Search This Blog

Sunday, October 30, 2016

Ishq hai mujhe........





Ishq hai mujhe apne khayaal se

rakhta hai baaz mujh ko zawaal se
Jin hasrathon ka muh dekha nahi
Moad leta hai  ye, apne sawaal se
Milta hai her koi, pehchanta nahi
duniya may mubtila , hain nidhal se
Ek mere siva , sab ki talaash hai
Khaate hain ghum,apne hi vabaal se
saudagaron ke haath Mai aata nahi
Maat khaate hain ye apni chaal se
Awal  bhi Mai  aur  aakhir bhi Mai
Waqif nahi hai tu abhi apne haal se
Khamoshi ki zubaan hai zubaan meri
Jalwon ka bhala,Kya kaam qaal se
Fitraton may gar,Mai ghul gaya kahin
ho jaate ek rang sab mere gulaal se

Tuesday, October 25, 2016

Jo aa ke ek baar





Mai kal bhi khwab thi
Aaj bhi deewane ka khwab hun
Apne her adhure khwab ka
Khud Mukammal jawab hun
Kaatib-e-qalam ki soch ka
Mai ek adhura baab hun
Dilon ka bhedh jahan ashkar Ho
Mai us faqeer ka be-kal rubab hun
Jo aa ke ekbaar,teher Gaya wahin
Mai us nigah ka,mehkta shabab hun
Jis ki sohbaton ka,gumaan hai aaj bhi
Us ke Assal ka,mai uth-ta naqab hun
Mohabbaton ki tarha nawaza gaya jisey
Mai us sagar ki Ana ka,adna hubaab hun 
Kal bhi jawaz tha aaj bhi hai zindagi
us ke baghair mai khaali kitaab hun
Duniya laakh karle uske haal ka shumaar
Mai un khamoshiyon ka biphra chanab hun
Muddat hui mujhe apna dil tatol kar
Mai aaj bhi unhi palon ka hisaab hun
Sehraon ka khumaar jin ki rahi ho pyaas
Mai Un jhumtey dilon ka saraab Hun
Sar per sarphiron ke sajta raha hai jo
Us dilnawaz ke qadmon ka gulaab hun

Sunday, October 23, 2016

Meri zaat ek shehar hai.....







Meri zaat ek shehar hai
Yehan meri zaat darbadar hai
Lagta hai kahin aur ka safar hai
Aaj bhi kisi talaash per musar hai
Ek isi guftagu per apni guzar basar hai
Meri daastan kis qadar mokhtasar hai
Zindagi lagta hai bas akhiri pahar hai
Ujli ujli ruton may khwaab ka saher hai
Mosamon ka guman hai waqt muntazar hai
Khayal rooh ke hain lafz lafz muntashar hai
Sehra bhi lag raha hai phulon ki rahguzar hai
Deewane ki nazar may tanhai khoobter hai
Naghma Sara hai jo ehsaas be khatar hai
Meri guzar gahon ki tujh ko bhi khabar hai

Tuesday, October 11, 2016

Ye Meri chahein





Kyon dhundti hun thujh ko
Jub ke mujhe patta hai
Tu kahin nahi Gaya hai
Shaklein badal badal kar
Mujhe her Taraf mila hai
Phir ye konsa khula hai
Jo Teri zaat Se aa mila hai
Akhir Teri justaju ki kadiyan
Mujhe milti kyon nahi hain
Teri udasiyon ka ye raaz
Mujhe per khulta kyon nahi hai
Ye kaisi pashemaniyaan hain
Jo kinaron ko jodti rahi hain
Tu ek ittah samandar sa hai gehra
Mere aage peeche tera hi hai pehra
Phir kyon ye chahein mujhe chodhti nahi hain
Maan liya hai Maine tere dil ka kehna
Ab na koi zid hai na kuch hai kehna
Tujhe sab kuch patta hai
Meri ye deewangi gar khata hai
Mere hosh ko na saza de
Mujhe bas itna bata de
Aakhir ye Kya majira hai

ek sunehera saaya ho.....



Ek sunehera saaya ho
Ya tum meri kaaya ho
Ya phir koi moh maaya ho
Aakhir tum mere Kya ho

Ek sitar may tum ko paaya hai
Jaise koi bichda milne aaya hai
her aahat per ummid naii laaya hai
Mera haasil mera tu hi sarmaya hai

Kitne mosam aaye chale gaye
Ek tere khayaal dil se na gaye
kitne safar moqam badalte rahe
Mere qadam kahin tanha na gaye

Aisa Kya tha meri qismat may
Kya tha is meher ki baarish may
Bheeg kar ankh num kyon na hui
Jaise koi jwala tha Teri fitrat may

Loag jahaan may aate jaate hain

Apni beeti kahan jaan paate hain
Apni hi bheed may gum hojate hain
Nahaq apni pehchan ganwaate hain