Search This Blog

Saturday, January 24, 2015

zindagi kyon khafa hai tu.....................




zindagi khafa khafa si hai
akhir meri khata kya hai 
mili hai kisi aur ki ban kar
bata de ab ke saza kya hai

israar ka haq tou zaahir hai
justaju may phir maza kya hai
ghum-e-hijr ummid ka pehlu
bata tera ab muddua kya hai

khayal aakhir khayal hi tehre
aakhir in  say chupa  kya hai
nesti ka gawah hai abad tera 
admi  mitti  ke  siwa kya  hai

ye daau ye pech ye karam saazi
aakhir is daam may rakha kya hai
maqsad zuban ka hai jigar-saazi 
aye nadan tujhe ye hua kya hai

sarsarati khamoshi se poocha hai 
waqt ke perde may chupa kya hai
arsh aur farsh ka darmyan ghadi koi
kehti hai maang le teri dua kya  hai

Wednesday, January 7, 2015

ek nhanni manaadi................





maine abhi thama tha qalam
maine uthaya tha ek qadam
maine jana hi nahi kya hai sitam
maine abhi dekhe hi na they ghum
maine abhi paaye they na zakham
maine khaii thi khud se ek qasam
kabhi bazar apna na sajaungi mai
meri hasrathon ki boli na lagaungi mai
mera moqadar mere sarkar ki paa-e-khaak
wahi raah-e-mehbub jaanan apnaungi mai
meri fatah hogi dilon ki tashkeeri
meri zubaan hogi mulukgeeri
meri bihisht teri nishst may paaungi mai
mai na jaanti thi duniya kya hai
yehan soch ki manzil ka taqaza kya hai
haayel waqt ka her dar giraungi mai
log mita kar mit jaate hain
farq dilon ka mitaungi mai
meri yaas ko meri kamzori na jaan
wahin mili thi mujhe meri jaa-e-amaan
wahin baab-e-awal se mulaqat hui
us ka unwan khud ko banaungi mai
meri pukar may rang usi ke they
her rang may mai uski hi thi
jaisi bhi hun uski khelaungi mai

Saturday, January 3, 2015

zindagi ki ote se.......








Vo kehta raha
Mai sunti rahi
Is taane baane se
Khayaal bunti rahi
Zindagi ki ote se
Khwab chunti rahi
Talkhiyon ke tezab se
Koii maye banti rahi
Kahin koi gulabi shaam 
Tere khayal ki dhalti rahi
Her subah tere naam ki
Apni ankh malti rahi
saath hai vo saaya sa
Bas mulaqat talti rahi
Naye saal ki tarang se
Ek umang behelti rahi