Search This Blog

Wednesday, July 31, 2019

Taareef us khuda ki jisne hume banaya......




Vo samajhte hain mujhe deewana bana denge 
Mera khayal hai ye bheys khud maine liya hai
----------------------------------------------------------
paaye they khaar gul,gulcheen ka soch kar
khuda ne gulcheen ko hi baghbaan kar diya
------------------------------------------------------------

Shaatir lubon ki thi Ajab vo muskurahat

Jaise sar kar liya ho,meyrka  zindagi ka
Deewanon Ne jaan kar haari thi zindagi
Kya le jayega koi,is nafrat ki daud may 
Ulfat ka ek ghunt kabhi pi kar tou dekhta
Jo teer khaaye hain zeher May bujhe huye
Lamha lamha tabeeb tha jo dhaal ban gaya
Kyon dhundta hai choton se rista hua lahu 
In zakhmon ki aanch se kabhi dil apna sekta 
Teri hasrath yehi sahi meri arzoo ka khoon 
Meri arzoo yehi kabhi tu mujhe ji ke dekhta
Akhir humnafas dawa kya hai tere sakun ki
Pooch dil se,kya hosaka kabhi rab se rabta 
Khatir jama rakh mai teri dastaras May hun
Mai na-ummid nahi hun tera mera ek raasta
Tu Ji bhar ke mana jashan apni jeet haar ka
Dekh tere karam hain kitne hawaas-bakhta 
Umar cut gaii tere is haar jeet k kheyl may
Koi dum ji tou le asal,ye ghum hai khud-sakhta 
Meri nazar se mila nazar, tera waan nahi guzar 
ye mohabbat ka hai nagar, mehbub ka hai patta

Sunday, July 28, 2019

mujh se pehle mujh ko suna karta hai.................



mere in be tarteeb khayalon ka
bhataktii soch aur sawaalon ka
akhir koi na koi tou sabab hoga 

muddat se dil per na hui dastak 
sehra be-aab-bayaban si kasak
akhir koi na koi tou sabab hoga

siyah raat ko noor ki jaise talaash
ek naii subah ek naya roop tarash
akhir in halath ka koi matlab hoga

mujh se pehle mujh ko suna  karte hai
Baat meri mujh se pehle kaha karte hai
akhir in inayaat ka koi matlab hoga

aye rooh-e-khayaal aye ishq-e-mohal
hai ye tera karam hai ye tera kamaal
akhir in jalwon ka koi tou sabab hoga

ayin sadat hai khayaal ki ye mashaal
Rang laaya hai teri  mohabbat ka gulaal 
Izhar-e-karam her dum ba-adab hoga

Monday, July 22, 2019

Ek Pehra.....




ek pehra dil per her waqt rahta hai
Dayera nahi hai dastaar kehta hai
her roz uzar ek naya dhund hi lega
ye dil bada ayar hai tayaar rehta hai
Sadiyon sadaf may rah kar hua tayar
Pal may kahan gale ka haar hota hai
Kahan jayega taayer daam may aa kar
Perwaz se behter ye lalazar kehta  hai
Ye hawa mahal hai dhay jaayega ek din
is khwab may her koi khwaar hota hai
Ek umar ganwa kar raaz dil ne paaya hai
Zindagi ka saamna  bas  ek baar hota hai

Saturday, July 13, 2019

behne de palkon se.........................



umar ka dhoka na de mujh ko deewane
ke umar hai dhoka dil kyon nahi maane
jo baat dil ki hai dil hi may na reh jaaye
shauoor se  poocha vo  bhi  nahi  maane
zindagi bandh ankhon may na guzar jaaye
behne  de palkon se chalakte ye paimane
hasti ka  ek din neest hona  moqadar  hai
laga kyon abhi se taboot may keel lagwane
tujhe tera hone nahi denge tere paimaane
her buund hai sheesha her taraf hain aaine
hosh se begaana kar dein,hain vo begaane
bheys kis ka liya hai apnon ne khuda jaane
usey manzur gar hota vo mere rubaru  hota
meri soch ki perwaz may tu hi hai deewane