Search This Blog

Thursday, May 29, 2014

vo mehfuz hai ban ke noor baatin ka......






kahan samjhe they hum tum ko
jub tak khud ko na they samjhe 
her subah ek sitar le ke aati hai
is adhurepan per ungli uthati hai
kya yehi adhura vo armaan tha
kya itna hi us junun ka tufaan tha
kya do lafzon ki tishna khumari thi
kya ek shaam ki anmit beqarari thi
vo mulaqat tamam umr ki tayari thi
chehra perda raha her tabasum ka
dil shahid raha ujalon ke mosam ka
vo mehfuz hai ban ke noor baatin ka
vo mullah ashna hai saahil saakin ka
udasi se mehek milne lagi gulabon ki
jaise ashnaii ho maye se kharabon ki
ek buund ki tamanna bhala usko kya ho
jisne chaadar uthaali ho tere hijabon ki

Wednesday, May 21, 2014

koi benaam si uljhan hai...............




koi benaam si uljhan hai
koi ansuni si hai bechaini 
jahan bichda tha dil apna
bichad gaii thi zindgi apni

koi palkon pe tehra hai
koi paniyon may utra hai
kehne ko ujala sawera hai
ujalon may bhi andhera hai

bahanon say dil ye tuta hai
fasanon ka saath chuta hai
haqeeqat ne humko luta hai
khamoshi bas ek mukhota hai

kinaare sada apni jagah  per hain
maujen khush apni fatah per hain
aur gardab bhi apni jafa per hain
bas doobne waaale sitah per hain

Wednesday, May 7, 2014

ye khamoshi.................






roz naya tamasha hai
roz naya hai pagalpan
roz wahi hai dil azaari
roz sadayen deta mun
roz mujhe behlata hai
roz uthata hai chilman
roz  bike hai  be-wiqat
roz sauda hai ye jeevan
roz nazar churayen ansu
roz barasta bihter sawan
roz paheli kyon lagta hai
roz wahi dhundla darpan
roz phir taaza hota ghum
roz  sajti khayaali dulhan
roz sataati hai  khamoshi
roz pukaare  tujh ko mun