Search This Blog

Tuesday, March 22, 2011

Ye Mera Junun................


Jo nazar aaraha hai usey
kyon na dekhta hai dil
khaana jo nihaan nahi
vo kyon dekhta hai dil
ajab hain apni mushkilen
ajab hai apna haal-e-dil
ek seher-zada zehan sa
pur sukun hogaya hai dil
Suprud-e-khuda kar ke tujhe
khudaii dekhna chahta hai dil
jisey kabhi dekha hi nahi
wahin khuda dhundta hai dil
aye imaan tujhe rab ki qasam
jalaaye rakh ye charagh-e-dil
mai sadqa teri rehmaton ka hun
tera hi faiz hai ye mataa-e-dil
mera junun hi pukaar hai meri
tera aasra pal pal chahta hai dil

Friday, March 18, 2011

Aaj jaani hai maine khushi....


Aaj jaani hai mai ne khushi
Aaj paii hai mai ne khushi
Aaj tujhe khush dekh kar
Aaj samjhi hai maine khushi
Aaj tak tarsti rahi hun jisey
Aaj tujh may mili hai mujhe
tere roshan chehre ki qasam
Aaj phir maine paaya hai tujhe
meri Jaan ,hai tu junnat meri
tu her dam rahi hai meri khushi
yaad hai teri vo paheli nazar
wahi pal tha meri asli khushi
maang kar maine paaya hai tujhe
tu hone chali hai kisi aur ki khushi
dono jahaan may ho tu surkhuru
mile sab ko tere dam say khushi
zindgi ka ye purana dastoor hai
kahin bhi rahe,tu rahegi meri khushi

Sunday, March 13, 2011

Ek din aur dooba hai.......


ek din aur dooba hai
ek suraj phir niklega

kahin shaam koi dhal jaayegi
kahin raat koi saj jaayegi
takti aankhon ki ummidon ka
koii diya roshan kar aayega

dekh kaatib bar waqt koi
karam kisi per kar jaayega
ek maasoom ki aahon say
ye aalam dahal na jaaye
kahin koi siski chupke say
tere darr say na aa takraaye
kaanp uthega zarra zarra ye
jub taqadus pe koii aanch aaye
us waqt say dar aye zaalim waqt
jub khuda ki tujh say than jaaye
behter hai rok le khud ko tuu
shaayed baat kisi ki ban jaaye
chod de apni ye khayaali sardari
koii taqdeer say na lad paaye

jis ka jitna moqadar hai
utna hi uske haath aaye

Thursday, March 10, 2011

Ye meri chahton ko.........


ye meri chahton ko
aaj kya hua hai
kuch sochna bhi chahun
zehan kyon soona pada hai
vo khayaal kya hua
jahaan tu aa basa tha
vo dil kahaan gaya
jo tujh say jaa mila tha
derd ki her gali
aaj veeraan padi hai
zindgi phir say koii
sawaal liye khadi hai
kaun hun mai aakhir
kya chahti hun zindgi say
ye kasmakash keh rahi hai
ye pehchahn ki ek kadi hai
kub khatam khel hoga
kub koi sira milega
mai usko thaam loongi
phir tujh say aa milungi
shaayed wahi hai meri manzil
qadam tere thaam lungi
chupke say tera naam lungi

Sunday, March 6, 2011

Phir zindgi ke is safar may.........



guzrey dinon ki dhoop nay
ye naye shajar ugaaye hain
phir zindgi ke is safar may
ye naye moqaam aaye hain
waqt mosam na mita sakey
aisey nishan hum laaye hain
daagh jis ke tamgha-e-hayath
vo chaand humne sajaye hain
jahan talab mohabat hai faqat
hum unhi ke maa-jaaye hain
ek dil ki justaju ka hai phal
kaii dil paas paas aaye hain