Search This Blog

Wednesday, December 28, 2011

ye kaisi agahi hai.......








ajab be basi hai

kahin koi khayaal hi nahi hai

ye kaisi agahi hai

dawa derd ban gaii hai

zindgi khamosh tak rahi hai

ye duniya naii naii hai

vo shaad kal kho gaya hai

aaj her aankh may numi hai

Tu khud say bichad gaii hai

waqt per say guzar gaii hai

koi nabz ashna gar mila bhi

munkir gardish hogaii hai

be-hissi riwaj ban gaii hai

khudsari aam hogaii hai

koi dastak chaunka tou de inhen

zindgi ummid per tamam hogai hai

Wednesday, December 21, 2011

hai gar ishq khata ka pehalu




hai gar ishq khata ka pehalu
tere pehalu ki zarurat kya hai
maana ke aur bhi ghum hain
phir derd-e-mohabbat kya hai
hain ek zeest ke jhagde kitne
aye dil ek aur musibat kya hai
lutne waaley ne kahan ye dekha
akhir in halaath ki surat kya hai
tere mana ke hain lakhon chehre
bata is chehre ki muddat kya hai
waqt tere andaaz bade hain qatil
akhir ek shaam ki qeemat kya hai

Wednesday, December 7, 2011

patharon tale bhi milte hain dil.................





mai abhi talak hun nind main
koi mere hosh ki dawa tou ho
mujhe jagaye koi khumar say
mera nasha kabhi hawa tou ho
ye zarb kaari mujh say kahey
kabhi ghum-e-dil sawa tou ho
patharon tale bhi milte hain dil
koii taalib-e-humnawa tou ho
teher ek aur ilzaam le apne sar
ishq ka ye chalan rawa tou ho

Monday, December 5, 2011

iztaraar



namaaz ho tou bilaal ki
ishq ho tou bilaal ka
jahan aai dil say sada
haq mebhub ka ada hua
koi dhundta hai simt waqt
kahin chahiye jaa-e-namaaz
iztarar ki yehi ek dawa
her waqt ba-haq khuda
ishq ka koi paikar nahi
ishq saraapa jamaal hai
kamaal khud ho sarba sajood
vo rang hai bilaal ka
ishq muntaqal hua ishq say
hum-ahang hogaye rahbar
araam paagayeen saubaten
bilaal hogaye ishq-e-khuda
rang nasal ki haqeeqat yehi
khuda say  admi juda nahi 
wahi hai uska martaba
ishq adam ishq hai khuda

Thursday, December 1, 2011

Soch









soch ke taanon baanon may
uljha uljha sa ek rishta hai
kabhi khayalon ki galiyon may
kabhi gumsum si dhadkan may
aksar doobte mayus jazbon may
chupke say aakar mil jaata hai
thamti nabz ko thaam ke aksar
kehta hai tu jism mahaz hai
mai tere lahu ki gardish hun
tera ishq agar ibaadat hai
tere ishq ki mai parastish hun