Search This Blog

Wednesday, December 28, 2011

ye kaisi agahi hai.......








ajab be basi hai

kahin koi khayaal hi nahi hai

ye kaisi agahi hai

dawa derd ban gaii hai

zindgi khamosh tak rahi hai

ye duniya naii naii hai

vo shaad kal kho gaya hai

aaj her aankh may numi hai

Tu khud say bichad gaii hai

waqt per say guzar gaii hai

koi nabz ashna gar mila bhi

munkir gardish hogaii hai

be-hissi riwaj ban gaii hai

khudsari aam hogaii hai

koi dastak chaunka tou de inhen

zindgi ummid per tamam hogai hai

Wednesday, December 21, 2011

hai gar ishq khata ka pehalu




hai gar ishq khata ka pehalu
tere pehalu ki zarurat kya hai
maana ke aur bhi ghum hain
phir derd-e-mohabbat kya hai
hain ek zeest ke jhagde kitne
aye dil ek aur musibat kya hai
lutne waaley ne kahan ye dekha
akhir in halaath ki surat kya hai
tere mana ke hain lakhon chehre
bata is chehre ki muddat kya hai
waqt tere andaaz bade hain qatil
akhir ek shaam ki qeemat kya hai

Wednesday, December 7, 2011

patharon tale bhi milte hain dil.................





mai abhi talak hun nind main
koi mere hosh ki dawa tou ho
mujhe jagaye koi khumar say
mera nasha kabhi hawa tou ho
ye zarb kaari mujh say kahey
kabhi ghum-e-dil sawa tou ho
patharon tale bhi milte hain dil
koii taalib-e-humnawa tou ho
teher ek aur ilzaam le apne sar
ishq ka ye chalan rawa tou ho

Monday, December 5, 2011

iztaraar



namaaz ho tou bilaal ki
ishq ho tou bilaal ka
jahan aai dil say sada
haq mebhub ka ada hua
koi dhundta hai simt waqt
kahin chahiye jaa-e-namaaz
iztarar ki yehi ek dawa
her waqt ba-haq khuda
ishq ka koi paikar nahi
ishq saraapa jamaal hai
kamaal khud ho sarba sajood
vo rang hai bilaal ka
ishq muntaqal hua ishq say
hum-ahang hogaye rahbar
araam paagayeen saubaten
bilaal hogaye ishq-e-khuda
rang nasal ki haqeeqat yehi
khuda say  admi juda nahi 
wahi hai uska martaba
ishq adam ishq hai khuda

Thursday, December 1, 2011

Soch









soch ke taanon baanon may
uljha uljha sa ek rishta hai
kabhi khayalon ki galiyon may
kabhi gumsum si dhadkan may
aksar doobte mayus jazbon may
chupke say aakar mil jaata hai
thamti nabz ko thaam ke aksar
kehta hai tu jism mahaz hai
mai tere lahu ki gardish hun
tera ishq agar ibaadat hai
tere ishq ki mai parastish hun

Monday, November 28, 2011

chalo aaj hum tum.....





chalo aaj baatten hum tum  bahaaren
in khizaon ko pal bhar ko bhul jaayen
lakiron ko haathon say aao mitaayen
aaj pishaani pe apni tera dil sajaayen
chalo aaj asmaan say sitaare tod laayen
gar chaand ka chehra na dekh paayen
badalon ke sang koi geet gungunaayen
phir bundon say koi naghma churaayen
apni yaadon ko humsaaz aao banaayen
ek naye rang may khud ko  rangaayen

Saturday, November 26, 2011

Meri Maa


haan maa tu ne hi mujhe haan
kaanton pe chalna sikhaya tha
uljhi huii duniya may sulajhne ka
hausla tujh say hi tou paaya tha
teri ek ungli ka sahaara le kar
thokron say khud ko bachaya tha
aye maa ,teri kasoti ban kar
maine tujhe  kitna sataya tha
umr hawadis halaath ke tufan say
tere anchal ne mujh ko bachaya tha
tu mujhe ek pal ko nahi bhuli
meri khatir khud ko bhulaya tha
aaj maa daman hai tera khaali
tera gulshan hi tera sarmaya tha
udd gaye hathon say tere tottey
jinhen tune udna sikhaaya tha
aaj un aankhon may hain ansu
jinhon ne kabhi tujh ko rulaya tha
dekh kya marzi hai mere rab ki
kahan tujh say mujh ko milaya tha
barson baad tere gale say lag kar
Maa jaane kya kya yaad aaya tha

Monday, November 21, 2011

khair ho teri azmaton ki......




Aag dil may laga kar

tune mujhe bujha diya

mujhe khaak say utha kar

tune khaakh may mila diya

chin kar ekhtiyaar saarey

tune dast aage badha diya

khair ho teri azmaton ki

tu ne maangna sikha diya

teri nazar hai mera daman

tune asmaan dikha diya

hairaan mera junun hai

tune raasta mita diya

nalaan hain tohmaten bhi

tune apna hona jata diya

Friday, November 18, 2011

is doobti kashti ko.....




soye huye logon ko
ab tou jaga de yarab
is doobti kashti ko
paar laga de yarab
hain behaal tere bande
ab na saza de yarab
kub maqbul dua hogi
itna bata de yarab

Wednesday, November 16, 2011

ek saath ahad ka hai......



tere mere darmyan
ek rishta hai irfan ka
ye nazar na ho jaaye
phir kisi tufaan ka
taqdeer tanha nahi milti
qisten hain sherton ki
ek saath ahad ka hai
duja ahad shaitan ka
koi laakh jatan karle
isey rok nahi paaya
ye khel hain qudrat ke
kaam nahi insaan ka
aye gosha-e-jigar tujh ko
palkon may chupa rakhte
kabhi rukhsat nahi karte
ghar jaana hi behter hai
aaye huye mehmaan ka
nahi tujh sa koi jauhar
koii laal nahi tujh sa
tu anmol khazeena hai
hissa hai meri jaan ka

Tuesday, November 15, 2011

ye raastey......














chale jaa rahe hain meelon raastey

koi thakan nahi hai in ke waastey
kahin shauq sherma ke hogaya shafaq
kahin asmaan jhuk gaya inke waastey
yehi hain duniya tere tamaash-been
tamaasha roz naya hai inke waastey
bo gaya koi diljala,in may apni kasak
chaun de rahi hai wahi inke waastey
koii khush ada sunaata gaya khuda 
samaa wahin teher gaya inke waastey
daastan hijraton ki in per hogai raqam
hua her ashk mohtaram inke waastey
teri aahaton ke kub say hain muntazar
mosam-e-gul hai teri amad inke waaste

Friday, November 11, 2011

vo awaaz de na khayaal ko..




vo awaaz de na khayaal ko
haqeeqaton ka jisey shaoor ho
usey gharz kya jahan ki bheed say
jo asmaanon may mashoor ho
tu pukaarta hai jisey hai yehin
vo koi bharam nahi ke door ho
mohabbat hai ek khamosh ada
zaruri nahi ke waan shore ho
tu jaanta hai,nahi pehechanta
Aaina ban,ke usey ghurur ho

Thursday, November 10, 2011

khayaal hain ke maye-kada




khayal hai ke maye-kada
her su baras gaya nasha
mere hosh ki na kar dawa
mera haal janta hai khuda
hai us ke karam ki intiha
marz khud ban gaya dua

Friday, November 4, 2011

suno mujhe zara ghaur say...............



suno mujhe zara ghaur say
ye khamoshi tumhara hi aks hai
kahin ye kisi ko na ched de
kewaad dilon ke na bhed de
umr bhar ki boii huii
in faslon ko na ujaad de
her-dli-azeezi ka ye hunar
janaan tumhaari hai ek nazar
phir wahi jaam dedo mujhe
wahi ek nigaah-e-jalaal ka
usi mast rang gulaal ka
ek khwaab ulfat-e-bilaal ka
wahi saath sayeda ki aal ka
ho na ho ye khamoshi
koi naya mod laayegi
ye band derwaaza khulega jub
ajab tamaasha dikhaayegi
her shor guunj ban jaayega
koii aur na sun paayega
tum jaante ho ahal-e-dil
ye saleeqa aate aate aayega
her ghadi naya elaan hai
yehi dil dushmanon ki jaan hai
jahaan chah ko raah na mile
wahi roghbat-e-shaitaan hai

Friday, October 28, 2011

ye mosam teher kyon nahi jaata.....




in sunnaton say sadiyon ka
umr ki in kadion say hai koi
jaise uljha hua koi rishta
aakhir bikhar kyon nahi jaata
ye perda gir kyon nahi jaata
ye mosam teher kyon nahi jaata
ye sauda uter kyon nahi jaata
un kaali siyaah aankhon ka
seher guzar kyon nahi jaata
koi sach khud bol uth-ta hai
koi aahaton may roz milta hai
aksar raaton may neendon say
koii saaya aa aa ke kehta hai
mai jaagun aur rooh sojaaye
lamha vasal ka na kho jaaye
kya kahin yon bhi hota hai
ye wahi mode hai wahi manzar
ye door aankhon say nahi jaata
ye gul mehkta hai nahi khilta
ye kisi mosam say nahi jaata

Thursday, October 20, 2011

ek hans khayaalon may aksar.....




ek hans khayaalon may aksar
us say baaten karta tha aa kar
khwab uske roz siya karta tha
apne saarey paivand chupa kar
dhal gaya us ke her rishte may
qiston may rishtey samjha kar
gulcheen say bacha tou leta vo
kahan khush hota usko paa kar
behter derd say darmaan hojana
diwana mar jaaye na ghabra kar
raaz ulfat ka jis ko samjhna ho
dekhe veeraanon may jaa kar

Tuesday, October 18, 2011

khamoshi say uski humen pyaar hai bahut..........



khamoshi say uski humen pyaar hai bahut
ek khamoshi ka vo bhi talabgaar hai bahut
us ki fursaton may shaamil nahi hain hum
halaanke usko mulaqat ka israar hai bahut
her baar mila hai vo naqabon ki bheed may
us ki ulfat ka nigahon say izhaar hai bahut
koi derd jub mila dil us ka hum say aa mila
us ki isi nibaah ka ye dil parstaar hai bahut

Sunday, October 16, 2011

Ye azaab hosh ke badey natwaan hain....





ye azaab hosh ke badey natawaan hain
abhi talak kyon ye khamoshiyaan hain
hadd sabar-o-qaraar ki kahin nahi hai
ye nafs ki an-suni lun-taraniyaan hain
samaa-aten bhi apni kho chuka hai aaj
kisey kahen ye kal ki sunwaiyaan hain
ummid ki dagar per qaafila rawaan hai
phir kyon musafer ye mayusiyaan hain
ye daras tamaam ghaafil tere liye hain
ek wahi sach hai sab kahaaniyaan hain

Thursday, October 13, 2011

Ajab khusbu hai Mohabbat ye....




log kehtey hain
saraab hai ye dhoka hai
magar mai ye kehti hun
ye khud ko paane ka mauqa hai
shab-e-ghum ka ye shabnami ansu
ye veeraan dilon ki hai khushbu
ye hai tanha sulagta angaara
ye siyaah raaton ka lashkaara
khamoshi may jaise koi sargoshi
rooh may uter jaaye ek suii si
ye dil waalon ka mazhab hai
ye deewanon ka mansab hai
kya kahin koii dil sawaali hai
kya kahin koii daman khaali hai
jis dil may ye samaa jaaye
vo dil her dil ko mehkaaye
mohabbat kya kya na samjhaaye
mehbub ke sang meraaj tak paaye

Monday, October 10, 2011

Her derd gawaara hai laikin...





her derd gawaara hai laikin
koii aur fasana tum dhundo
her zakhm sitaara hai laikin
koii aur bahana tum dhundo
ab yehaan jeena mushkil hai
koii aur zamana tum dhundo
chund saansen hain bas apni
koi aur thikaana tum dhundo
uff khel ye zaalim le doobega
koii aur deewana tum dhundo
koii ghadi khaali nahi tum say
koii aur veeraana tum dhundo

Monday, October 3, 2011

Bas ek baar pukaara hai usne.....................


sau baar ujaada hai khud ko
sau baar sawaara hai usne
usko naaz hai apne hone ka
yon mujh ko nihaara hai usne
bantey bigadtey is paikar ko
her baar nikhaara hai usne
kyon duaam nahi us lamhe ko
bas ek baar pukaara hai usne
ek shaam ki thi teri hasrath
saara jeevan guzara hai usne
kya shor hai aye deewane dil
dekh khud ko maara hai usne
ye male hai sirf roohon ka
jismon ko nakaara hai usne

Wednesday, September 28, 2011

Phir ek subah aai hai.....




Phir ek subah aai hai.....
ek soch naii le kar.....
ek naya ujaala laai hai
phir koii shaam chupke say...
kaii ghum puraane sang le kar...
apna aaj sajaane aai hai....
ek baat puraani yaad aai hai....
kya kal koii chal tha...
ya waqi may apna koii kal tha...
ya ye aaj usi ki parchaii hai...
kaash koii baat naii hoti isme...
is kaash ko maut kahaan aai hai....
ye khalyan bin paani ke
shaadaab bhala kaisey hotey
hosh udane waali ye bijli
dekh kitni barsaaten laai hai
jub bhi luta dil qiston may
her baar ek rishta chuta hai
kya mole hai in rishton ka
samjho tou derd khudaii hai
yarab ek mohabbat hi teri
kub say hai dua meri
her subah ye kehti aai hai.....

Tuesday, September 27, 2011

kisey ye patta tha


kisey ye patta tha
ekdin tum ye kahogey
is neem jaan zindgi ki
tum saans saans logey
kabhi ye gumaan thi
aaj meri shaan hai
meri be-naam zindgi may
jub say tu mehmaan hai
haan ek umr cut gaii hai
hasrathon may mit gaii hai
per jub say tum mile ho
ye tum pe lut gaii hai
koii daagh dekhta hai
koii derd maangta hai
tera mera ye rishta
khuda ka waasta hai

Friday, September 23, 2011

Roz liye koii rupehla khwaab..........




roz liye koii rupehla khwaab
mujh say milne aati hai
roz dikha kar koii khwaab
kahin door chali jaati hai
aakhir ye aankh micholi kyon
kya mujh ko dikhana chahti hai
kal pareshaan tha so tha
aaj say kya kehna chahti hai
insaan hona itna asaan nahi
zindgi yehi samjhaati hai
waqt ke haathon ye pichkaari
kitne rang, rang jaati hai
haqeeqat kub adhuri hoti hai
ye khud may simat aati hai
bas ek saa-at teri zarurat hai
zindgi jub pehchaani jaati hai
maghlub kahaan ghaalib hongey
baat pattey ki ye bataati hai
sau khataayen karke muaf
tujh ko galey lagaati hai
ke ye niyaamat rab ki hai
ye roz rab say hi milaati hai

Saturday, August 20, 2011

Aaj jaana Hai......

Wajah khushi ki jisey samjhe they hum
wahi bana hai wajah-e-andoh ghum
saza khahishon ki na dey yon mujhey
Sawaal aur koii na kar baithen hum
meri khamoshi pe na jaa humnawa
goyaii nahi hai kisi qayamat say kum
ye munjamid zakham ab chattan hain
in say yon takra ke sar dekho na tum
jis say jaan-o-dil ka humne sauda kiya
tha gawaara usi ka sitam dar sitam
razajoii ki talab dekh le doobi humen
aaj bhi sar jhukaye baithey hain hum
dhunda kiye duniya ki bheed may
ek dil ke siwa they her su sanam
her shab ka waada hai naii ek subah
vo subah kabhi tou paayenge hum

Sunday, May 22, 2011

phir safar ka moqam hai.....


phir safar ka moqam hai
phir arzu lub-e-baam hai
kai samandar hain raah may
aur manzil meri do gaam hai
ye fitna-parwar duniya kahey
hamaare haath teri lagaam hai
muskura raha hai mera hausla
ye talwaar dekh be-niyaam hai
andheron may ek buund noor ki
uske jalwon ka hi ye kaam hai
jub say khud may dekha khuda
ab mushkilon may bhi araam hai

Tuesday, May 17, 2011

Ye Surkh Gulaab


shaakh ne li chupke say siski
ek bundd lahu ki jub tapki
chehre pe tamazat khaar ke thi
kali kali surkh gulaab huii
yehi vo rasam-e-ulfat hai
jo derperda nibhaii jaati hai
jub phulon pe jawaani aati hai
tab kahin khaar janam lete hain
saath hai in ka choli daman sa
yeh masum mujahid kehlaate hain

Tuesday, May 10, 2011

ek gumraah say apni...............


Meri jaan mujh say meri jaan maangta hai

jo rondh gaya khud hi vo aan maangta hai

mujh ko bulaata hai phir rooh ke safar per

ek gumraah say apni pehchaan maangta hai

mohabbaton ka azal say yehi ek silsila hai

jo waar day khudi ko vo insaan maangta hai

her su hai aaj bhi wahi zameen hukumaton ki

her rishta mujh say mera imaan maangta hai

tuu jaanta hai meri shomi-e-taqdeer ki duhaii

tuu mujh say mera wahid armaan maangta hai

jub lag gaii hai baazi darne say kya hai haasil

kyon khauf laghzishon ka paimaan maangta hai

teri hansi keh rahi hai qareeb manzil meri hai

ab ye safar na koi saaz-o-samaan mangta hai

Monday, April 25, 2011

tera mujh say ye kaisa naata hai



jub kahin koi chot sunaii deti hai
kyon tu dil may gunja karta hai
jub kahin koi derd sunaii deta hai
tu itna yaad mujhe kyon aata hai
meri dore bandhi hai kyon tujh say
tera mujh say ye kaisa naata hai
zaahir hota hai perda baatin ka
Ye rab sab ko nahi samjhata hai
her pal teri mehefil may dil hai
her pal dil tujhe sang paata hai

Sunday, April 24, 2011

ye sakut shore may chupa hua....


ye sakut shore may chupa hua
raah-e-abad ka wahi nishaan hai
jisey bhul kar hum badhtey rahe
ye wahi apna purana makaan hai
koi humzaad rahnuma tha kal
aaj khatrey may usi ki jaan hai
jo waqt ki bhent chad gaya
wahi aaj zindgi ka samaan hai
soch le tu chalaane say peshter
kahin aur bhi teer kamaan hai
ye saudagiri tere bas ki nahi
ab gali gali yehi dukaan hai
madhosh masrur hai zar parast
nasha koi dam ka mehmaan hai
gar aankh say tapak gaya kahin
qatra qatra teri pehchaan hai

Tuesday, March 22, 2011

Ye Mera Junun................


Jo nazar aaraha hai usey
kyon na dekhta hai dil
khaana jo nihaan nahi
vo kyon dekhta hai dil
ajab hain apni mushkilen
ajab hai apna haal-e-dil
ek seher-zada zehan sa
pur sukun hogaya hai dil
Suprud-e-khuda kar ke tujhe
khudaii dekhna chahta hai dil
jisey kabhi dekha hi nahi
wahin khuda dhundta hai dil
aye imaan tujhe rab ki qasam
jalaaye rakh ye charagh-e-dil
mai sadqa teri rehmaton ka hun
tera hi faiz hai ye mataa-e-dil
mera junun hi pukaar hai meri
tera aasra pal pal chahta hai dil

Friday, March 18, 2011

Aaj jaani hai maine khushi....


Aaj jaani hai mai ne khushi
Aaj paii hai mai ne khushi
Aaj tujhe khush dekh kar
Aaj samjhi hai maine khushi
Aaj tak tarsti rahi hun jisey
Aaj tujh may mili hai mujhe
tere roshan chehre ki qasam
Aaj phir maine paaya hai tujhe
meri Jaan ,hai tu junnat meri
tu her dam rahi hai meri khushi
yaad hai teri vo paheli nazar
wahi pal tha meri asli khushi
maang kar maine paaya hai tujhe
tu hone chali hai kisi aur ki khushi
dono jahaan may ho tu surkhuru
mile sab ko tere dam say khushi
zindgi ka ye purana dastoor hai
kahin bhi rahe,tu rahegi meri khushi

Sunday, March 13, 2011

Ek din aur dooba hai.......


ek din aur dooba hai
ek suraj phir niklega

kahin shaam koi dhal jaayegi
kahin raat koi saj jaayegi
takti aankhon ki ummidon ka
koii diya roshan kar aayega

dekh kaatib bar waqt koi
karam kisi per kar jaayega
ek maasoom ki aahon say
ye aalam dahal na jaaye
kahin koi siski chupke say
tere darr say na aa takraaye
kaanp uthega zarra zarra ye
jub taqadus pe koii aanch aaye
us waqt say dar aye zaalim waqt
jub khuda ki tujh say than jaaye
behter hai rok le khud ko tuu
shaayed baat kisi ki ban jaaye
chod de apni ye khayaali sardari
koii taqdeer say na lad paaye

jis ka jitna moqadar hai
utna hi uske haath aaye