Search This Blog

Saturday, February 15, 2014

vo mujhe lautana chahta hai...............




vo mujhe lautana chahta hai
wahi gungunaate pur-israar  lamhe
meri ummid ki lau ko phir say
mujh may jagaana chahta hai
apni darperda muskurahaton say
meri deewangi ko uljhana chahta hai
her yaad ab tak ehsaas may jawan hai
usi yaad say nikal kar vo aana chahta hai
kaisi hikmat hai teri mere daata
dene waala kyon na paana chahta hai
ehtraam khahishon ka usko magar bada hai
musahibon ko khahishon say bachana chahta hai
khamoshi ko uski jisne bhi ghaur say suna hai
vo unki khamoshi ko awaaz dena chahta hai
tere karam say paali maine,adrak ki vo manzil
chala le jis raah per mujhe tu chalana chahta hai

Monday, February 10, 2014

uska hona mere rab ki merzi hai...............





phir ek naya sawera aayega
baad muddat ke koi mujh ko bulayega
vo naam jo kabhi mera tha
usey apna naam koi de jaayega
aakhir kaun hun mai kya hun
ek saaya hun sang chalta jaayega
meri zaat say wabasta fasanon ko
apni haqeeqat ka rang de jaayega
koi din chaand rasta apna bhulega
tab vo mahtab hamare ghar aayega
khwabon say nata kub ka tut gaya
per vo ek khwab hi ban kar aayega
serd tharraate barfeele mosam ko
vo ek aag yaqeen ki de jaayega
uska hona mere rab ki merzi hai
vo sada mera charagarh kehlayega

tum mera wahi lamha ho.................





tum mera wahi lamha ho
jo ehsaas mujh ko dilata hai
vo waqt sunehra na lautega
bhula kub ghar wapas aata hai
aise may ehsas sarapa taalib hai
kaisa khel mehbub rachata hai
gar talib zad may hai tufaan ki
matlub haath kyon na badhata hai
is wajud ka maqsad bas jalna hai
isi raste maqsud haath aata hai
mai aksar shal hisson say kehti hun
tera hona kitnon ki umr badhata hai
ayesh  lamha hai un yaadon ka
koi pal jab zindagi saa milata hai
daman aaj bhi khushbu say ter hai
tu ek khushbu saa mil kar jaata hai
her baat dhadkan ke sang baaqi hai
tu meri zubaan say goya hojata hai
meri hasti ki guthi ab suljha bhi de
ehsasath ka darya sukha jaata hai