Search This Blog

Friday, May 31, 2013

Israar





kabhi aisa bhi ho saaqi
mai ban jaaun suraahi
mera kuch na rahe baaqi
mera shauq hojaaye perwana
bana daale mujhe shamma
phir karde mujh ko deewana
sitam ye ke sitam dar sitam chahe
dil ye kaisa karam chahe
ajab ehsaas hai is ulfat ka
her lamha apna bharam chahe
mai hun aur wahi zindan hai
ab na jism hai na jaan hai
kehne ko mera vo mehman hai
aakhir kya khahish-e-insan hai
ye israar pyaara hai laikin
ek tera khayal sahara hai laikin
teri khamoshi per guzara hai laikin
thaki dhadkan ye kehti hai
yehan koi nadi ab na behti hai
wahi jheel si hain ankhen
wahan ab koi aur rehti hai
aye baad-e-wafa sun le
is chilman ko na sarakne de
na is deewar ko girne de
is hasrat ko yon hi marne de
ye wahi zabt ki kahani hai
lub pyaase aur ankhon may paani hai
 mohabbat ki ye zeenat purani hai

Wednesday, May 22, 2013

teri khamoshi keh rahi hai...................





teri khamoshi ko maine
aaj ja ke samjha
us shor say kya haasil
jo raaton ki nind chiney
jo dil ka sakun lele
teri khamoshi keh rahi hai
mai khamosh kyon nahi hun
meri lum-taraaniaan dekho aakhir
mera hi azaar ban gaii hain
kahaan hai samaa-aten vo
jo kisi ko baseeraten dain
kahan hain baseeraten vo
jo jahaan-e-dil karen munawwar
sab ki zubaan mashghala hai
jo samjha zubaan ki haqeeqat
usey haqeeqatan kuch mila hai
ye wasf aali hai janab-e-aali
ye zarf waalon ko hi mila hai
gar khamoshi khal uthey tou
bolo vo jo khuda chahta hai
kaho nabi ne jo kaha hai
ke wahin rehmat-e-khuda hai
warna zubaan rahe hasrath
samjho khamoshi khuda ki raza hai
aaj jub bhed ye khula hai
najaane dil may ye kaisa khula hai
kaise hogi khaana-puri ye
kahan teri inayeton ka silsila hai
mere shore ko sada hi
teri khamoshi say gila raha hai
aaj mai ye keh rahi hun
teri is bolti khamoshi say 
meri mohabbat barmala hai

Thursday, May 16, 2013

Aaj azad hua hai dil................







Aaj azad hua hai dil
us ek shert puraani say
jo ek shaam ka waada thi
us unsuni unkahi kahaani say
derd  hain saughaat mohabbat ke
jo na sanmbhle ek deewani say
usey kya maar sakenge ghum
jo mar gaya ho teri gul-fishaani say
qayem hain saare rooh ke ye jalwey
ek terey honey ki nishaani say

Wednesday, May 15, 2013

Phir mujhe pukar tu...............................




phir mujhe pukar tu
meri pukaar ki hai ye arzoo
gar khamosh ho jaayega tu
na hoga phir ye alam-e-huu
tu karta jaa tere karam
ke kaar-e-khuda ka kaarinda hai tu
meri zaat ek sifar hi sahi
tere dum say hai iski abroo
mera sar hai ab amanat teri
na jhukne de kisi aur ke qadmon may tu
meri chahton say na tu dagmaga
yaad rakh faqat mohabbat ka markaz hai tu
chupa hai shikayeton may ulfat ka yaqeen
ke meri pukaar hi hai teri justaju
le na ab aur tu mera imtihaan 
ab aur taab dil ko nahi mere raahru
jub ehsaas jaan ke jaane ka ho
bhadak uth-ti hai aur tamannaon ki lau
sun tag-o-dudh teri rang laai hai
na hai ab koi hawas-e- rang-o-bu
vo hum-zaad jo sadion say sang tha
teri meher say hogaya hai mere rubaru
khud per jub nigah padi mere meherbaan
"jaane kyon" waan bhi nazar aaya hai tu

Saturday, May 4, 2013

aisa karam koi aaj tak na kar saka................





kaii dinon say jaan-e-jaan
mere khayal ka guzar 
meri gali say na ho saka
najaane konsi raah mud gaye
kisi mod per vo pal na teher saka
dil-e-shakista ki kya khaak arzoo
ek waar kaari jo na sah saka
meley mosamon ke hain lage huye
koi mosam mujhe le kar na badh saka
aakhir ye zindgani kya likhegi kahani
ek shah ghareeb ki jholi na bhar saka
mere karam na dekh apne sitam tu dekh
teri khamoshi ek dil na sah saka
mana ke khasiyet jazbon may chahiye
jiski chah thi vo na khaas kar saka
derd raat ka hai taaron ka tutna
chaand ka safar koi na kar saka
ajab hai hosh ki dawa hosh le udi
aisa karam koi aaj tak na kar saka
ek naam aaj bhi qalb-o-jigar may hai
safha-e-hasti say kabhi jo na mit saka
khair ho dil ki dekh uski be-basi
tere khayal say na azad ho saka