Search This Blog

Monday, November 28, 2011

chalo aaj hum tum.....





chalo aaj baatten hum tum  bahaaren
in khizaon ko pal bhar ko bhul jaayen
lakiron ko haathon say aao mitaayen
aaj pishaani pe apni tera dil sajaayen
chalo aaj asmaan say sitaare tod laayen
gar chaand ka chehra na dekh paayen
badalon ke sang koi geet gungunaayen
phir bundon say koi naghma churaayen
apni yaadon ko humsaaz aao banaayen
ek naye rang may khud ko  rangaayen

Saturday, November 26, 2011

Meri Maa


haan maa tu ne hi mujhe haan
kaanton pe chalna sikhaya tha
uljhi huii duniya may sulajhne ka
hausla tujh say hi tou paaya tha
teri ek ungli ka sahaara le kar
thokron say khud ko bachaya tha
aye maa ,teri kasoti ban kar
maine tujhe  kitna sataya tha
umr hawadis halaath ke tufan say
tere anchal ne mujh ko bachaya tha
tu mujhe ek pal ko nahi bhuli
meri khatir khud ko bhulaya tha
aaj maa daman hai tera khaali
tera gulshan hi tera sarmaya tha
udd gaye hathon say tere tottey
jinhen tune udna sikhaaya tha
aaj un aankhon may hain ansu
jinhon ne kabhi tujh ko rulaya tha
dekh kya marzi hai mere rab ki
kahan tujh say mujh ko milaya tha
barson baad tere gale say lag kar
Maa jaane kya kya yaad aaya tha

Monday, November 21, 2011

khair ho teri azmaton ki......




Aag dil may laga kar

tune mujhe bujha diya

mujhe khaak say utha kar

tune khaakh may mila diya

chin kar ekhtiyaar saarey

tune dast aage badha diya

khair ho teri azmaton ki

tu ne maangna sikha diya

teri nazar hai mera daman

tune asmaan dikha diya

hairaan mera junun hai

tune raasta mita diya

nalaan hain tohmaten bhi

tune apna hona jata diya

Friday, November 18, 2011

is doobti kashti ko.....




soye huye logon ko
ab tou jaga de yarab
is doobti kashti ko
paar laga de yarab
hain behaal tere bande
ab na saza de yarab
kub maqbul dua hogi
itna bata de yarab

Wednesday, November 16, 2011

ek saath ahad ka hai......



tere mere darmyan
ek rishta hai irfan ka
ye nazar na ho jaaye
phir kisi tufaan ka
taqdeer tanha nahi milti
qisten hain sherton ki
ek saath ahad ka hai
duja ahad shaitan ka
koi laakh jatan karle
isey rok nahi paaya
ye khel hain qudrat ke
kaam nahi insaan ka
aye gosha-e-jigar tujh ko
palkon may chupa rakhte
kabhi rukhsat nahi karte
ghar jaana hi behter hai
aaye huye mehmaan ka
nahi tujh sa koi jauhar
koii laal nahi tujh sa
tu anmol khazeena hai
hissa hai meri jaan ka

Tuesday, November 15, 2011

ye raastey......














chale jaa rahe hain meelon raastey

koi thakan nahi hai in ke waastey
kahin shauq sherma ke hogaya shafaq
kahin asmaan jhuk gaya inke waastey
yehi hain duniya tere tamaash-been
tamaasha roz naya hai inke waastey
bo gaya koi diljala,in may apni kasak
chaun de rahi hai wahi inke waastey
koii khush ada sunaata gaya khuda 
samaa wahin teher gaya inke waastey
daastan hijraton ki in per hogai raqam
hua her ashk mohtaram inke waastey
teri aahaton ke kub say hain muntazar
mosam-e-gul hai teri amad inke waaste

Friday, November 11, 2011

vo awaaz de na khayaal ko..




vo awaaz de na khayaal ko
haqeeqaton ka jisey shaoor ho
usey gharz kya jahan ki bheed say
jo asmaanon may mashoor ho
tu pukaarta hai jisey hai yehin
vo koi bharam nahi ke door ho
mohabbat hai ek khamosh ada
zaruri nahi ke waan shore ho
tu jaanta hai,nahi pehechanta
Aaina ban,ke usey ghurur ho

Thursday, November 10, 2011

khayaal hain ke maye-kada




khayal hai ke maye-kada
her su baras gaya nasha
mere hosh ki na kar dawa
mera haal janta hai khuda
hai us ke karam ki intiha
marz khud ban gaya dua

Friday, November 4, 2011

suno mujhe zara ghaur say...............



suno mujhe zara ghaur say
ye khamoshi tumhara hi aks hai
kahin ye kisi ko na ched de
kewaad dilon ke na bhed de
umr bhar ki boii huii
in faslon ko na ujaad de
her-dli-azeezi ka ye hunar
janaan tumhaari hai ek nazar
phir wahi jaam dedo mujhe
wahi ek nigaah-e-jalaal ka
usi mast rang gulaal ka
ek khwaab ulfat-e-bilaal ka
wahi saath sayeda ki aal ka
ho na ho ye khamoshi
koi naya mod laayegi
ye band derwaaza khulega jub
ajab tamaasha dikhaayegi
her shor guunj ban jaayega
koii aur na sun paayega
tum jaante ho ahal-e-dil
ye saleeqa aate aate aayega
her ghadi naya elaan hai
yehi dil dushmanon ki jaan hai
jahaan chah ko raah na mile
wahi roghbat-e-shaitaan hai