 

------------------------------------------------

tere hone ka maqsad jaan le dil-e-nadan

raaz-e-qudrat chupa hai ek tere hone may

tu ney dekh daali saari duniya siwa apne

kahan jaana kya hai adam ke seene may

uski hikmat se teri nazar tak ka safar hai ye

yehan husn ka meyaar hai adam ke hone May

baghair ehsaas ke paikar,nafs ka khilona hai

kya hai kirdar apna , jaana insan ne jeene may

izhaar maange hai bana kar abad ko aaina

jamaal-e-ishq ko tu chahiye,kamaal hone may

Monday, October 3, 2022

zindagi tujh se kaisi ye ankh ladi...

 



abhi dil apni hi dastaan suna raha hai

koi manzar tere siwa nazar na araha hai

-------------------------------------

suna tha zarb kaari hosh ki dawa hai

ye zarb thi kaisi akhir hosh hi le udi

zindagi tujhe dekha na tha ta-umar

tujh se jaate jaate ye ankh kaisi ladi

yaas ne umar ka her pal ganwa diya

her ghadi lagi humein saraab ki ghadi

wajah dhundte rahe jeene ki umarbhar

kaash jaan lete ye thi hikmat ki hi kadi

jaane kaise jhelte hain hijr ke ye ghum

din, din nahi rahe raaten lagti hain badi

kya mil gaya hume, kya thi dil ki justaju

raaz apna paa liya,ek teri nigaah kya padi

Monday, September 19, 2022

Koi sapnon ki nagri se…

 

Koi sapnon ki nagri se

her dum bulaata hai

Meri soii raaton ko

Koi phir se jagata hai

Kehta hai kya hua akhir

Ye waqt sab per hi aata  hai

Ghanimat jaan waqt ko nadaan

Gaya waqt waapas kub aata hai

Hosh ko abhi bade kaam karne hain

Insan hi insan ke kaam aata hai

Yon Ganwaane se khud ko kya haasil

Ghum e duniya May ghum bhul jaata hai

Tera Muntazar hai waqt  aye dil e muztar 

Soch Khuda her dil kyon mokhtalif banata hai

Jaane waale  ki  ab tu nahi manzil

Bhala Tujh se kahan ab un ka naata hai

Zindagi se mila jo bhi lauta  ke jaana hai

insan khali haat aata hai khali hath jaata hai

Sunday, August 7, 2022

Vo choti si ladki…


Vo choti si ladki

Aaj bhi pas-e-pusht mere

Jhankti hai chupke se aakar 

Meri yaadon May khud ko paa kar

mehekti nigahon se mujh ko bula kar

Kehti hai zara door jaa kar

Haath ajaun to sirf ek pal hun

Rakh lena mujhe khud May chupa kar

Zindagi ne kaha kahin doob jaa kar

Maine chune teri ankhon ke saaghar 

Vo pal le uda tha hosh bhi hausla bhi 

Jub poocha tha tune kya chahiye akhir

Aye kaash lamhon ki zadd se nikal kar

dekhte zindagi tujh ko galey se laga kar

Saturday, July 16, 2022

Waqt ki daraaz say….

 



Waqt ki daraz se

Phir se tumhein nikaal kar

Dekha hai maine baarha

Tumne rakha hai mujhe sambhal kar

———————————————-

Mujh se aati hai aaj bhi

Khushbu tumhaare Khulus ki

Tum laakh duniya se they alag

Tumhi hasrath mere khayal ki

Zindagi ke saudey tum se they

Ab kahan takrar hijr-o-visaal ki 

Meherban ab tum sa koi kahan

Khabar rakhe jo mere haal ki

Duniya apni bheed may hai gum

Usey kya gharaz kisi sawaal  ki

Chalo ye dastoor khair khwahi sahi

Humein khu hai is tarha ke zawal  ki 

Wednesday, June 22, 2022

mohabbaton ki duniya ab ke naii naii hai...............


khushiyon ki umar mokhtasar hai

ghumon ki rahguzar taweel tar hai

----------------------------------------------------

ye mujh ko kya hua hai

kya ehsaas teher gaye hain

ya dil ka mosam badal gaya hai

akhir un shikayeton ki manzil

tere sang tamaam hogaii hai

khud se nalaan zindagi ko

aaina dikha kar nikal gaii hai

tha husn zindagi ka wabasta jis say

in zulmaton may usi ki roshni hai

tune bhi akhir manjhdhar may hi choda

patwar zindagi ki hathon se nikal gaii hai

ab chahe is kinaare ho us kinaare

muntazar apna kahin koi nahi hai

hisson ki zarurat ab tujh ko bhi nahi hai

mujh se bhi tune ye hiss chin li hai

jin hararaton per shumaar tha zindagi ka

tere sang jalte bujhte serd hogaii hai

umar kahan guzri kisey khabar hai

lagta hai pal may tamaam hogaii hai

ek sunnaatta yaadon per bhi hai taari

jung haafize ki nidhaal kar gaii hai

rab ke faislon may sab tayeshuda hai

yehan aane jaane ki ek daud si lagi hai

yarab mujhe tujh se koi gila nahi hai

mohabbaton ki duniya ab ke naii naii hai

Thursday, June 2, 2022

us ke baghair mai................

 




ek mera purana kalam aaj nazar se guzra to sach maaniye apne ehsas ka mai ne shukur ada kiya ke waqi rab jis per meherban hua uske veeraane may hi ye gul khila...

------------------------------------------------------------

Mai kal bhi khwab thi
Aaj bhi deewana khwab hun
Apne her adhure khwab ka
Khud Mukammal jawab hun
Kaatib-e-qalam ki soch ka
Mai ek adhura baab hun
Dilon ka bhedh ashkar ho jahan
Mai us faqeer ka be-kal rubaab hun
Jo aa ke ek baar,teher Gaya wahin
Mai us nigah ka, achuta shabab hun
Jis ki sohbaton ka,gumaan hai aaj bhi
Us ke Asal ka,mai uth-ta naqab hun
Mohabbaton ki tarha nawaza gaya jisey
Mai us sagar ki Ana ka,adna hubaab hun
Kal bhi jawaz tha aaj bhi hai zindagi
us ke baghair mai khaali kitaab hun
Duniya laakh karle uske haal ka shumaar
Mai un khamoshiyon ka bhipra chanaab hun
Muddaton se mai tatol rahi hun apna dil
Mai aaj bhi unhi palon ka hisaab hun
Sehraavon ka khumaar jin ki rahi ho pyaas
Mai Un jhoomtey , dilon ka saraab hun
Sar per sarphiron ke sajta raha hai jo
Us dilnawaz ke qadmon ka gulaab hun

Friday, May 27, 2022

Aye dil kabhi mujh se bhi mil...

 



mai dhund rahi hun apna dil

aye dil kabhi mujh se bhi mil

-------------------------------------------

sau sawal kar ke guzar gaya

waqt her jawab se mukar gaya

jinhein saahilon ki talaash thi

unhi dilon may darya uter gaya

dekh dil ki tapish ki jalwa araiyaan

khud jala aur charaghan kar gaya

laahaasil deewangi bhi de-gaii phal

koi derd saare naam apne kar gaya

mere rahbar ye tera meher-o-karam

mujhe apne karam ke qabil kar gaya

Friday, May 20, 2022

Abhi waqt tehra nahi hai....

 



Abhi waqt tehra nahi hai

Abhi waqt guzra nahi hai

zindagi kehti hai mujh per

tumhara koi pehra nahi hai

------------------------------------------

khwab khahishon walwalon ka safar thi

zindagi kal talak zindagi per musar thi

bisaat aisi bhi bichegi kis ko khabar thi

waqt ki her zarb bekhudi per kargar thi

--------------------------------------------------------------

tumhein patta tha in faaslon ka

pal  pal  khaak hote in palon ka

meri bechainon ne baarha kaha ye

tera khwab hai pathjhad gulon ka

reza reza khwabon ka tu hi shahid

saath tha moqadar do dil-jalon ka

chalo zindagi kya hai ye jaan paaye

ek imtihan hai in daayemi silsilon ka

fareb khaane ko dil kahan tha saheb

shikar hochuka khud apni mushkilon ka

dono they nalaan apni pashemaniyon se

hogaya sarab kaafi shadab qaafilon ka

mokhtasar si kahani ki reet hai puraani

sehraii pyaasa,tha aadi jawan hauslon ka

na koi shikwa na koi ilzam tum ko denge

tha fazal-e-ilaahi nishaan in manzilon ka

Monday, April 25, 2022

Tujhe yaad kar kar...

 



Ab is dil ki khair, maanga karenge hum

Tum sogaye ho janam, jaaga karenge hum

rafta rafta hogaii teri yaad ki,aadi zindagani

teri yaad ko galey laga kar,roya karenge hum 

tujh ko tou zamaane, ab muh pherna hi tha

ilzaam saare khud apne hi sar dharenge hum

haqeeqat se ishq ki,ab bakhabar hua hai dil 

 Tiflana khahishon per matam karte rahenge hum

Teri nigahon ki serhad ka aadi raha hai dil

Umar bhar tujhe, ab dhunda karenge hum

tera gumaan hota hai,aahat hoti hai jub koii

Tere pehlu ki kasak le kar soya karenge hum 

koi seekhe gur mohabbat ka teri khamoshi se 

Tujhe yaad kar kar, jeete marte rehenge hum

Tuesday, April 5, 2022

her ankh mokhtalif hai.....

 


her ankh mokhtalif hai

her dil ki justaju alag hai

gar koi mere dil se pooche

mohabbat waqi malang hai

husn nazar nazar ki baat hai 

badalte chehre to bewafa hain

aur nadan dil kati patang hai

dil ki zameen areez-o-wasee hai

teri soch ka dayera hi tung hai

zindagi jaane kis dil ki upaj hai

ya mahaz khayal ki tarang hai

nakhal sehera-e-dil ka hara hai

is carvan ka yehi asal rang hai

Monday, April 4, 2022

khamoshi sitam nahi hai.................

 


ye kaisa ishq hai

jo hijr ko mila hai

jiski sohabaton may

barha ye dil jala hai

us se bichad kar 

raaz ye khula hai

uska hona zindagi hai

ab ye patta chala hai

her amal se us ke

paigham humko mila hai

khamoshi sitam nahi hai

fazal-o-karam ka silsila hai

Thursday, March 31, 2022

dekh kya hai rab ka ishara......................

 


zindagi arzu ka nagar hai

zindagi khahishon ka safar hai

zindagi azmaishon ki rahguzar hai

zindagi tera waqt mokhtasar hai

------------------------------------------------------------------------

nadam hai waqt ye 

her laghzish hai pasheman

ek umar ganwa kar 

hosh may aata hai insan

rubaru thi manzil maqsud

pul-siraat they imtihan

do qadam hi door they

per talatum ke they emkan

saakin tha her manzar

saare andar hi they tufan

itni thi hosh ki qeemat 

is nayab waqt ko pehchan

dekh kya  hai  rab  ka ishara

jiske qabze may hai teri jaan

ek lamatnahi khamushi say................


 

tum kahin nahi gaye ho

mujh may hi rah gaye ho

--------------------------------------------------

mohabbaton ke janaan

aaj bhi wahi silsile hain

dar haqeeqat chah kya hai

bhedh ab ja ke khule hain

ek lamatnahi khamushi say

dil ke shore say aa mile hain

teri pashemaniyon nay

jaanti hun tere lub siley hain

hum dono ke ahad-o-paimaan

tere sang khaak may mile hain

gar sab kuch tha faqat mitti

phir kis liye ye gul khile hain

tera jaana kyon khwab sa hai

ye din khwab may hi dhale hain

tu shab-o-roz may hai shaamil

darmyan laikin sadiyon ke faasle hai

Monday, March 28, 2022

Zindagi ruki hai kahan jaakar.....

 


yaad may tumhari ro kar

tasawur may tumhein la kar 

socha hai tadap ke aksar 

zindagi ruki hai kahan ja kar


abhi abhi charagh-e-dil they jalaaye 

abhi saji thi dil ki gum-shuda mehefil

abhi hasrathon ne they fareb khaaye  

abhi tewar waqt ke na they itne qaatil


sada mokhtalif they,perwaz ke zawiye apne

dil ne kaha,duniya shaamil na thi tujh may

tu bheed may duniya ki uljha,uljha hi raha

dil dhundta hi raha tujh ko tujh may


suna tha duniya hai saraaye faani

mokhtasar adam ki hai zindgani 

ye waqfa-e-inayet hi hai itaa-at

jo samjha uski hayaat hai javidani 


ye shajar ye mosam apni hain kahani 

inhi may badalte waqt ki hai nishani 

mumkin hai badal jaaye irada-e-katib 

nizaam-e-hasti hikmat ki hai zu-fishani 

Thursday, March 17, 2022

hijir ka sabaq naya hai.................



hijir ka sabaq naya hai

zindagi le kar gaya hai

------------------------------------

dil aaj bhi wahi hai

per tu kahin nahi hai

dhadkan chal rahi hai

per vo shor ab nahi hai

tere baghair udas hun mai

tere baghair duniya naii hai

teri panaah ki aadi zindagani

tanhaiiyon may behel rahi hai

ab is waqt-e-mokhtasar may

shaam-o-seher hisab may nahi hai

ummid ki kahani rah gaii adhuri 

siter akhiri khamoshi likh rahi hai

banda jaanta hai zindagi qaraz hai

ye saudagiri muft ki bilkul nahi hai

her saneha zindagi ka imtihaan hai

zabt tera rab ku paane ki sayee hai

Saturday, March 5, 2022

Kaash.......

 



kaash zindagi khwab hi hoti

na jaagne ka koi sawal hota

na  hoti  taabir ki  koi hasrath

na vasal-o-hijir ka malaal hota

jo tha khumar tha sohbaton ka 

dil ko hosh hota na ye haal hota

vo faraar tha meri bechainiyon ka 

kaash  waqt ka na koi zawaal hota

ek teri humnashini giraan qadar thi

tu nahi to kahan koi khayaal hota

mauj-e-beher-e-ghum ki zad may

janaan,yaad ka her lamha visaal hota

Friday, February 4, 2022

ye waqt waqt ki baat hai....................



ye waqt waqt ki baat hai

jo nabard azma-e-waqt tha

aaj saaheb-e-kamaal hai

meri zaat hasb-e-haal hai

mujhe ghum nahi is taur ka

ye kul kainaat per halaal hai

adam ki takhlikh hai imtihan

ashraf azal se pur-khayal hai

bana diya hume shahid-e-waqt 

ab na koi justaju na sawal hai

hai humawaqt mujh may tu hi tu

jaanti hun tu hi mera khayal hai

Thursday, February 3, 2022

tum baz-gasht ban gaye ho................

 


zindagi  dekh   kitni mokhtasar hai

insan  kitna  be-khauf-o-khatar  hai

uske baghair teri zaat darbadar hai

be-aab-o-gaya,dil-geer tar-batar hai

------------------------------------

kabhi zindagi lage paheli

kabhi lage zindagi saheli

gar ghaur se isey sunoge

zindagi ko pehechan loge

---------------------------

tumhara lafz lafz dekho

baz-gasht ban gaya hai

mai sarapa ankh ban gaii hun

aur lub hain ke sil gaye hain

--------------------------------

zaruraton ki zuban nahi hai

wahan zaruri bayan nahi hai

Zaya karne se kya hai haasil

waqt  apna  zyaan nahi  hai

ye duniya ke masghale hain

gar haath agaye inhein hum

ta-umar dhundhte hi rahoge 

umarbhar ka saman nahi hai

ajab haal hai adam ke dil ka

deewana lut kar hi lutf paaye

kahe,sauda-sari kahan nahi hai

apni bebasi bhi lage hai tamasha

apni aqal ke matam kadey per

kya duniya nuha-kinaan nahi hai

lun-tarani ki adat,hai badi purani

ek tere dum se baatil ki zindagani

ye ahal-e-dil ki zubaan nahi hai

aye bashar,namaz teri ek ahad hai

bande ki kasmakash roz ek jahad hai

kya yehi tera ahad-o-paiman nahi hai

jaane waala jaate jaate keh gaya hai

in zulmaton ko karde tera dil munawar

is ke baghair koi kamraan nahi hai

Monday, January 17, 2022

Zindagi se dil laga kar….

 


Zindagi tujh se jub bhi dil lagaya 

zindag mujhe tu kabhi na raas aii 

Laperwa dilon per bekaar di thi dastak

thi is se behter humnasheen teri be-etnaii

khwab Jitne bhi mile ,they saare pareshan

Baat,Baad muddat ke samajh May aai

Raaton ka maqsad , ishrat nind ki nahi hai

Teri justaju ki khwahan,kub se hai khudaii 

tune khud se nalaan ,ek umar kyon ganwaii 

Sitam nahi hai ,gar duniya na haath aii 

Jo pesh aaya,hikmat usi May chupi thi

uski qudrat ke aage , nafs ki bar na aai

kamaal saara nazar-e-karam may chupa hai

Darasal usi ki , teri nazar may hai ronumaii

Dast-e-talab badha kar duniya hi tune maangi

Maang leta usi ko,jisne dua tujhe sikhaii 

Azal se ye ghaflat Adam ko mili hai

Warna hikmat khuda ki kyon samajh na aai

Shert emaan ki yehi hai , faseel yaqeen ki ho

Vo maujud hai Humawaqt mehefil ke tanhaii 

Khud se bichad kar hi raaz zindagi ka paaya

shikwa kinaan dilon ko rabubiyet nazar na aai

Takhlikh aalamon ka khali-az sabab nahi hai

Mohabbat khuda ki,do-jahanon may na samaii 

tune Apna Noor-e-aala , yon kiya mujassim 

Apne mehbub may ki tune,apni hi jalwa-numaii

Tuesday, January 11, 2022

Ye shor dil ka hai machega bhi...


Log Rasm e duniya nibha lenge

Kya  ye  mera ghum utha lenge

Ye shor dil ka hai machega bhi

kya Apne shor se isko daba lenge

zubaan ban gaii gar ye khamoshi

Phir apni zubaan se kaam kya lenge

Suno waqt ki,kehta hai daro mujh se

Meri gardish ke aage kahan panah lenge

Dilon ki abyaari, falah ki hi hai tayari

tere shor ko bhi ,bayaan apna bana lenge

agar Hadon may ho,zulmat bhi gawara hai

Her sitam se pehle sitamgar ko jaga lenge

Mila bani adam ku sharf bhi aur mauqa bhi 

ahal-e-dil pattharon may bhi ghar bana lenge

Aye ghum-e-dil hirasaan hone se kya haasil

ye Sang-o-nashtar tere ghum per chala lenge

ek "kun" ki marhun-e- mennat hai kaainaath 

Ye nadan Sabaq apna tere gham se kya lenge

Monday, January 10, 2022

Tere ghum ka mosam hai....


chadar waqt ki num hai

tere ghum ka mosam hai

-------------------------

badale huye hain tewar

phir se zamaane ke

dekh tere na hone say

tut gaye ahad nibhane ke

magar meri jaan waada hai

tera irada hi mera irada ha

khudru pauda hai mohabbat ye

ukhad kar bhi uug hi jaata hai

mitaaye laakh koi nikal hi aata hai

zindagi ka matlab sikha hi jaata hai

koi saaya mile na ho paasbaan koii

ye tanha gul gulshan ban hi jaata hai

inhein kaafi hai ankhon ka yehi paani

apni zameen apni numi le hi jaata hai

dekh tujhe maine paa liya hai khud may

hijir ka mosam yehi samjhane aata hai

duniya khwab lagti hai aur dil duniya

ek tumhara dil reh reh kar yaad aata hai

odhli hai dekh mai ne bhi teri khamoshi

apna duniya ke shor se kahan koi naata hai