Search This Blog

Wednesday, September 30, 2009

Ek rutt mohabbaton ki



Riwayeton se hut kar
Riwajon may simat kar
Reh gaii hai dekho
Ek rutt mohabbat ki

Jo thi hikayeton may
Chupi thi shikayeton may
Tasht-az-baam hogai hai
Ek rutt mohabbat ki

Ab in mosamon may
Koi junun nahi hai
Haqeeqat aashna hai
Ek rutt mohabbat ki

Shab ki ghaflaton may
Na Khwab na khatta hai
Ab ke dhuli dhuli hai
Ek rutt mohabbat ki

Meelon ki khamoshi may
Raastey badal badal kar
Guft-o-shaneed per hai maayel
Ek rutt mohabbat ki

Uski atta nahi tou kya hai
chahaten meri chahaton ko
Mujh ko de raha hai
Ek rutt mohabbat ki

Baarha serd tanhaion may
Libada meri be-kasi ka
sajaaye uski ranjishon se
Ek rutt mohabbat ki

Jaane kyon yaqeen hai
chahe zamaane badlen
Kabhi na badal sakegi
Ek rutt mohabbat ki

Saturday, September 19, 2009

Chaand ki Arzu yehi thi


Chaand ki Arzu yehi thi
Koii raat chaand si ho
Koii baat chaand si ho
Humsafar mera bhi
Saath chaand ke ho
apne hi rang may
ek raat mil gaii
chaand ke bina bhi
ek raat dhal gai
her raat ka moqadar
chaand sa nahi hai
furqat ke in palon may
chaand kyon nahi hai
asmaan bhi dekho
hasrath se tak raha hai
saath qismaton ka
mere bhi bas may nahi hai
dua pur-yaqeen hai
koi kya ye jaane
chaand mujh may hi kahin hai
ye ujaale baang-e-dara hain
hasrathon se maadra hain
ye sirf unke liye hain
jo be-niyaaz hajat-rawa hain
mahaz ek raat chaand ki
Meri Arzu nahi hai
chaand umrbhar humsafar ho
her raat ki arzu yehi hai

Friday, September 4, 2009

Ek naau kaghaz ki



Ek naau kaghaz ki
Mere ghar ke angan may
Raah bahne ki dekha karti hai
sukha aangan kehta hai
Baara mahine is ghar may
pathjhad ka mosam rehta hai
sau mosam aaye chale gaye
is ghar ka ek hi mosam hai
duniya hazari niyamat-khana hai
is ghar ki qismat sooni hai
neem ugaane waale ne kub socha tha
ye rag rag may uter jaayega
insaan ki saari kadwahat
khud may sama laayega
is ghar ka her kona ek kahani hai
is ghar ki adhuri jawaani hai
maali mosam ke derd chunta tha
daaliyon ke khwaab bunta tha
kehta tha ek din in shaakhon per
gulon ke mosam aayenge
ye jo puraane mosam hain
phir koii naii baat sunayenge
waadon ki umr choti hai
qismat ki niyyat khoti hai
aangan ujda ujda rehta tha
her fard se roz kehta tha
dekh ek din koii aayega
ek aur kahaani ban jaayega
haan aaya tha koi ek din
ujde aangan se chun chun kar
ek ek khwaab le kar chala gaya
ab koi aankh na sotii hai
na khwab ki himmat rakhti hai
sukhe veeraan aangan may
ab saayon ka basera hai
her din aaj bhi be-bas hai
her raat wehshat ka phera hai
dil jis aangan se tha wabasta
ab na tera hai na mera hai