Dil e muztareb
Tu jaanta hai sab
Sab be-sabaat hai
Sabaat kisi ko nahi
Phir kaisi beqarariyan
Jaate huye lamhon se
Kaisi hain yaariyaan
Is ghadi ko maan le
Apna mataa -e-kul
In lamhon ki qaid se
Ek din tu jayega nikal
Phir is waqt ki maan jaa
Zindagi ka payaam kya
Ye lubrez jaam zindagi ka
Kya hai mahaz sarab ke siwa
Tu khud gar sairaab hogaya
Kisi ki pyaas bujha sakega kya
Ho jaayega azaad ek din
Qaid e bamushaqat ki kofaton se tu
Zanjeer hain Ye natamam khahishen
Koi bhi sira na aayega tere haath
Jub Asal se hoga tera saamna
apni Haqeeqat bani nu jaan jaayega