Search This Blog

Thursday, December 23, 2010

Pehchaan..........



Chahte ho phir mai pukarun tumhen
Zikr say tumhare phir sanwarun tumhen
Aah!nazaron nay kaha roshni chin kar
Andheron say mere guzarun tumhen
Mubarak tumhen shauq-e-khoon-e-jigar
Be-aab ankhon say kaise niharun tumhen
Badal kar mera dil tumne acha hi kiya
Jeet jeet kar phir kyon haarun tumhen
Haqeeqat hun tumhari hikmat ki aaj mai
Pehchaan kar kaisey nakarun tumhen

Wednesday, December 8, 2010

Ab na koi.....


ab na koi aah-o-bakaa hai
manzoor taqdeer ka faisla hai
baarha qismat azmaa ke dekhi
haara,nafs ke aagey jo jhuka hai
aqal jub hawa-e-nafs tark karde
samjh lo wahin asal ki ibtida hai
chahten ehsaas ki hi hain alamath
takhlikh adam ka ek yehi silsila hai
mohabbat rabubiyet ka aaina hai
iske baghair mehbub koi na hua hai

Tuesday, December 7, 2010

Tera Hi Aks Hun........................


Meri zameen hai aur yehaan ajnabi hun mai

Dasht-e-dostaan hai aur bhatak rahi hun mai

Chalo waqt-e-aakhir ye tajruba bhi hai achah

Tera hi aks hun aur tujhey dhund rahi hun mai

Sila maangne ki jurrat junun ko mere kahaan

Tuu qareeb hai mere aur tadap rahi hun mai

Meri qismat ke faisle bade ajib hain habeeb

Tera darr hai rubaru aur sisak rahi hun mai

Tere Bin...............


tere bin meri jaan daanish
dil nahi dhadkan bhi nahi
tu nahi tou mai bhi nahi
zindagi ye zindagi bhi nahi
jaan,meri in baahon ko
tere siwa koi arzu bhi nahi
khudaya ab karam hojaaye
taab betaab dil may bhi nahi
mai tere liye hi baaqi hun
mai tere siwa kuch bhi nahi
aaj her ehsaas kehta hai
maza aseeri ka sairi may nahi

Monday, November 29, 2010

Manzil-e-Shauq


mujhe ghum ab nahi hai
kay tu mera kab nahi hai
ye shauq-e-sauda-sari hai
is me maza kub nahi hai
na humsafar hai,safar hai
regzaron ka dar ab nahi hai
tu na-samajh hai na samjha
mohabbat hai,makar nahi hai
yarab khair ho diwane dil ki

ye tere nishane pe ab nahi hai

Thursday, November 18, 2010

Suna Tha Maine...................


Suna tha maine soz ki zubaani
diya usi ke dam say jal raha hai
is safar ka hoga kahin mod koi
musafir qafilon say keh raha hai
mehandi samjh kar sajaya jisko
lahu ban kar kahin bah raha hai
ye nasamjhon ki nahi hai duniya
diwana mujh say ye keh raha hai
us hosh ki dawa ab ho bhi kaise
waqt ke haathon jo lut raha hai
tera lafz lafz hai sama-aton may
tu saath hai yaqeen keh raha hai

Monday, October 18, 2010

Mai ek khamosh samandar hun


Mai ek khamosh samandar hun
Mujhe Saahil ki zarurat kya hai

Jis kashti ko ho manzil ka patta
usey kinaaron ki zarurat kya hai
tundd thapedon ka sahaara jinko
unhen baadbaan ki zarurat kya hai
raha ho hawaon ka karam jin per
unhen azmaane ki zarurat kya hai
raahnuma hojaaye bhatakti lau hi
unhen bhatakne ki zarurat kya hai
bhanvar gardab jinka sahara honge
unhen kisi aur ki zarurat kya hai
bin maange mil jaaye jinhen moti
unhen maangne ki zarurat kya hai
mangton ki jholi dekhi sada khaali
saayel ko sawali ki zarurat kya hai
raaz hasti pay muhit hai kaainath
aaina dikhaane ki zarurat kya hai

Sunday, October 17, 2010

Kirdaar



Daulat ke dher per
Jo huye hain badey
Kaash hotey inmey kahin
Laal kirdaar ke bhi judey
hai Nafs ki roz khana-puri
hain daawey sharafat ke badey
her nek se sadion ka bair hai
khud zameer say kabhi na ladey
roshni zarr-o-zann may kahaan
chaand ulfat ka jub tak na chadey

Friday, October 15, 2010

Sheher-e-Dil

aap say baaten kartey hain
wahi waqt suhana lagta hai
ek sairi dil ko haasil hoti hai
Saara aalam begaana lagta hai
Jis tarha khuda ko dekha nahi
Ek ehsaas jaana maana lagta hai
Her baab Andekhi mulaqaton ka
Shehar-e-dil ka fasaana lagta hai
Kya naam dey koii in jazbon ko
Ye saanson ka bhaana lagta hai

Tuesday, October 5, 2010

Wida


Mere yaqeen se us ko itna pyaar hai
Mujhse bichad ke bhi mera intizaar hai
Wida kiya jisne mujh ko keh kar alwida
Aaj mere intizaar may wahi be-qaraar hai
Saleb per zaruraton ki latak rahi hai zindagi
Sar per muallaq shikayeton ki talwaar hai
Milegi Ummid ko kabhi manzil yaqeen rakh
Sab kuch hai terey paas,sabar darkaar hai
Beech raah may koii khalish azmaaye agar
Samjh lijiyo ye faqat nafs ki takraar hai
Ye Ishq ka safar aasaan nahi hai taalibo
Her lamha imtihaan ,her raah khaardar hai

Monday, September 13, 2010

Nakhuda


Meri jaan teri qasam
Tera ghum mera bhi ghum
Rok le ye ansu yehin
Doob jaaun na in may kahin
Tera safar shuru hua hi nahi
Mera safar tune kiya hi nahi
Mai adal hun mujrim nahi
Mai mohabbat ki hun zameen
Maine boye they gul hi gul
khaar khudru hain,boye nahi
Abhi derd tufaan hain terey
Rishta-e-jaan bhul jaana nahi
Khey rahi hun kub se kashtiyaan
Kinaaron pe koii teherti hi nahi
Hawayen badbaan ko azmaayengi
Nakhuda khuda ka hai yaqeen

Monday, August 30, 2010

Hun Mai bhi ek nishaan tera




Na namaazon ka gila mujhse
Na rozon ki shikaayet hai
Meri takraar se faqat usko
Meri arzoo se shikaayet hai
Vo poochta hai yehi mujhse
Aakhir ye kaisi mohabbat hai
tujhey ekhtiyaar diye saarey
Bata aur kya teri zarurat hai
Parinda qafas per kahan shaakir
Perwaaz faqat teri qudrat hai
Hain tang daayerey usulon ke
Mohabbat ek roshan hidayet hai
Hun Mai bhi ek nishaan tera
Mazhab tabligh-e-mohabbat hai

Thursday, August 26, 2010

Khayaal



Haqeeqat khayaal ki jub jaan lo
Zahmat khayaal ko na diya karo
Khayaal tou phir khayaal hain
koii malaal inka na kiya karo
Ye umar ka ibtidaii libaas hain
Inhen umar-bhar na siya karo
Ye be-sabaat zindgi ka khwab hain
Haqeeqaton ki tarha na jiya karo
Rang bikherney ki ho gar aarzu
Canvas haathon may liya karo
Derd ka safar ujlaton may na ho
Apne ansu araam sey piya karo
sang dil sehraiion ka jahaan ye
tum inka maatam na kiya karo
gaye dinon ki baaten bhi gayeen
unhen phir awaaz na diya karo
phulon ki sairgaah hain khayaal
tum in ki khushbu na liya karo

Sunday, August 1, 2010

Pukaar




In garm mosamon kay
Ye serd serd jhonkey
Keh rahe hain kub sey
Dekho kabhi inke hokay
In be-awaaz raaston say
Guzro naii pukaar ley kay
Etbaar ki nahi sherth koi
Yehi keh rahe hain dhokey
Apni ankhon ko bandh karlo
Usey Paaoge khud ko kho kay
Mehakeen ranjuur ye fizayen
Dekha yaad may uski ro kay
Ho shauq jisey manzilon ka
Saudagiri ishq ki pahele seekhey

Tuesday, July 20, 2010

Tabeeb mera.................


Tabeeb mera khafa hai
Magar umid-e-shafa hai
Taalib saraapa iltija hai
Abadi adna,aala dua hai

Wednesday, July 14, 2010

Chalo aaj phir kisi ki khaatir....


Chalo aaj phir kisi ki khaatir
masnad-e-yaad hum bichaayen
Chalo aaj phir kisi ki khaatir
Mehafil-e-nishaath hum sajaayen
Haan mumkin hai rut ye badley
Kisi ki khaatir khud ko hansaayen
Mohabat may kya kaam zulmaton ka
Mohabat may aao phir dil jalaayen
Faramoshi ki hadon se nikal kar
Teri khamoshi ko hum bulaayen
un aankhon ki kashtiyon may
Ghum-e-zindgi se kahin door jaayen
Khwaab raaston se koii na laut paaya
Chalo phir koi khwaab hum basayen
Sawera Naveed hai nayi zindgi ka
chalo rab ke aagey sar ko jhukaayen

Tuesday, July 13, 2010

In Rang badalte rishton ne....



In Rang badalte rishton ne
bahut thaka diya mujh ko
dekho baarish ke mosam ne
phir rula diya mujh ko
Shajar ko ekdin jhukna tha
Sab ne ilzaam diya mujh ko
Padaash-e-Haq goii may
Gunga bana diya mujh ko
Raat aur din ab rahe nahi
Waqt ne mita diya mujh ko
Ehsaas se aari jeevan ney
Bada araam diya mujh ko
Kabhi Kahin jugnu ban kar
Ye kisne hansa diya mujh ko
Anjaam se jub mukarna tha
Kyon aghaaz diya mujh ko
Kya Ajab wafaayen hain uski
Khud se chupa diya mujh ko
Mai nazaan hun uski sohbat pe
kya kya bana diya mujh ko

Sunday, July 11, 2010

Mere Hauslon ko na awaaz de....


Mere hauslon ko na awaaz de
Kal bhi wahi meeraas they
Aaj bhi wahi hayaath hain
Asaan hai dost dil todna
Dushman ka bhi jisey lihaaz ho
Sab se Khaas wahi jazbaath hain
Vo log jinko jeetne ki chah hai
Unki khatir jo sada haara kiye
Wahi hausle aaj bhi saughaath hain
Ghum uthaane ki adat hai jinhen
Kaandha bhi chahiye unhen azeez
Ye ansoo doghadi ki barsaath hain
aye daur-e-hijraan tu ghum na kar
ye tera nasib mera bhi nasib hai
phir bhi tu aur mai saath hain
vo bund jo darya may jaa miley
zarf-e-darya ka ho jisey yaqeen
uske aage kya ye sadmaath hain
her khayaal pe wahi hai hukmaraan
warna mai kahaan ye duniya kahaan
raaz-e-hikmat ye mere haalaath hain
tu samjha gaya hai zindgi barhaa
mai samjh kar bhi bas anjaan hun
yehi azal se bande ke siffaath hain

Saturday, July 3, 2010

Aaj phir hosh maangta hai dil....


Aaj phir hosh maangta hai dil
Aaj phir ji uthna chahta hai dil
Kya khabar rahbar kyon ruka hai safar
Phir uski sangaton ka asar chahta hai dil
maikhaana jiske aagey madhosh tha
vo lamha bund bund phir chahta hai dil
charagh-e-dil khud bakhud jul uthey
vo maye aatishi phir chahta hai dil
jahaan gul biche they uske qadmon taley
us jagah phir sar jhukana chahta hai dil
diljalon ki jaa-e-panaah vo sakun gaah
aaj phir wahin jaana chahta hai dil
ye kaun rokta hai humen bhala
nahi nahi,ab azad hona chahta hai dil
kal khushi samjhey they jisey saraab tha
us fareb se nikal jaana chahta hai dil
zindgi ek nazar per terey muhith thi
phir wahi nazar paana chahta hai dil
maine suna hai khizar ka payaam ye
deewano,khuda samjhaana chahta hai dil

Friday, June 11, 2010

Ek qaatil se dil lagaane ki....................


Ek qaatil se dil lagaane ki
hum ney ye saza paai
Hamaari mohabbat ko
Kabhi maut hi na aai
Muh mod kar Saahilon se
doobney ki qasam khaii
manzil raastey safar chuta
patharon se hogaii shanasaii
hiss ehsaas kho baithey
ab deewane hain na saudaii
kya waqi “kal” koi guzra tha
“Aaj” per hosh ne ungli uthaii
ye saare fasaad dil ke they
ishq ki hi thi kaar-fermaii
gar junun shauq ban jaaye
hojaaye mohabbat bhi ruswaii
be-khudi ki apni sherten hain
isme aqal ki nahi sunwaaii
bhaley dil jaata rahe jaaye
dono jahaan haarey marifat paai
ye sauda bura nahi pyaare
ye zindgi kisi kaam tou aai

Thursday, June 10, 2010

They laakh jatan karne ko


Ek Chaak daaman seene ko
Ek be-maqsad se jeene ko
Lahu jigar ka peene ko
Azaab khwab ke sehne ko
Waqt ke saath behne ko
Waayez dekhe qareene ko
Maajhi musafir safeene ko
Majbur khud ko dhoney ko
Rishton ki kashti khene ko
Khud ko insaan kehne ko
They laakh jathan karne ko
Sirf Khaaki se mitti hone ko

Jo hain khud se bekhabar..............


Jo hain khud se bekhabar
Unhen sab ki hai khabar
Begaane se ye lagte hain
Deewane se aate hain nazar
be-deewaar-o-dar hain par
Kartey hain dilon ka safar
Be-niyaaz ke dil may hi
Be-niyaaz karte hain ghar

Monday, June 7, 2010

Aye maalik-e-kaainaath


Aye maalik-e-kaainaath
Tere aagey pailey huye
Damaan ki kya hai bisaath
Sherminda hui her aarzu
Ser-nigun hai her juztaju
Bas rubaru teri hai zaath
Sabar azma hausla shikan
Zindgi hai Musalsal thakan
Kya maut kya hai hayaath
Pukaar tod rahi hai dum
Waqt bhi yaarab hai kum
Ek ummid tera hai saath
Dil ka ruka hua hai safar
Kahin ghair na karley ghar
Koii lagaaye baitha hai ghaath
Meri Raah tu raahbar bhi tu
Qaasid bhi tu khabar bhi tu
Tujhse chupi koi nahi hai baat
Her arz hai gosh aagey terey
Ye zindgi teri hum bhi terey
Isme teri raza ka hai haath

Thursday, May 27, 2010

zindgi pal ki udaan hai


Zindgi humne suna hai
Sada rawan dawan hai
Mai kaise maan lun
Aakhir zindgi kahan hai
Guzarey huye palon ki
Bhuli si dastaan hai
Ye daur kaunsa hai
ye kaunsa jahaan hai
Gum-naam saahilon sa
Be-naam-o-nishaan hai
Koi chaap keh rahi hai
Intizar bad-guman hai
Bojhal fiza ka aanchal
kashti ka baadbaan hai
shorish-e-mauj hai ishara
bas aane ko tufaan hai
be-khatar hain perwane
yehi raat unki aan hai
shamma ki roshni may
un lubon ki muskan hai
hai mahu-e-khwab kubse
khayaal-e-visaal-e-jaan hai
mehrab mehal hain mitti
zindgi pal ki udaan hai

Monday, May 17, 2010

Ye khamoshi gar baaten karti


Ye khamoshi gar baaten karti
shikwe saarey jhutey lagtey
sach agar kehne pe aatey
khud ko us ka aks hi paate
aaj bhi vo gunj hai meri
ye baat usey kaise bataatey
be-hisi ki ek chahdar odhey
phir mujhey samjhane aatey
Baaton wadon ki zanjeeron may
tilsim ko qaid na kar paatey
saara samaa tha ek haqeeqat
ek apne hi they ferzi naatey
sar se jub bhi sarki chadar
gidhon ko dekha hai mandlatey
andheron ki aadi hain ankhen
ujalon se ankh kaise milaatey
aakhir naam kitne badlega vo
ek naam hum le nahi paatey
kabhi haqeeqat kabhi fasana
hum us ko likh nahi paatey
pucha hai jub bhi us say
aakhir sach kyon nahi batlatey
uski khamoshi yehi kehti hai
jaante ho samjh nahi paatey
ek katehra hai ye jeevan
mulzim roz hain aate jaatey