Search This Blog

Monday, April 24, 2017

Ye sabz mosam.......

Image result for spring flowers trees


khayaalon ki hukmarani tamaam horahi hai
khamoshiyon ki meherbaani aam horahi hai
-------------------------------------------------------

ye sabz mosam,hain ummid ki nishaani
inhi se milti julti ,hai insaan ki kahaani
derd mosamon ka gardishon ki zubaani
jaakar jo laut aaye ye unki shaadmaani
uska karam hai teri, ankhon ka ye paani
aala wahi hai jisne, apni kabhi na maani
mubarak hain jinki,qadrein hain puraani
jaante hain yehan,her shaye hai aani jaani
naii nasal maangti hai,hikmaton ki nishaani
ab ke khud khuda ne unki rahbari ki thaani
jo rang dain dilon ko koi unka nahi hai saani
Her lamha paighaam kargai hai unki zindagani

Friday, April 21, 2017

karam karne waala kar gaya hai......






phir dil ka mosam badal gaya hai
koi khayalon se mil kar gaya hai
shayed koi taaza hawa ka jhonka
chupke se chu kar guzar gaya hai
ye sakhaawat aam tou nahi hai
karam karne wala kar gaya hai
ehsaas deta hai sadaq ki gawahi
isi ehsaas se koi sanwar gaya hai
saare adhure lagte they nazaare
koi inme rang apne bhar gaya hai

Monday, April 17, 2017

maine inhi khamoshion se ki roz guftagu................




aakhir usey bhi daman chudana agaya
akhir usey bhi ab nazar churana agaya
akhir ye fitrat-e-duniya hai saahibaan
akhir us ke haath bhi paimaana aagaya
kahan socha tha hai ulfat waqt se parey
akhir hisaab umar ka usey lagana agaya
tufanon may doshaala jo banta raha sada
aaj apni kamli kis tarha chupana agaya
mumkin nahi ke saaye ho jaayenge juda
meherbaan,ho na ho tujhe sataana agaya
maine inhi khamoshion se ki roz guftagu
un guzre palon may mujh ko jeena agaya
hum humrang na sahi taalib tou hain tere
humein apni khudi ko ab azmaana agaya

Tuesday, April 11, 2017

Kaii dino say.....








kaii dinon say
koi yaad ban kar
isi deewar per
mai tung gaii hun

jism ab raha nahi hai
bas rah gaii hain ankhein
vo jaane kis khoj may
asmaan say mil gaii hain

sitaaron se nazar milayein
nigahon ko taab ab kahan hai
chaand humshakal hai us ka
yehi khayaal ab meri jaan hai

noor may doobi tasveer koii
nigahon may chali arahi hai
un shafeeq haathon ki nermi
in may ghuli jaa rahi hai
jaise koi pyaasi birhan
in may dhuli jaa rahi hai

jitni azeeatein zeest ki theen
Darmyan say in ke nikal gai hun
dil aur duniya ke bhedh saarey
kya haath aaye, Sambhal  gaii hun

mehfuz hai aaj tak mujh may
un khushk lubon ka wada
us mutabassum chashm ka ishaara
humqadam hai vo mussamam irada

ek sadiq talluq ki roshni hai
naam jis ka zindagi hai
un be-zubaan sohabaton nay

kitnon ko sikhaii bandagi hai