Search This Blog

Wednesday, February 11, 2009

Taabir



Maine bhi ek khwab dekha hai
Ye jungle se jo lagte hain
Kabhi chaman ye hojayen
In veeranon se ghabrana kya
Ye tou purane saathi hain
Inka daman bhi mehekayen
Maine dekha khaali ankhon may
Khwaab koii aur bharta hai
Tabir inki jaisi bhi ho
Ilzaam unhi per dharta hai
Sukhi pyaasi dharti per
Jaise bhuka zulm karta hai
Meri in sochon may aksar
Ek sawaal gunja karta hai
khwab hi dekhe tune ab tak
inka matlab samjha bhi
inki haqeeqat jaani bhi
ye khwab tujhse kehte they
dekh kahin koi khaali ankh
in khwabon se hi behl jaaye
koi udasi inse dhal jaaye
in taarik bojhal raahon may
tujhe apni taabir mil jaaye
vo rehguzar yaad bada aati hai
jahaan awaazen koi deta tha
ye waqt nahi phir aane wala
sun lo mujh ko kehta tha
ye aag si jo hersu phaili hai
ye wheshat si jo chaii hai
ye insanon ke seenon may
tahreek-e-jahal ban kar aai hai
kya in serd hote jazbon may
koi khwab jagaya jaskta hai
kya vo sunehra rupehla kal
phir wapes aasakta hai
ab tou in khwabon per bhi
“chaand”taari ek suckta hai

Thursday, February 5, 2009

Ye suni suni si hai dastaan




Ye suni suni si hai dastaan
Jo suna raha hai tu
Mai kahun bhi tou kya kahun
Mera haal hi bata raha hai tu
Gaye dino ki ye baat hai
Ek ladki deewani hogaii
Koi paagal mil gaya usey
Hosh may aate aate unhen
Zindgi ki shaam hogaii
Sab ne dekha jo ye majira
Kahne lage hota hai ye
Naya nahi hai ye junun
Majnun ne shuru ki thi ye rasm
Laila bani thi koi arzu
Chaand sa ek dil
Asmaan se jazbon may kho gaya
Jo kal tak kisi ka na tha
Pal may kisi ka hogaya
Anjaam se sada be-khabar
Ishq be-khauf husn be-qadar
Dil-o-jaan ki hiddaton ki tarha
Khud apni hi aanch may tap gaya
Jo raaste naye they kal
Aaj unhi ka rahnuma hogaya
Yon hi jagaaye jaate hain dil
Ishq se jub milaye jaate hain dil
Gar ghaur kar sako tou karo
Ishq ke raaste hi milta hai vo
Veeraniaan jahaan bhi milen
Wahin gulon sa khilta hai vo