Search This Blog

Wednesday, February 25, 2015

Najaane kyon......







Najaane kyon zindagi ke mosam
Zehen-o-dil may kahin nahi hain
Guzarte shab-o-roz ke ye manzar
Baab-e-khayaal se guzar gaye hain
Akhir ye nigaahen kahan reh gaii hain
Kahin apne mahvir ka tawaaf kar rahi hain
Mai hergiz na hatungi apne daayere se
Dhadkanen ek Isi laye pe thirak rahi hain
Acha nahi hai,dilon ka mansab se apne hatna
ye chakar hai zameen ke, zaat ke nahi hain
Mujhe sada apni hadon may baandhe rakhna
Samandar ki wasaton si ye teherti nahi hain
Ye tufaan waqt ka  chin le na hisson ku
Ek Tilsimati gulsitaan ki shahid wahi hain

Monday, February 9, 2015

Teri ek sitar aye charagar......





Teri ek sitar aye charagar
muzhda-e-jaan hai rahbar
teri ek nazar thi badi Kargar
Dojahan se kargai Bakhabar
hai ye konsa alam deedawar
Insaan insaan se raha mukar
Soch ka dar zara khol bashar
yehi alam hoga  roz-e-hashar
Teri zaat gali  teri zaat shahar
Tu hai rishton ki ek raah-guzar
duniya mahaz ek saa-at ka safar
tera hona us ke hone ki khabar
us ki hamd-o-sana ka hai ye asar
Ezaazil bhi bhul gaya apni dagar

Sunday, February 1, 2015

Lo aagaya hai phir se......

\



Meri nadamaton ka
Ehsaas hain sahaara
Zuban Soch ki alag hai
Rooh ko mila hai ishara
Meri hasti ko milgaya hai
Badi khamoshi se kinaara
tere qalb ne mere dil ko
Kitne tufaanon ne guzara
Haar jeet ka Apna maza hai
Ek tera taluq hai bada pyaara
Deewane ne ab Liya hai
Ishq ki talkhiyon ka chatkhara
Haasil bandagi ishq ki mili hai
Isi gali se aana jaana hai hamaara
Lo aagaya hai, naam-e-mohabbat
Yehi paigham haq ko hai gawara
Pehchan ka safar,paagaya hai Manzil
humko mil gaya hai hosh ye dobara