Search This Blog

Thursday, July 25, 2013

ek khayal aksar khayalon may aa kar.......................




kabhi do ghadi muqabal huye tum
tou poochun mai tum say
is namkin paani ka akhir
tumko kaisa nasha hai
bair hai khaali ankhon say tumko
roz ek naya ghum thama dete ho inko 
darya burd karke hairan kyon ho
phir kinaare kinaare baithe muskura kar
poochte ho khamosh kyon ho
vo saghar jo khwabon may aakar
ek sehra ki anmit pyaas ko jaga kar
ankhon ko nazare ka mushda suna kar
ojhal hai kub say nazdeek aa kar
magar ehsaas ka her jharoka
maanus jhonkon ka aadi hai kub say
mehekta hai ek pal sisakta hai ek pal
ek khayal aksar khayalon may aa kar
kehta hai mujh say yehin per mila kar

Tuesday, July 2, 2013

Zindgi mai tou nibhaungi...................





Zindgi mai tou nibhaungi
koi saath de ya na de
mai tera suragh paaungi
hayaath gar maqsad na paayegi
phir mai ghar kaise jaaungi
ek zara tera hausla chahiye
warna perwaz say pehle thak jaaungi
meri bhatkanon may maujud hai wahi
inhi laghzishon may manzil paaungi
kisi roz hosh qayamat say na mila de
us say pehle mai tou doob jaaungi
maana khayaal ki umar daraaz hai
laikin mai kahaan wapas aaungi
zaad-e-safar abhi kuch na paas hai
ek dil hai vo yehin chod jaaungi
do ankhen sada meri nigraan hain
mai unki hi roshani kehlaaungi