Search This Blog

Thursday, December 25, 2014

Zindagi her lamha badalti hai.......



Zindagi her lamha badalti hai
Zindagi per kisi ki na chalti hai
Zindagi her Surat may dhalti hai
Zindagi sab se ek baar milti hai
Zindagi ko na samjho to ghalti hai
Zindagi ban jao tab ye khulti hai
zindagi phal de kar hi phalti hai
Zindagi chasm-e-num se  nikalti hai
zindagi derdmandon ke sath chalti hai
Zindagi roz ek  wada ban ke milti hai

justaju mere khayal ki.................








justaju mere khayal ki
gar tere khayal se mil gaii
jo bisaath barson bichi rahi
gar qismat vo baazi chal gaii
gar yaqeen ko murad haasil na hui
samjh lo zindagi se  rooh bhi gai
muzmahal mosam bhi khamosh hain
waqt ki suii isi khayal se thum gaii

Wednesday, December 24, 2014

Aye dil na shor kar......






umr ke is mod per
aye dil na shor kar
Eksay hain dil agar
tu kya hai ghaur kar
yaad rakh itna magar
ek ehsan thi vo nazar
tu durust apna haal kar
tere kal ki usey hai fikr

Sunday, December 21, 2014

Vo shaam .................




vo shaam bada hi yaad aati hai
vo shaam aaj bhi dil gungunati hai
vo shaam muradon ki pazeeraii thi
vo shaam paas-e-wafa ki ronumai thi
vo ek shaam khwabon khayalon si
vo shaam ajab khisse sunaati hai
us shaam pehlu bhi tha ghaafil
us shaam ehsaas bhi they ojhal
us shaam gumaan binaii ko bhi tha
us shaam dua shahid ban ke aai thi

us neechi nazar ke fitne saarey they
us tabassum may dil ke khasaare they
khamoshi guftar per thi maayel
arzuyen uske aage huyeen ghaayel
magar dum tod raha tha waqt
us dum halaath bade they sakht
yaqeen o gumaan ki jung thi jaari
ek birha ki maari herdum hi haari
magar aaj tak vo pal zinda hai
khayal ka vo jugnu aaj bhi tabinda hai
ke vo lamha mera na ho kar bhi mera hai
usi lamhe se in zulmaton ka sawera hai

Friday, December 19, 2014

Mere charagar mere humsafar........................





Mere charagar mere humsafar
Teri inayeton se hun bakhabar
Tu ek aam ko yon na khaas kar
Sab kuch hai tere saath ka asar
Meri zaat ki puri huii her kasar
Maine kar liya apni zaat ka safar
hai ab-e-hayat ya raah-e-Khizar
thi Raah-e-faham badi mokhtasar
Meri deewangi hai ab tere ziasar
Khayal hogaye khoob se khoobter

Monday, December 15, 2014

aye khamoshi hai ye tera karam............






ye raah badi ajib hai
hogaii hai rasmon ke naam
ye soch ki udaan bhi
soch per hogai hai tamam
faasle taveel tar sahi
per hain muqribon ke jaam
ke yehi hai vo rah-o-rasam
hote hain ek dusre ke naam
aye khamoshi hai ye tera karam
mere shor ki hogaii hai shaam
ye sunnate mujh may uterte huye
de rahe hain anokhe payaam
khayaal ki nahi hain ye manzilein
ye hai ahal-e-dil ka inaam
shab-o-roz ye nafs ki mushaqaten
kar rahi hain tujh ko salam

Friday, December 12, 2014

yehaan husn hai nahi hain raunaqen.........






yehan charagh hain nahi hai roshni
yehaan husn hai nahi hain raunaqen
yehan jawaan hain nahi hain hausle
yehan gumaan hai nahi hain haqeeqaten
yehan ikhtra pasandon ki bheed hai
yehan raah hai nahi hain manzilein
yehan muyasar nahi hai waqt ko admi 
yehan dil to hain, kum hain mohabbaten
yehan tareekiyaan tarik kar gayein zehen
yehan subahen hain nahi hain sohabaten
yehan sab kuch hai nahi hain qurbaten
yehan admi hi admi nahi hain fursaten

Wednesday, December 10, 2014

khushbu tere khayal ki hersu mehek uthi..........................






khushbu tere khayal ki hersu mehek uthi
ek maayus gadaagar ki qismat chamak uhi
barson raha safar may  jo ek tera khayaal
dil ke aaine may shabeeh uski jhalak uthi
tasawur banata raha teri tasweer baar baar
dil may jo reh gaii  so  dil may chalak uthi
teri sohbaton ke jaam they,aur mayekhwar 
vo mehefil-e-surur kahan phir ye kasak uthi
ab tak na khul saka us chasm-e-azan ka raaz
thi ek barq noor ki,sangdil ana bhi bilak uthi
malte hain ankh rah rah ke khoye huye hawaas 
in may kitne dinon ke baad koi dhamak uthi
chalo maana nawazishon ka moqadar hai admi
taalib-e-nawaz ki,nawaz ke dil may humak uthi

Friday, December 5, 2014

aye mere junun phir ek nazar..............





aye mere junun phir ek nazar
phir mere dil se ho kar guzar
meri veeranion ko zara tatol
meri behisi ke darwaze khol
ho na ho yeh mera zawal hai
gar hai to kyon ye malal hai
ab yaad bhi nahi na khayal bhi
shayed nahi hai koi sawal bhi
mujh may hi kahin rehta hai tu
her pal mujh may kehta hai tu
gar  mai  nahi tou  tu bhi nahi
tere baghair guzar mera bhi nahi

chin li tune meri beqarari......................






maine kaha chin li tune meri beqarari
usne kaha kha aur zarb koi karaari
maine kaha mai hi kyon nasibon ki maari
usne kaha tu lagti hai mujh ko pyaari
maine kaha aakhir kaisi hai teri yaari
usne kaha yehi ferman hua tha jaari
maine kaha shab khoon ki nahi thi tayari
usne kaha siffak hota hai ahalkar sarkaari
maine kaha mai sadion se birha ki maari
usne kaha nadan ab vasal ki hai baari                          

Wednesday, December 3, 2014

ye duniya ek tajruba hai..............







ab meri jagah is zameen per nahi hai
sochti hun kya ab tak vo dil yehin hai
duniya ko nazar na aao to ye samjho 
tumhara wajud ab us ka hissa nahi hai
ye kaisa lahu hai pal pal may rang badle
laikin kisi rang ka ehsaas kyon nahi hai
qabza dilon per asan kardiya hai usney
nabina nafs ke aagey ulfat jo nahi hai
ghulaam waqt ke hone lage hain nadan
kya bhul gaye waqt eksaa rehta nahi hai
faramosh hogai kyon gardish ki hakeemi
dar us ghadi se jiski tujhe khabar nahi hai
maula jawab tera muhamal hi raha hai
teri hikmaton may adam ka guzar nahi hai
duniya ek tajruba hai adam tajruba-gah 
ye rab ka safar hai tera safar nahi hai