Search This Blog

Sunday, February 20, 2011

Chaand Mera.........Daanish.....



Mera chaand hai kisi aur asmaan may
Andhera sa hai mere donon jahaan may
Na hai koi hulchal mere jism-o-jaan may
Ajab khamoshi hai is tanha makaan may
Rahe shaad mera gul apne gulsitaan may
Sada khuda rakhe tujhe apni amaan may
Ye rishta mehek utha hai teri zubaan may
Zikr tera jud gaya hai meri daastaan may
Lamha lamha tu mera hai her zamaan may
jaan Mai hamesha rahungi tere bayaan may
Mera hi lams paayega tu apni maan may
Mai tujh ko milungi tere baba ki jaan may

Saturday, February 12, 2011

zindgi na haath aaye tou..............


kahin naghma-e-hayaath hai
kahin ulti huii bisaath hai
zindgi na haath aaye tou
samjho zindgi ki maat hai
dilon ki na baat tum karo
zehnon ko apne bandh karo
qila ummid ka gira bhi do
ab kuch na tumhare haath hai
vud rahi hain dhajiyan yaqeen ki
etmaad jabaja hai bikhra hua
habib ban gaya raqeeb hai
koi na ab tumhaare saath hai
hasrathon ne chola badal liya
be basi apni manzil say ja mili
ansuon ka bojh bhi uter gaya
ab ye numi bhi khairaath hai
jo paas tha waqt ki nazar hua
qadmon say chuti kub ki zameen
ab is manzil ki koii raah hi nahi
ye apne apne moqadar ki baat hai

Shaadi Mubarak



In phuulon ki ladion may
Ye jo haseen chehra hai
Aji ye chaand hamara hai
Hum ne tumhare angan may
Aaj Bade pyar say utara hai
apni ummidon ke gulshan ka
Ye gul aaj say tumhaara hai
Ye rishta hai ulfat ka ulfat say
Ye rishta her rishte se pyara hai
is rishtey may poshida rehmat hai
ye moqadar khuda ka ishaara hai
Mubarak ye khushi tumko Abdullah
Salma Tumhari qismat ka sitara hai
Ye bidaii wahi rishtey le ke aai hai
tumne naye naamon say pukara hai
Dua hai her dil may tum ghar karlo
Ab unki ulfat hi ghar tumhaara hai

Monday, February 7, 2011

mai tujhe na paa sakun tou kya


mai tujhe na paa sakun tou kya
teri dastaras may magar hun mai
tu dikhaaye tewar duniya ko aur
tere afaal say ba-khabar hun mai
haan maine kabhi tujhe suna nahi
faqat tere ehsas ka safar hun mai
jisey ek nazar may tune padh liya
wahi daastaan mokhtasar hun mai

samjhata raha zindagi jo umr bhar
us shah Nawaaz ki meher hun mai

Thursday, February 3, 2011

Deewane ka khwaab


ek saudagar tha khwabon ka
vo dhunda karta tha aankhen
dekha jub deewane ka khwab
vo bhul gaya apni saari baaten
lamha bhar hi raha roshan jugnu
phir wahi andhera wahi raaten
taqdeer badalne ka kar ke wada
le gaya un say un ki saughaaten
kal jo bunnd ko tarsa karti theen
aaj wahaan hain kitni barsaaten
ye lafzon ki tejarat karne waale
kya samjhenge waqt ki ghaaten