Search This Blog

Tuesday, June 28, 2016

aaj shabnami ruton ki hogi phir salami......





aaj shabnami ruton ki hogi phir salaami
jub talak rahegi yaadon se hum-kalaami
tu ab talak deewane kyon na jaan paaya
mohabbat sar nahi hai,hai nari ghulaami

kabhi kaha tha usne,ye sar cheez kya hai
dekh apna dil jhuka ke, dil cheez kya hai
mamla faham tha,ek nigah se maar daala
jub dil hi nahi raha,dilkashi cheez kya hai

aaj tak  usi  raastey may dil ye  pada hai
umar ka ye darya kahaan aage badha hai
munjamid hisson ke aage wahi khada hai
jis ki nisbaton se silsila zeest ka juda hai

lafz  mere saare hojaate hain suneheri
jub bhi  khayaal may ubharta hai  meri
hai  gulabi subah sanwli shaam  ghaneri
khamoshiyon se faqat  baat hoti hai teri

ab chahe gale lagale ye duniya maar daale
uff tak na karenge beshak hum ko azma le
itna karam kar ek baar apne dar per bula le
de deed-o-dil ko ijazat pyaas apni bujha le

Sunday, June 26, 2016

hosh kar raha hai haqeeqat ki taraf ishaara.....................








jaane meri sochon ko kon kha gaya hai

kai dinon se dil hathon may aagaya hai

kyon ujad rahi hai dil ki haseen nagri

koii mujh ko mujh se door le gaya hai

qismat badal raha hai, jaise apna thikaana

haath ki lakeerein jo padhna sikha gaya hai

mai bhi to dekhun, saheb-e-kamaal tujh ko

tere qadmon taley mera dil jo agaya hai

khwabon ki jaanti hun manzil nahi hai koi

mere khayalon ko apne rang tou de gaya hai

hosh kar raha hai haqeeqat ki taraf ishaara

tera bechaara dil to apni maut mar gaya hai

Logon ko bahaanon ki zamaane se hai talaash

ek naqis-ul aqal, qudrat ko ilzaam de gaya hai

Saturday, June 11, 2016

najaane aisa kyon lagta hai..................




ek jalwa hai jo bikhra hai
ek jalwa abhi hai poshida
najane aisa kyon lagta hai
dil us jalwe ka hai shaida
ilham ho jaaye khamoshi
ek  nazar dil  kar le paida
sadion may shahid hota hai
jub ho mazhar-e-bargazeda
apna dil niyamat khana hai
gar aaina hai,hai uski ada
hiirs-o-hawa ek serhad hai
paar bulaata hai mera khuda
adhi adhuri khud ko na samajh
tujh se rahbar kub hai juda

Thursday, June 9, 2016

waqt phir le raha hai karwat..........................






waqt  phir le raha hai karwat
ya  angdaii  li hai zindagi nay
Dil ne ki thi barson tamanna
Kabhi hum bhi hon zindagi may
Soye moqadar humne bhi azmaye
Thokar si thokar,lagaii zindagi nay
Maan thi mohabbat,taajdaar dil they
Mehbub they sabhi kay zindagi may
choti si arzoo thi zindagi nibhayen
Yehi kaam Ho na paaya zindagi may
Log they sada pathron ke shanaasa
Saza dil lagaane ki paii zindagi  may
Mar hi jaate, sun ke un ki zubaani
Aap sa nahi hai apni zindagi may
Apne karam ko,tum kaash azmaate
Sauda be-naqd kiya na zindagi may
ungliyon ko apni Gawah bana kar
di shahadat kitnon ko zindagi may
Lag kar galey karo Farhat ka tajruba
Her lamha eed hoga phir zindagi may