Search This Blog

Thursday, August 22, 2013

shaayed kabhi usey ye patta na chal sake............





shaayed kabhi usey,ye patta na chal sake
hum kahan is shaayed ki zad say nikal sake
uski talaash aur apni justaju,kabhi na mil sake
mokhtar bekason ki duaon may na dhal sake
deewane kahan deewanon ko deewana kar sake
na koi aah hi nikal saki,na hi dil machal sake
kya daana-e-waqt ghafil ko hoshiyaar kar sake
kahan hai mauj vo, jo seenon may ubal sake
nabz azma-e-waqt ,na hi koi tadbeer kar sake
na mere haatim ghareeb ki,taqdeer badal sake
ek shoreedasar ki dastaan mukamal na kar sake
tumsa shaayed hi meherban koi humko mil sake

vo shaam jo guzar gaii..................





vo lau jo jul gaii 
phir kabhi na bujh saki
vo saza jo mil gaii
phir kabhi na tul saki
vo nazar jo mil gaii
phir nazar say na mil saki
vo dil may jo chub gaii
phir dil say na nikal sakii
vo raah jo muud gaii
phir kahin na chal saki
vo shaam jo guzar gaii
phir humko na mil saki

Wednesday, August 14, 2013

kahin ummid her sawera...................





kisi ko tashnagi gawara
kisi ko jaam ki talab hai
yehan her dil mokhtalif hai
aur her arzoo alag hai
kisi ko chah hai manzilon ki
kisi ko safar ki umang hai
kahin dasht zindagi hai
kahin zindagi malang hai
kahin ummid her sawera
kahin mayusion ki jung hai
kahin sawal ki hai hasrath
kahin sawal khud say tang hai
kahin serd jaan muntazar hai
kahin shola nawa dabang hai
kahin maqsood rahnuma hai
kahin raahbar uske sang hai