Search This Blog

Wednesday, December 18, 2019

ye waqt waqt ki baat hai.....................





ye waqt waqt ki baat hai
kal jo waqt tha mera
vo ab na mere saath hai
jub kabhi nazar teri taraf uthi
pal vo ankh se chalak uthey
khayaal tera khayaal na paa sake
qarar dava khud apni bante rahe
derd saare ek naya rang odh kar
khud apna darman khojte rahe
ye silsila umar bhar ki saughath hai
tu ho na ho ye mere saath hai
magar najaane kyon mere habib
ek khayal mujhe khud may lapet kar
kehta hai dekh zara ankhein moondh kar
mai aage hun waqt se bhi ek qadam
mai ojhal hun magar tere saath hun
awaz hun waqt ki,mai teri najath hun
rab ne tujhe sonpa hai apna muddua
talluq tera ban gaya mere liye dua

Thursday, December 12, 2019

Mohabbat kum nahi hogi...............






chahe zamaana na hum ko yaad karta ho
chahe tassawur pe apne koi na marta ho
chahe apni gali se khayaal koi na guzarta ho
chahe hamare sang aahein koi na bharta ho
magar itna yaqeen aaj bhi hai dil ko,aye dil
apni mohabbat si mohabbat kum nahi hogi


agar waqt ka darya tez-aab hai to rahane de
sim gawaara hai ab musalsal firaaq rahane de
andhiyon ko sunnatton may lipta hi rahane de
dhadakti haqeeqat abhi seene may rahane de
dum todti hui fizaaon ko boojhne se kya haasil
haqeeqat ashna hai dil mohabbat kum nahi hogi


ungli thaam kar karliya paar darya wafavon ka
dil tou sada aadi tha khud apni hi sadaavon ka
us ke dar per aye dil kya kaam tha nigahon ka
dil sama-aat,dil baseearath gawah dono jahanon ka
tere jalwon se khaira mujasm noor hairan rahi hasti
do-alam may hai elaan,teri mohabbat kum nahi hogi

Thursday, November 28, 2019

Aaj jal uthey kitne bujhe huye chiragh..........






ujalaon se mil paati nahi ankhein
ab sunta nahi dil apni bhi baatein
koi junun ab pareshan nahi karta
khayaal  ab koi aahein nahi bharta 
-------------------------------------------
aaj jal uthey kitne bujhe huye chiragh
aaj be-khwabiyon ka mil raha hai suraagh
jo bhi daastaan thi ishq ki, pasheman thi
kal kyon na paa-saki, jo mil raha hai aaj

hasti ke sab zakham muskura ke keh uthey
tujhe bhasam kar gaii,teri lagaii hui hi aag
mujhe usne nawaz kar,nawazish bana diya
batney ki arzoo may faiz tera raha hai jaag

jaan-o-dil ki aziyetein huyeen tamaam,aye azeez
maatam aqal ka ho to ho,uske peeche tu na bhaag
haasil yehi kahe, vo bhi tere liye, ye bhi tere liye
tera daur ye kahe,rabb-e-kareem ne sunli teri laag


Wednesday, October 23, 2019

tere jalwon ko nigahon may teher jaane de..................






mere hosh ke paimanon may uter jaane de
tere jalwon ko nigahon may teher jaane de

manzar phir ek baar nigahon se guzar jaane de
tere dar ki fizaon may dil ko sanwar jaane de

kitna maanus hai tere qurb ka ehsaas mere khuda
mere rag-o-jaan may lahu ban ke uter jaane de

ek pal bhi na ojhal ho teri azmat ka jaah-o-jalaal
be-sabaat hasti ko meri is pal tu nikhar jaane de

Apne mehbub ke ishq ko banaya jub miskin tu ne
mera qalb kahe, mujh ko mere ishq ke ghar jaane de

dono haathon se butta karti ho rahmat jis dar per
us dar-e-ezaaz ka kan kan mujh may bikher jaane de

yarab abhi jaari hai tere dar per mere hisson ka safar 
mere shab-o-roz teri galiyon may guzar jaane de

Saturday, September 21, 2019

Had-e-nazar tak bas tu hi tu hai.....



ye raat aur timtimate  sitaare
diye se jul uthey hain saare
ye khilwaton ki mehefil
ye andheron may jhilmil
muddaton se maand jo pade they
unhi khwabon ka lagte hain haasil
had-e-nazar tak bas tu hi tu hai
meri khahishon ki purani arzoo hai
meley se lagay huye hain dil may
ye sakut bol utha hai mere dil may
unko sunna chahte ho tou aao
is duniya ki bheed se nikal kay
charon taraf jub ho"huu"ka alam
faham aur dil milte hain baham
insan taqleed ka hai sada se aadi
dosto,suno kabhi dil ki manadi 
raaz asliyet ke uthayenge perde
jo khud se mila de aisa peher de
sakun ka seher pursakun hai jitna
khuda aur bande ka talluq hai itna
koii aur uske siwa na humqadam hai
sab usi ke aur ek wahi humdum hai
is siyah raat ki qasam tanha nahi hum
khushian hain uski usi ke sabhi ghum
karro-bayan may mera rahbar chupa hai
usi ka karam ye mohabbaton ka silsila hai

Tuesday, September 3, 2019

Ye zindagi usi ki hai....





tujhe tou sab patta hai
mere saath kya hua hai
maula tera hi faisla hai
ilzaam kisi ke sar gaya hai

teri zaat may jo chupa hai
wahi adam ka martaba hai
isme adam ki kya khata hai
perda tere hukum se gira hai

ye teri chahat nahi tou kya hai
ban kar koi iblis nikal gaya hai
hawwa ki laghzish may kya naya hai
adam may tera ishq hi chupa hai

azmaya de kar,darvesh ko sadar-e-dil bhi
veeranon may warna husn kya dhara hai
teri pehchan ka sira faham ko mil gaya hai
ab kya ishq kya junun inme kya rakha hai

mamla dilon ka maula, teri rasa kashi hai
is tana tani may muft banda mar raha hai
karam bhi tere sitam bhi,ilzam ye kya hai
akhir bhale bure ki,kya tafreeq kya jama hai

ye aane jaane ka maula kheil tune kya racha hai
mohabbat ki fasal bo kar,kaatne ki kya saza hai
tune mitti may boye adam, mitti se hi ghadey bhi 
khushiyan ka iwaz ye, de kar lene ki kya ada hai

andaz teri hikmaton ke libada odh kar mile hain
pareshan faham,nafs nadan,shikar hote rahe hain
mulzim, mazlum ke dayere ilzam se nikal gaye hain
ke faisle dono taraf ke yarab,tu ne hi tou kiye hain

Wednesday, August 28, 2019

raaz teri qurbaton ka paa liya hai maine.....






kitne dinon ke baad zindagi mili hai
shab-e-intizar per naii seher khili hai
-----------------------------------------------------
raaz bandagi ka ab khula hai khird per
azal se humsafar they tere hi charagarh
barson sar jhuka kar tahi damani pe roye
umar bhar zindagi ne khaar duniya ke boye
ab ke haath aaye tujhe paane ke qareene
ab jaa ke paaya hai sajdon ko jabeen ne
raaz teri qurbaton ka paa liya hai maine
Her surat teri surat bana daali hai tune
ghalthan rahe sada ghairon ke tajziye may
khud per nazar padi,lage hain Ansoo peene 
maula teri rahmat qareeb thi kitni dilon se
gerdan zara jhukate paa jaate hum safeene 
gar tu meherbaan hai her ankh dostaan hai
ek tere karam se hi,apna yehan nishaan hai
teri hi sohabatein majaz may theen payein
Hain khana-e-dil may tere ishq ki  adayein
ghum-e-hijiran ka daras,tha marifat ka aayin
vavela machahte huye dil bhi hogaye shaheen
tu mil gaya jise,gerdab may rahbar ki surat
us deewane ko na patwar ki na saahil ki zarurat
sadiyon ki musafat taye kar li ek jast laga kar
tu ne kya kya nahi samjhaya bande ko jaga kar




Tuesday, August 13, 2019

umar ka her khwab zyaan hai..........



waqt ka darya rawan dwan hai
umar ka  her khwab zyaan hai
zeest ka haasil yehan kahan hai
qyas-o-khayal may dooba jahan hai
haqeeqat uski ain-ul-haq zaman hai
teri haqeeqat sirf uska bayaan hai
jaan meri tu bhi uski hi jaan hai
merzi per teri kuch bhi tika kahan hai
Tera her shikwa,shikwa-kinan hai
Kaash ke seene may, dil-e-nadan hai
na bhul taalib,ye kis ka makan hai
qabze may us ke ye dil ye jaan hai
teri soch aur talab ke darmyan hai
vo tere her her ansar say ayaan hai
ye husn ye paikar, tera kahan hai
bande,ye noor uska tera nishaan hai

Wednesday, July 31, 2019

Taareef us khuda ki jisne hume banaya......




Vo samajhte hain mujhe deewana bana denge 
Mera khayal hai ye bheys khud maine liya hai
----------------------------------------------------------
paaye they khaar gul,gulcheen ka soch kar
khuda ne gulcheen ko hi baghbaan kar diya
------------------------------------------------------------

Shaatir lubon ki thi Ajab vo muskurahat

Jaise sar kar liya ho,meyrka  zindagi ka
Deewanon Ne jaan kar haari thi zindagi
Kya le jayega koi,is nafrat ki daud may 
Ulfat ka ek ghunt kabhi pi kar tou dekhta
Jo teer khaaye hain zeher May bujhe huye
Lamha lamha tabeeb tha jo dhaal ban gaya
Kyon dhundta hai choton se rista hua lahu 
In zakhmon ki aanch se kabhi dil apna sekta 
Teri hasrath yehi sahi meri arzoo ka khoon 
Meri arzoo yehi kabhi tu mujhe ji ke dekhta
Akhir humnafas dawa kya hai tere sakun ki
Pooch dil se,kya hosaka kabhi rab se rabta 
Khatir jama rakh mai teri dastaras May hun
Mai na-ummid nahi hun tera mera ek raasta
Tu Ji bhar ke mana jashan apni jeet haar ka
Dekh tere karam hain kitne hawaas-bakhta 
Umar cut gaii tere is haar jeet k kheyl may
Koi dum ji tou le asal,ye ghum hai khud-sakhta 
Meri nazar se mila nazar, tera waan nahi guzar 
ye mohabbat ka hai nagar, mehbub ka hai patta

Sunday, July 28, 2019

mujh se pehle mujh ko suna karta hai.................



mere in be tarteeb khayalon ka
bhataktii soch aur sawaalon ka
akhir koi na koi tou sabab hoga 

muddat se dil per na hui dastak 
sehra be-aab-bayaban si kasak
akhir koi na koi tou sabab hoga

siyah raat ko noor ki jaise talaash
ek naii subah ek naya roop tarash
akhir in halath ka koi matlab hoga

mujh se pehle mujh ko suna  karte hai
Baat meri mujh se pehle kaha karte hai
akhir in inayaat ka koi matlab hoga

aye rooh-e-khayaal aye ishq-e-mohal
hai ye tera karam hai ye tera kamaal
akhir in jalwon ka koi tou sabab hoga

ayin sadat hai khayaal ki ye mashaal
Rang laaya hai teri  mohabbat ka gulaal 
Izhar-e-karam her dum ba-adab hoga

Monday, July 22, 2019

Ek Pehra.....




ek pehra dil per her waqt rahta hai
Dayera nahi hai dastaar kehta hai
her roz uzar ek naya dhund hi lega
ye dil bada ayar hai tayaar rehta hai
Sadiyon sadaf may rah kar hua tayar
Pal may kahan gale ka haar hota hai
Kahan jayega taayer daam may aa kar
Perwaz se behter ye lalazar kehta  hai
Ye hawa mahal hai dhay jaayega ek din
is khwab may her koi khwaar hota hai
Ek umar ganwa kar raaz dil ne paaya hai
Zindagi ka saamna  bas  ek baar hota hai

Saturday, July 13, 2019

behne de palkon se.........................



umar ka dhoka na de mujh ko deewane
ke umar hai dhoka dil kyon nahi maane
jo baat dil ki hai dil hi may na reh jaaye
shauoor se  poocha vo  bhi  nahi  maane
zindagi bandh ankhon may na guzar jaaye
behne  de palkon se chalakte ye paimane
hasti ka  ek din neest hona  moqadar  hai
laga kyon abhi se taboot may keel lagwane
tujhe tera hone nahi denge tere paimaane
her buund hai sheesha her taraf hain aaine
hosh se begaana kar dein,hain vo begaane
bheys kis ka liya hai apnon ne khuda jaane
usey manzur gar hota vo mere rubaru  hota
meri soch ki perwaz may tu hi hai deewane


Tuesday, June 18, 2019

koi khwab sa lamha ................................






kabhi koi yehan per bhi rahta tha
is jadunagri ko bhi veerana kehta tha
in phulon say mehek lekar mehekta tha
husn ki is waadi may jawan rahta tha

koi khwab sa lamha socho to lagta hai
behta hua waqt zamanon may badalta hai
kya umar ka waqfa koi bichda hissa hai
guzra hua ye kal aaj mahaz ek khissa hai

subahein na jaane ab kahan gum hain
din qiston may kitnon may bat ta hai
shaam jaise udas lamhon ki sargam hai
raat ka seena kis ghum may paht ta hai

ab kahan chashm-e-saaqi tak rasaii hai
lagta hai pyaase ki jaan pe ban aai hai
takrar maye ki maye-kadey ki ruswaii hai
ishq kehta hai teri talab hi herjaii hai

ye kya hua ke yaadon per bhi pehre hain
khayalon ke zakham bhi ab ke gehre hain
in ankhon ke qaafiley kahan pe tehre hain
Zindagi may faqat tere rang sunehre hain

ye akhir mere maula daur kaisa hai
sab kuch hai phir bhi dil kaasa hai
ek usi ke naam ka dil ko dilasa hai
tere aage mera daman zara sa hai

Tuesday, May 28, 2019

teri yaad ka mosam...................................




lay phir agaya hai 
ek naya rang le kar
teri yaad ka mosam
mere saakt zehen-o-dil ko
hosh may laata hua paiham
mujh se duniya naraz ho to ho
sifak tha teri khamushi ka mosam
meri soch ke parr,justaju teri thi 
magar ek si apni perwaz thi baham
guzri hui sadiyon ne poocha hai
tha shab-o-roz may kahin hamara ghum
chalo safeer tum bhi,safeer hum bhi hain
aas manzil ki jub talak,mila karenge hum
zindagi sab se giran hai,tanhai ka mosam
tera hona kisi niyamat se nahi hai kum

Wednesday, May 22, 2019

Mai Adam.......




teri khuld se nikal kar
tere jahan se mil kar
kya kya na haath aaya
mere dono jahan ke malik
tujhe kahan kahan na maine paaya
tere hijir ka ghum keh raha hai
mai kabhi tujh se,juda ho hi na paaya
ye husn ye nazare,sab mere liye bane hain
sab se haseen tune mujhe banaya
teri ek nigah paa kar kya kya na maine paaya
duniya saza nahi hai ye raaz samajh may aaya
adam azal se junnati hai,duniya mahaz safar hai
do-jahan ke badshah ne yehi hai samjhaya
daman tahi na rakhna,wapasi ki raah takna
junnat ke baam-o-darr se paigham yehi hai aaya
khuda gawah hai,adam ka ek hi muddua hai
tere siwa dil ne qarar kahin na paaya
ye dore tujh se mere khalikh,yon bandhi hai
koi iblis,koi shaitan isko na tod paaya
jawab hun mai teri her kashmakash ka
mere hone ne malik ,tera hona samjhaya
haasil-e-safar yehi hai awal-o-akhir wahi hai
sidrat-ul-muntaha se tahat-us-sara tak tera hai saaya 

Monday, May 13, 2019

nazar-e-karam ka hai ye nazrana......


ek sanglakh chatan sa lagta hai
kabhi barf ka koi todda sa
kabhi pal may pighalta perwana
kabhi aanch dekar khud jal jaana
ankhon may ghazab ka alam hai
kitnon ka basera hai ye veeraana
per kahin aur rehta hai deewana
teri be-rukhi may bhi helawat hai
is chup se behter hai usko paa jana
ek sunnata rooh may hai utera
ya ho gaya hai ye tera veeraana
num zarkhiz zameen ho jis dil ki
waan asan hai gulon ka lag jaana
maali ko hai roghbat her us dil say
nazar-e-karam ka hai ye nazrana

Wednesday, May 8, 2019

Mai kahan hun in khakon may...............................



ye mai nahi hun maano tou
tum hi tum ho pehchano tou
mai kahan hun in khakon may
ye tum hi tum ho ankhon may
jo rang chura kar hum aaye hain
ye sang tumhara daman laaye hain
umar guzaari thi bandh ankhon may 
tum se hi hosh ke lamhe paaye hain
tujhe be-khudi yaad bhala ab kon kare
tujh may hi jaan meri hum doob mare
maana tha vo qismat ka ek kheil sahi
ek bunnd ka pyasi dharti se male sahi
taqdeer aksar yon bhi samjhane aati hai
jub tak chot hari hai ye tera saathi hai
haqeeqat jub khwab si lagne lagti hai
qudrat yon hi perdon ke peeche milti hai
ye kheil nasibon ka hota hai dilwalon se
rab khush hota hai aise hi matwalon se

Sunday, April 28, 2019

rang-o-buu ke rasiya...................



rang-o-buu ke rasiya
rang le kar rahenge
gar haath aagaye kisi ke
phir saare rang bahenge
ab talak chor they sipahi
ab kis aad may chupenge
zara daman bacha ke chalna
daagh dil ke chut na sakenge
shauq inka lamhon ka kheil hai
kisi daal per do pal nahi rukenge
in waqfon ki kahani mokhtasar hai
laikin inhi may ye sadiyan jiyenge
ye farakh-dil humwatan hain,kahenge
hum jahan hain hamare rasya rahenge
baad muddat ke haath aaya hai mosam
jo hum ko mila hai dete huye chalenge

Thursday, April 25, 2019

kya chahata hai aye dil....




ek sakta hai ke taari hai
her lamha soch per bhari hai
--------------------------------------
Us ne aye dil kahan socha tha
khud boye they shajar jo usne
saayon ko tarsaayenge ek din
roz khilti in konpalon ke sang
khud ko jawan hote dekha tha
sarsabz hote khwab kehte they
ye andaz tumhari amanat hain
tumhari taabir ban ke lautenge
na ke tumhare khwab lootenge
yaqeen perwan ka dekhiye saheb
ke jaane waale kabhi to lautenge
maana dastur dil lagane ka naqis hai
magar saheb kahan hum se chootenge
her subah ka yarab yehi arman hai
hamari tarha ye kabhi na tutenge

Wednesday, April 10, 2019

ye duniya naii naii hai...




ye duniya naii naii hai
yehan shanasa koi nahi hai
jo le kar chale they,carvan-e-ulfat
unhein tahi damani ka,shikwa nahi hai
hum jis safar per maan se chale they
uski rahguzar ka, nishan kyon nahi hai
ye ja baja jo sar hain, katey huye hain
Jo sar utha hua tha,vo ab raha nahi hai
khair mere yarab,dil badal gaye hain
kya ab dilon may, tera basar nahi hai
mohabbat aaina hai,rabubiyet ka
Aah! khudparasti,tera aks koi nahi hai
maana aye dil,dhoke bade haseen hain
luzat-kashi se behter,koi jahad nahi hai
besood talaash ka,haasil bas yehi hai
shab-o-roz may ab,dil kahin nahi hai
aye kaash zindagi tu,sirf khwab hoti
shab bhar ka sauda bura to nahi hai 
hosh ne sah ke zalim,zabt ye sikhaya
khamoshi se behter aah-o-baka nahi hai
kaash jaan meri, waqt rahte jaan paao
jo tum se tuta,vo mahaz mera dil nahi hai
waan tha,mere rab ki takhlikh ka basera
pehchan kar bhi khud ko pehchana nahi hai
hikmat ke khel saare,kaam agaye hamaare
ab dil se hamare kuch bhi chupa nahi hai

Tuesday, April 9, 2019

mujhe bhulne waale.....




mujhe bhulne waale
mai tere dil se na jaungi
tu jitna bhulna chahe
mai rah rah kar yaad aungi
mai kahan door hun tujh se
teri ankh may jhilmilaungi
teri dum todti muskurahat may
aah ban ke kulbulaungi
siyah raat ka jaise koi jugnu 
tere khayalon may jagmagaungi
tu chahe na chahe kya ghum hai
mai meri jaan tujh ko chahungi
lafzon may na jo jhalkey
teri aisi tasveer banaungi
mai tujh ko yaad karte karte 
khud ko ek din bhul jaungi
maana tu saaya hai soch ka meri
mai perde utha kar milne aungi
gawah rahna ye tadap tujhi se hai
ye na rahi mai bhi rah na paungi