Search This Blog

Thursday, December 31, 2020

Mai zindagi hun....

 


Mai zindagi hun 

Mujhe khud May talaash kar

Mai koi butt nahi  

Tu bhul jaaye taraash kar

Mai haqeeqat hun tere jwaaz  ki

Aaina nahi hun na paash paash kar

daras hun mai tera,her ek pal

Kyon Hiraan hai mere qumaash per

shahid hun mai,Teri sarkashi ki

Zaaya na kar,na hud ko qalaash kar

Kasoti hun mai tere sunehre waqt ki

Ganwa kar mujhe khud ko na nirash kar

Mai anmol raaz hun haseen kaainaat ka

Aah ! Zyaan apni zindagi ku tu na kaash kar

Sunday, December 20, 2020

Sadiyon ki behoshi ko.....



Sadiyon ki behoshi ko

Ab hosh aa raha hai

taweel khwab se jaga kar

vo khana-badosh jaraha hai

phir se Soye huye hison may 

Naya ubaal,naya Josh araha hai

iradon may ab,laghzish nahi hai koi

mujhe azma kar muthosh ho raha hai

baarha mud kar jub bhi khud ko dekha

ek mubaham saraapa ruposh sa raha hai

teri tajalliyon se ankhein khaira huyeen jub

jaana azal se dil ye teri aghosh may raha hai

safar mokhtasar, rahguzar agahi ki taweel-ter hai

Ye Musafir mere Maula  huma tun gosh raha hai

Saturday, December 5, 2020

Zindagi khahishon ki jung hai...........................

 

Zindagi khahishon ki jung hai

Zindagi marifat ka ek rang hai

-----------------------------------

Umar ki rawani keh rahi hai

Aaj hun mai kal nahi hun

Chund saalon per muhit hun mai

Mai azal se Aarzi hi rahi hun

Waqt ke ghulam lamhe nahi hain

Ye kabhi dil se sarak gaye hain

Kabhi baazgasht ban gaye hain

Bewaqt ansoovon may beh gaye hain

Waqt ki mashaal ankhon may liye hum

Tassawur ki raahaton ke amin ban gaye hain

Umar k saare jhagde pal may bhula kar

Teri ankhon ke daayeron may reh gaye hain

Aah ! Ishq aur haq ki lataafaton ke Nasha may

asmaan aur zameen ke darmyan reh gaye hain

Shauq ki manzilein aayeen bhi gayeen bhi

Hum teri mehefil se kahin nahi gaye hain

Khahishon aur mohabbaton ki ,Jama tafreeq kya hai

Ye perda uthaane  hamesha Rahbar aate rahe hain

Roohon se jismon ka Naata bada mokhtasar hai

kaafi hai ek ishaara, safar apna badal gaye hain

Monday, November 30, 2020

Waqt ki chaal-baazi.......



Log waqt ki kahan samjhe chaalbaazi

Kabhi maazi kabhi haal ki dhoke baazi 

Hote hote hogaye apni qismat se  raazi 

Khud ko bhula kar hi milti hai sarfarazi

————————————————------------

Hum apni zindagi May 

kahin bhi nahi they

Bahaar aur khizan bhi 

ekse ho chale  they

rooh ko chu ke guzre 

vo pal bhi nahi they

Ins-o- oons ke rishte 

bahut saare mile they

Inhi ko zindagi jaan kar,

zinda ho chale they

Daman May taare na sahi 

taar tou sile they

Inhi taanon baanon kay hi 

ye saare sislisle they

Kabhi koi sapna rubaru hua tou 

apni taqdeer se nazar churali 

Nahi mere maula,

hum iske qaabil nahi they

Kya waqi zindagi hai ek mauqa,

ya hai sirf ek khaaka 

Chah kar bhi chahaton ke 

inme rang bhar na sake they

Chalo kya hua hum,

apni kahani May nahi they

Hum se behter kahaniyon ke 

baab humne likhe they

Looh-o-qalam in haqeeqaton ke 

wahed gawah rahe they

ye saare gul umar ki

inhi riyazaton se hi Khile  they

Friday, November 27, 2020

Zindagi abhi jawan hai.......................


 

natamaam khwabon may hi teher gaii hai

zindagi tu inhi rangon may bikher gaii hai

-------------------------------------------

zindagi  abhi  jawan  hai

mayusi waqt ka zyaan hai

pichli ruton kay they jo saathi

aaj vo diya hain hum hain baati

bojhal hawavon ki wahi taazgi hain

natawaan waqt ki wahi zindagi hain

jo jaante hain her shaye hai aani jaani

kya husn,kya ishq ,kya jawani,hain kahani

unki nazar ka mahavir khususi,sirf dil hai

pyaasi roohon ke liye hi ye khususi pal hai

sarchashme rabubiyet ke,sairab kar gaya hain 

khaan-e-dil se nikal kar hersu bikher gaye hain

Thursday, November 12, 2020

Zarb.....................


her su ek dhund  si  chaai hai
ghaafil teri ummid bar aai hai
ye waqt kasoti ke siwa kya hai
aaj kal roz roz teri sunwaii hai
rubaru hai pulanda gunahon ka
bojhal dil hai,ankh bhar aai hai
mujrim jaanta hai munsif ka zarf
her zarb may rahmat teri paai hai
hosakta hai ho yahi waada-e-waqt 
qabal az waqt manzil nazar aai hai
her daur laata hai apna ekhtitaam
tamaam umar ki yehi  bharpaai  hai

Monday, October 26, 2020

Husn jazbaat may na rakha hota......................

 


husn  jazbaat  may  na  rakha  hota

duniya tujh may kuch na rakha hota

aks duniya ka teri fitrat hi  hai adam

qudrat ne warna aain ye na rakha hota

koi dum aane ko hai qayamat ki ghadi

hadon se qadam bahar na rakha hota

hai niyamat konsi adam tujh ko na mili

apne nafs ko sab se barter na rakha hota

hersu nazar teri khud-feramosh bada hai

kaash ye perda ankhon per na rakha hota

her lafz sama-at hai her nazar amanat hai

Tere Hijir ko derd ka dermaan na rakha  hota

aaina hojaate raaz,is kasoti ka yehi tha jwaaz

Qadam adam ne khuld se bahar na rakha hota

araasta khaaki ko kiya noor se apne aur kaha

Laa-makaan ne makaan tera dil na rakha hota

Sunday, October 18, 2020

Ye darya-e-waqt hain........................



Khwab tou khwab hain pal may guzar jaayenge

Raat ke musafer hain guzarte  hi mukar jaayenge  

Ye darya-e-waqt  hain  ye chad  ke  uter  jaayenge

Taabir  ki hasrath May tujh May hi Teher  jaayenge

Aakhir sung maye nosh deewanon ke hi sar jaayenge 

hasrath  ke maare  khwabon ke siwa kidher jaayenge

jinhein raas na aaye duniya  vo khwab nagar jaayenge

Tamaam zeest ke jahgday  is raat may marr jaayenge

khudferamoshi ke saare bharam pal may bikher jaayenge

ek tere siwa "aye haqeeqat" saare khwab nazar aayenge

Monday, October 12, 2020

sach kehte they log..........................


 
chaand sitaron se bhi ab baat kahaan hoti hai
vo din kahan rahe , ab vo raat kahaan hoti hai

nerm-o-gudaaz bister nind ko tarsa karte hain
khwabon may bhi pehli si baat kahaan hoti hai

sach kehte they log ye waqt sunehra arzaan hai
phir jazbaat ki rupehli saughaat kahaan hoti hai

waqt muhallat kub deta hai deewangi ko ek pal ki
her deewane dil per aisi, barsaat kahaan hoti hai

koi dil pyaasa hi aksar,,kausar ban jaaya karta hai
jis dil ko sairi haasil ho ,ye bahtaat kahaan hoti hai

jis raat pe sakta taari ho, uski qismat khul jaati hai
pathjhad ke mosam may,naii baat kahaan hoti hai

dene waale ne haal na dekha ,na dekha maazi warna
aane waale kal may yaadon ki baraat kahaan hoti hai

Thursday, September 24, 2020

Ek baar phir.................


 
kah raha hai dil phir tu ashkaar ho
ek baar phir,ek nazar ka shikaar ho
phir dil sune wahi ahkaam khamoshi ke
phir se sohbaton ka wahi khumaar ho
jaan-o-dil teri mehefil ke ghulam hain
jalwon se tere dil dasht may bahaar ho
dil ka koi  payaam mustarad nahi hua
jo mujh may hi raha kahan aisa yaar ho
ab ye khamoshi,suna rahi hai khamoshi
hoja zubaan,ishq neem jaan,qalamkaar ho
Gar zaad-e-safar nahi, vo humsafar nahi
dil-e-giraan qadar ke saath,shahsawar ho
shahid se poochte hain uske junun ki intiha
vo kya kahe,jisey aaj tak,ibtida ka intizaar ho

Sunday, September 6, 2020

Meri jaan mujh se meri...



Khayaal kub se, hum ko humi se sunaate rahe
Ye vo safar hai jis per hum ko humi hi bulaate rahe
——————————————————————-

Meri jaan mujh say meri jaan maangta hai
jo rondh gaya khud hi vo aan maangta hai
mujh ko bulaata hai phir rooh ke safar per
ek gumraah say apni pehchaan maangta hai
azal  say mohabbaton  ka ek  yehi  silsila hai 
jo waar day khudi ko vo insaan maangta hai
her su wahi zameen hai aaj bhi hukumaton ki
her rishta mujh say mera  imaan  maangta hai
tu jaanta hai meri shomai taqdeer ki duhaii
tu mujh say mera wahid armaan maangta hai
jub lag gaii hai baazi  darne say kya hai haasil
kyon khauf  laghzishon ka paimaan  maangta hai
teri hansi  keh  rahi  hai  qareeb manzil meri hai
ab ye  safar  na koi  saaz-o-samaan  maangta hai

Tuesday, August 18, 2020

mujhe kahan dhundta hai tu....................................




mujhe kahan dhundta hai tu
kabhi ho aainon ke rubaru
tera her ansar meri justaju
tere dhadkan ki laye may huu
tera nafs ghalthan-e-rang-o-buu
kaafi nahi hai sairi ke liye aab-e-juu
aarzi hai wajud tishna ki khuu
koi dum agaah kardega maah ruu
mere baghair tu kuch nahi, mai teri rooh
aadam may dum ka dakhuul wahadahu
di shahadat rooh ne lashareeka lahu
ek mera konu nahi tere siwa allah huu

Wednesday, July 29, 2020

Khudara karam...




Mai hun yaqeen-o-guman ke darmyaan
Apni aur meri pehchan ka koi jwaaz  do
Mai  jawaab  ho nahi sakti her swaal ka
Tumhi in pareshan swaalon  ka jawab do
Maine tumhein soch kar guzardi ek umar
Meri umar ke is safar ko tum  sanwaar do
-------------------------------------------------------------
Log sadiyon se sirf ain  ke ghulaam hain
Baazgasht-e-ehsaas kaise sab ke liye aam ho
Mai ne   suni hai baarha tumhari khamoshi
Mere dil say jo hota hai nashar vo pyaam ho
Mere lamhon ka guzar basar hai tumhari zaat per
Khudara karam, meri aziyet na tash-az- baam ho
Puzhmurda labon ki tashnagi vird ka raaz ho
Khuda khair,tum usi ki mohabbat ka jaam ho
Kharij hogayeen jism se roz roz ki mushkilein
Dil ki dhadkanon ka wahed tumhi Inaam ho
Suud-o-zyaan ka kya gila, zaad-e-safar ki kya fikir
Is mokhtasar se qaafile ka tumhi imaam  ho
Mera gawah hai jub khuda,dil kyon tishna kaam ho
Meri talaash-o-justaju ka tumhi Uruj-o-baam ho

Friday, June 26, 2020

Chund lafz samaton se mil kar.............................





Chund lafz sama-aton se mil kar
khayal may m
uqeed hogaye hain 
dhadkanon may,ghul gaye hain
Lagta hai  wahi mata-e-kul hain
abadi Husn zindagi ka wahi hain
Hai unhi lafzon ki sab meherbani
khula zindagi ka bhar gaye hain
Khwabon ka naata haqeeqaton se
Wahi lafz jod kar guzar gaye hain
Umar guzri dasht-o-sehra ke manind
wahin khushbu apni bikher gaye hain
Darun khana sunnaton ka hai aadi
Ye un khilwaton may uter gaye hain
Bhulaaya tha jinhon ne haal maazi
kahin jism-o-jaan may teher gaye hain
In bhatakti saanson ka asra wahi hain
Wahi khamosh lafz wafa kar gaye hain

Saturday, June 20, 2020

Yaadein...........................





yaadon ne jub bhi mud ke dekha
her mode,her jaa tu hi mila hai
tere baghair ye zindagi lage hai 
laa-matnaahi khulaaii silsila hai
tujh se pehle thi sirf be-qaraari
qaraar ko hosh ab ja ke mila hai
teri nazar taa-umar ka daras thi
ibadaton may raaz inka khula hai
samjhi khwab-o-khayal ki haqiqat 
lajawab ka jawab ban ke tu mila hai
raah-e-khizar ka paana,asan nahi hai
aab-e-hayaath sa tu hum ko mila hai
waqt rang badley,arzoo ke silsile bhi
sab ke badley jo mila hai tu vo sila hai

Friday, June 12, 2020

Saza







Ye kufraan- e- niyamat ki saza hai
Ek adam ke siwa her shaye ku baqa hai
Dekh be-etnaii ne teri kya gul hai khilaya
Uske Qahar ke aage, bebas teri dua hai
Mosam bhi hua khudgharz teri taraha
tere baghair her manzar gulzar hua hai
Ranaii le gaya teri,karke tujh ko hirasaan
Ye abadi khauf azal se tujh may chupa hai
Shaakir ko mila hai raza-e-rab ka ishaara
Munkir-o-munafiq ki her soch khatha hai
Haasil ko na dekh, rakh nazar karam per
Duniya haasil ki nahi, amal ki jagah hai
umar ganwai,phir bhi paaya nahi khud ko
Kya paayega khuda ku,jo khud se chupa hai
Sirf seene may tere dil ka kaafi nahi hona
Herkat may nahi jub tak,her fale balaa hai
Aye mere khuda, ek baar karam phir ho
Bandon ki khata se bhi badi teri atta hai


Thursday, May 28, 2020

Raabta......................


Meri saheli shashi ke naam.....

ek muddat ki yaari thi....jo waqt se bhi pyaari thi....uski her ada may ghumgusaari thi....log kahaniyan dhundte hain dusron may....magar vo un tamaam kahaniyon se bhi nyaari thi....

jism ka hona na hona fana nahi hai....yaadon se kisi ka khaarij hojaana hi asal fanaa hai....Shashi tu sada baaqi rahegi...

--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


Ek raabita tha tera mera rishta
Dost dil se door hua nahi karta
—————————————---------------------

Shashi teri madhur hansi
Aaj bhi kaanon may gunjti hai
Teri baaton ki nerm nermi
Dil may Ajab mithaas gholti hai
Teri charagari her dil ki dawa thi
Tu doston k khamosh dil ki sada thi
Tu tere doston k dil se kub juda thi
Teri maujudgi ranaii thi zindagi ki
Teri muskurahat derd baant-ti thi
Teri rooh bolti thi teri dosti may

tu dil kholti thi sab ke bekhudi may
Husn zindagi say Tu ne her pal liya tha
ishq zindagi ka tune her pal jiya tha
apni sangatein sawan ki theen jhadiyaan
apni dosti ki inme piroii theen ladiyaan
Teri zindagi ki zubaani teri kahaani
Chund pathjhadon may tamaam hoagi
AAh.waqt ne andaz ghum k bhi badle
Ankhon se ab ansoo bhi na  Nikley
Lagta hai dil munjamid hogaya hai
Tera ghum jaise barf ka todda ban gaya hai
Tu pahadon may muntashar hogaii hai
Magar khayalon may kahin teher gaii hai
Teri mukti ka samaan yehi mohabbatein hain
Rahati duniya tak rahengi ye vo sohabatein hain

Tuesday, May 26, 2020

kya khoob hai qudrat ka ishaara...........................





dono taraf eksi khamoshi hai
ya ke dono samajh gaye hain
maqsad yehi hai khamoshi ka
ke bolta qaasid khayaal hi ho

-----------------------------------------

kal tak jin ko na thi fursat
Kahan hain tanhaiiyon may
kya khoob hai qudrat ka ishaara
sitaah per hain gehre paaniyon may'
ab kon hai kitna pyaara jaan lenge
gar khud ko bhul jaao maan lenge
mumkin nahi hai nazar churaana
zehen-o-dil ki manzar kashi say
zindagi ab roz hai ek tamaasha 
ummid ka her lamha khwab sa hai
aur raat hai ke sooni padi hai
khahishon se aari dil hogaye hain
jism-o-jaan pe taari ek zalzala hai
ye waqt jaise qayamat ka silsila hai
mehbub they jo khayaal kal tak
aaj her arzoo tasveer-e-karbala hai
dosto,is waqt ka yehi muddua hai
dil may khuda honton pe dua hai

Monday, May 25, 2020

Saahil maujon se ashna hai..................




raatein aajkal hogayeen hain roshan
din andheron may doobney lage hain
maano waqt muh chupa ke badh raha ho
shaam aur sawere jaise khone lage hain
ye ajib daastaan tasht az baam hogaii hai
seenon se nikal kar manzar-e-aam hogaii hai

khuda ne kitna kaha tha baat meri maano
meri raah hai tumhari aghosh meri pehchano
mai azal se khair-khaw tha tumhara deewano
nafs ki charagari se daman bachana jaano
waqt se pehle waqt ki chaal tou pehchaano
mauqa na phir milega ghanimat isey gardaano


adam ki khaslaton may admi ki hai zeenat
gar admi admiyet ki pehchaan leta fazilat
aaj phir khuld se nikalne ki aati na naubat
raahi raahbar ke aaine ko jaan le ghanimat
teri itaa-at may chupi hai rab ki mohabat
tera zaahir aur baatin hi hai us ki hikmat


saahil maujon se ashna hai phir bhi hai pareshan
darya waqif hai gehraiyon se phir bhi hai hiraan
kitab-ul-ilm ka haasil maano tou khud hai insaan
sab jaanta hai phir bhi nafs may hai ghalthaan
dilon ko karne waala maskhar paalega do jahaan
admi ki naqal-o-herkat itaa-at ka hai nishaan

Friday, May 8, 2020

Dil Darvesh kya kehta hai sun....





dil darvesh kya kehta hai sun
----------------------------------------------

Koi khwab tha dil ka qarar tha
mera sar tha aur tera dayaar tha
qismat thi meri ya khumaar tha
yaqeen gumaan ka karobaar tha
tujhe dhundhne ki sayee ki nahi
ke meri hasti hi tera deedaar tha


sar jhukaane ki muhallath hi na mili
tere deed may jo maza be-shumaar tha
daana-o-beena hogayeen saari hissein
mehbub-e-dojahan may tera izhaar tha
tu na bayaban may hai na sehraon may
teri makhlukh may chupa tera israar tha


teri zaat ki kibriyayii ka alam dil se pooch
rukti dhadakti dhadaknon ka tu shumaar tha
nabz ki laye vird tere asmaa-e-husna hi kare
ek tera noor hi is bande ki rooh ko qaraar tha
khaaki ki zeenath tere namud ke siwa aur kya
tere dum per adam ki saanson ka daromadar tha

Friday, April 10, 2020

Aye jaan-e-jahan tujhe kya hua..................



aye jaan-e-jahan tujhe kya hua
ranaaiyaan teri kahan gayeen
husn-e-jahaan kahan kho gaya 
bijliyon sa jo tera mizaaj tha
kyon wahashathon may dhal gaya
maand maand hai tabaassum tera
kaisa khauf hai jo tujhe kha gaya
akhir vo konsa gunaah hai khuda
tere bande ne jo pehle nahi kiya
aaj bhi nafs ka wahi mizaaj hai
Perwaaz khahishon ki meraaj hai
teri takhlikh ko araasta tune hi kiya
lahu ki rawani may moozi ko rakha
tere imtihan se bekhabar maara gaya
kabhi tu, kabhi vo, bande ko paa gaya
haawi hai teri rahmat qudrat per khuda
bande ki khata se badi hai teri atta
khol de darr jahan darmyan koi na ho
faqat tu sun sake tere deewane ki sada
umar faham ko rafta rafta samjha gaii
tere  siwa bandon ka koi nahi hai khuda
zarra zarra deta hai jub tera hi patta
phir is vaba ki kya awqaat hai mere khuda
log gharz ke maare sahi phir bhi hain tere
saadiqeen ke sadqe unke bhi din phair de
mujhe yaqeen hai ke her marz ki tu hi dawa
mera imaan hai teri mohabbat ki hogi fatah


Thursday, March 26, 2020

ye raaz atishi hain......................




ye raaz atishi hain
ek umar ye jale hain
tab raaz ashiqi k
hum per khule hain
aah!kal bhi yehi tha alam
aaj bhi wahi be-basi hai
jo jaan kar bhi na jaan paaye
qudrat ne dore unki kasi hai
mushkil se pehle dhund lete
aye kaash mushkil-kusha ko
dono jahan ki baazi laga kar
haar jeet ka sauda bhul jaate
saahil aur kashti sarab se hain
ek nakhuda ke sang jhul jaate
jasd aur shauq ki haqeeqat
faqat faani ki kasmakash thi
imtihan se pehle kaise jaan paate
gar jaan lete dil ki haqeeqat
tere siwa kisi se na dil lagaate
shaoor ki haaziri bhi
bewaqt thi na-mumkin
matlub thi nazar khuda ki
waqt se pehle kaise jaan jaate
her nazar teri hi nazar thi
ye raaz haath aaye aate aate
jo tujh tak karle rasaaii
vo nazar be-waseela kahaan se paate

Wednesday, March 18, 2020

jaane ab ke mosam kya rang badle..............




mere malik duniya ko kya hua hai
teri hikmat may ab ke kya chupa hai
waqt aur hadon ka tayin tune kiya hai
tera banda apni had se nikal gaya hai
-----------------------------------------------------

jaane ab ke mosam kya rang badle
ek naya jwaz lekar naya din roz nikle
Bahaar may bhi ek khauf sa chupa hai
jaane ye hawa ko achanak kya hua hai
Suna hai laluch zeher bhi hai nasha  bhi
Lag raha hai inmay raaz koi daba hua hai
Khamoshiyon ki sarzinsh sun keh rahi hai
Insan is daud may khud ko nigal gaya hai
yarab tere aage moozi ki kahan chali hai
tere faisle ke aage uska sar jhuka hua hai
in phaile damanon ko ek tera hi asra hai
in badalti hui ruton ka tu hi tou khuda hai

Friday, March 6, 2020

her roz tujh se guftagu hai..............................




her roz tujh se guftagu hai
phir bhi  teri hi justaju hai
-------------------------------------

fiza may aaj bhi
wahi khushbu hai kayaal ki
zamaane aaye gaye
rangat wahi hai hilaal ki
aaj bhi hai muntazar
arzoo jaise koi sawaal ki
jazbon may tujh ko goondh kar
koi kaise tamanna kare zawaal ki
tera ek tabbasum hai hum-khayaal
dhadkan ashna hai tere kamaal ki
hosh ne naakhun liye tujhi se hain
gawah hain ye zakham,tere jalaal ki
ankhon may legaya jo ankhon ki numi
hai sana usi saheb-e-huzur be-misaal ki
farhat bakhsh ghum,us ka her sitam
buund buund de gaya apne gulaal ki
daman na dast hi phailey kabhi kahin
sairi mil gaii jisey sohabat-e-lazawaal ki

Thursday, February 20, 2020

jugnu chamak uthey hain is khayaal se.............................




jugnu chamak uthey hain is khayaal se
waqif tou hoga charagarh mere haal se
dil jub bhi tut kar gira daman tera mila
ashkon ko thi shikayet apne malaal se
waqt zehen-o-dil hosh-o-hawas le gaya
Adam kahan bach saka qismat ki chaal se
dhaala tha tujh may qalb ko tut phut kar
arasta kiya roz  roz  isey tere khayaal se
rishton ne her ghadi ek naya imtihan liya
huma waqt ek kasmakash hai is wabaal se
qaaliq jaanta hai apni hikmaton ka kheyl
banda bekhabar hai khud apne kamaal se
dil chahta hai ummid ko phir justaju mile
dast-e-karam mile,mere dast-e-sawaal se


Wednesday, February 12, 2020

ye ankhein teher gaii hain.........................




ye ankhein teher gaii hain
khud apni nazar pe ad gaii hain
her khayal may tujh se mil kar
zehen khaali kar gaii hain
muddaton se wahi hai jalwa
wahi khud may tahlil kar gaii hain
tune laakh bachaya daman
teri tasveer ban gaii hain
muddaton se wahi hai mahavir
usi nukte pe teher gaii hain
kitna samjhaya zehen-o-dil ne
laikin khud se lad gaii hain
koi pyaara tujh sa kahan mila hai
tere inkar per bhi mar gaii hain



Tuesday, January 28, 2020

Darbaar-e-Dil






dar per tere dil 
chod aaye hain jub se
her taraf dil ki hi sada hai
maamla dilon may hi hua hai
tere dil se mere dil tak
pull sirat sa ek pull bicha hai
duniya ek gehri khaaii
dono taraf se lagi hai dil ki duhaii
bach kar nikalna khel tou nahi hai
jo paar karle saani uska koi nahi hai
tune shert bhi koi na rakhi hai
bandh ankhon ka hai saara tamaasha
ye dil bhi ajab cheez banaii tune
ghadi may toala ghadi may maasha
is kashmakash ka naam zindagi hai
is rasa kashi se nikalna hi bandagi hai
tifl-e-maktab ladkhadaye ajab kya hai
wahi derd aur  daras ki ibtida hai
tees jub tak rahegi baaqi
herkat may rahega saaqi
boond boond aagahi ki
haasil karta rahega khaaki
is imtihan se bhi guzar ke dekha
thi ishq ki gali bhi ek mauqa
her dil may tujhi ko dekha
saari wahashat thi nazar ka dhoka
tufaan ke aate aate kitne baandh tutey
paaniyon ke khwab saare nikle jhootey
maula ne kharchna seekhaii dilon ki rezgaari
yehi tou hai banjar dilon ki abyaari
ab jaa ke jaana kya thi is dil ki beqarari

Saturday, January 4, 2020

chahatein tou mahaz khwab hain..............




ab ke waqt ki ajab hi chaal hai
na raftar ka isey koi malaal hai
mulhallat hi na mil saki ho jisey
us manzar ka ye kaisa sawal hai
chahatein tou mahaz khwab hain
waqt ke aage inki kya majaal hai
gar teher gaii tou phir zindagi nahi
chalna hi dhadkanon ka kamaal hai
waqt ke raaz jahaan muqeed hain
us waqt ko kahan koii zawaal hai
gardishen waqt ki nahi hain dosto
ye moqadar ki maat aur misaal hai
her talaash ko manzil mile na mile
magar jisey tu mile,vo be-misaal hai
jisey paala waqt ne kisi tifil ki tarha
kya ye wahi udaas,guzra hua saal hai