ye wahi hosh ka imtihaan hai
wahi sara-seemgi ka jahaan hai
badh-hawaas hain ahal-e-dil bhi
ruka hua rahnuma ka carvan hai
kub talak ye khel hawadison say
ab yehaan na koi makaan hai
baarha maine socha khamoshi ko
jawaab hai tou aakhir kahan hai
muraad koi bar aaye kabhi tou
abhi adhuri dil ki daastaan hai
zindgi nay karwat badal badal kar
Kar diya admi ko neem-jaan hai
us chaand ko lag gaya girahan
roshnion ko jis pe etbaar tha
un taaron ka nasib kho gaya
chaand ko jin say pyaar tha
tamaam shab tha jo mahu-e-raqs
vo bas ek pal ka khumaar tha
kahin tou khatam hota ye silsila
ye wahi sadion purana intizar tha
dekh chaak chilmanon ki oat say
wahi wahashaton ka talabgaar tha
dil ne samjha jisey daana hakeem
vo bechara khud bhi beemaar tha
koi raah dhundta hai,manzil koi
carvan-e-safar ka yehi qaraar tha
rahbari chaand ko bhi maqsud thi
uski yehi thi dua,yehi israar tha
tujhe khabar hai meri zindgi
mujhe khabar teri mili nahi
teri nazar may mai sada rahi
mujh may hi mai tujhe mili
teri soch may mai chupi rahi
tera zikr hi meri zubaan hui
ye zindgi tujh say hui zindgi
be-sabaat hi sahi tu hai meri
tujhe bhul jaaun mumkin nahi
tu hi mera gurur meri bandagi
tera saath hai khizar-e-hayath
mere saath thi do qadam sahi