Search This Blog

Monday, March 23, 2009

Vo Chund Lamhe............


Vo chund lamhe

Jo mata-e-hayaath they

Aaj bhi wahi

mere saath hain

kal bhi wahi

mere paas they

meri Kaainaath ko

apna husn bakhsh kar

vo kitne udaas they

vo jaante they meri

kash-ma-kash ka raaz

wahi chund lamhe
zindgi ki mithaas they

khair ho laghzishon ki

andheron may diyon ki

hawaon se,ki hifazat

jo rukh shanaas they

tarbatar ansuon se

daman sada raha hai

baarishon ke vo mosam

unhi lamhon ki pyaas they

umr bekhudi thi

kahin mai nahi thi

wahi chund lamhe

bas hosh-o-hawaas they

rasam maangne ki

bakhshishon ki nazar ki

vo lamhe atta ke

duaon se khaas they

Friday, March 20, 2009

Suraagh


Kal Jahaan jahaan se
Guzri thi zindagi

Aaj lag rahe hain
Wahi raaste ajnabi
Raaste ab bhi wahi hain
manzil badal gai hai
suragh paane ko apne
zindgi machal gaii hai
Saari udasion per
ek naya baank-pan hai
Jub se raaz jaana
Dil chaman chaman hai
Safar khahishon ka
chola badal gaya hai
jaise bhatke huye ko
khuda mil gaya hai
Is naye safar ki
Maangen kaii hain
Salaar-e-qaafila ki
Sharten naii naii hain
ab kaunsa sauda sar hai
Aye daana-e-waqt kehde
Sab usi ko khabar hai
Apna tou bas safar hai

Thursday, March 12, 2009

Aaj tum................



Aaj tum
mere paas na sahi
Aaj ki shaam
udaas hi sahi

Kahin bhi raho
tum rahoge mere
Tumhare din
kabhi honge mere

Meri raaton may
kabhi rahoge tum
Meri sa-aton ko
haseen karoge tum

Mujh may simat jaayega
tumhara waqt
Zindgi ka rukh
badal jaayega eklakht

tumhari muskurahaton se
kah dungi mai
tumhari aankhon may
chupi rahungi mai

khwaab dekhte
haseen lagte ho tum
kabhi paas tumhare
na aaye koi ghum

meri khamoshi ko
tumhara intizaar hai
meri bebasi ko
tumhi se pyaar hai

tumhari dhadkanon may
ji lungi mai
is naye safar per
saath holungi mai

apna chola malgaja
utaar zindgi
Aaj apna kar
naya shingar zindgi

Chaand mere ghar
bas aane ko hai
mujh may zindgi
phir jagaane ko hai

Saturday, March 7, 2009

Meezaan

;mohabbat wahi rahe
jo be-imtiyaaz ho

Sab ke liye dilon may
wahi gudaaz ho
Meezaan-e-amal ka maalik
mokhtaar kul jahan
kyon mohabbaton ka tum
dhundte juwaaz ho
-->
Thama hai haath jub
chalna bhi saath hai
Humkhayal na saahi,
humqadam charasaaz ho
Ishq suna hai
nazar nazar ki baat hai
mumkin hai safar ka
tumhi se aaghaaz ho
Mohabbaton may anaa ka
guzar kahin nahi
Usey paas-e-khuda hai
tum aaina-saaz ho
Asaan nahi hai
raaz-e-ulfat ko samjhna
Vo banda-e-khuda
tum khuda ka raaz ho

Tuesday, March 3, 2009

Aadmi



sahaare dhundta hai jeene ke aadmi
admi se hi uns rakhta hai aadmi
ummid ki kiran banta hai aadmi
ek dusre ka darpan banta hai aadmi
gharz aadmi, aadmi ki pehchaan admi
admi ki jaan leta hai aadmi
admi ko jaan leta hai aadmi
kabhi khud-gharz ,kabhi be-gharz aadmi
kabhi shikayeton ka daftar hai aadmi
kabhi inaayeton ka samundar hai aadmi
saari kainaat ka manzar hai aadmi
khuda ki zaat ka safar hai aadmi....

Aaj phir khath tere naam likha



Aaj phir khath tere naam likha
Teri subah phir apne naam likhi
Apni shaam ko tera jaam likha
Teri yaad ko apna kalaam likha
Tere dar-o-baam ko salaam likha
teri khamoshi ko apna payaam likha
teri goyaii ko apna anjaam likha
tere darr ka daras sar-e-aam likha
teri nazar ko tauheed ka jaam likha
kisi ne kaaba kisi ne dhaam likha
mohabbat ko rangon ka ashdhaam likha
tune jub bhi likha gumnaam likha
apna derd lagta hai khaam likha

Chaand

Udaas kaali raaton may 
musafir ek tanha sa
aksar socha karta hai
is safar ka maqsad kya
in andheron ka matlab kya
mai kyon roshan hun
duniya kyon kaali hai
taare saare mere hain
phir bhi dil sawaali hai
ye vo dil hain shayed
jo aahen bharte hain
door se dekha karte hain
her hasrat may rehta hai
tashbihon may jeeta hai
her tanha dil ka
Dost ban jaata hai
kaun us se behter jaanega
in roshan roshan aankhon may
jhilmil karta paani hai
her dil ki ek kahaani hai
sab shab maanga karte hain
aur subah phir marte hain
vo maangen bhi tou kya maangen
jo derd se bhaage phirte hain
waqt ka pahiya kub rukta hai
is gardish se guzar kar hi
raaz ayaan ho sakta hai
chaand asmaan se roz
us waqt zameen per aata hai
jub bhi apna sa
kisi ko tanha paata hai
roshnion ka matlab
andheron se samjhaya jaata hai
jahan koi derd sunaii de
wahin raat bitata hai
haare bhatke musafir ko
apni raah dikhata hai
karam chaand ka moqadar hai
bas hukum baja laata hai
-->