Search This Blog

Tuesday, May 31, 2016

hai teri yaad se roz guftagu.......................




gar adat hun mai teri khayaal 
meri ibadat may rehta hai  tu
hai teri yaad se roz  guftagu
meri ankahi dastaan kehta hai tu
ye lafz mere teri hi khairaat hain
in may jaan ki tarha rehta hai tu
rab ki tarha derd mehbub hain tujhe
her aah per lubbaik kehta hai tu
dekh duniya nafs ki hai pul-sirat
raah apni gumraah ko deta hai tu
teri sohbat rangon ka ashdhaam hai
ek be-rang ko humrang karta hai tu

Tuesday, May 24, 2016

darya-e-waqt ka nasha hai......................






mai tak rahi hun kab se
zindagi kahin tou badhey bhi
kashti tayyar bhi khadi hai
 patwar bhi hai ghadey bhi
darya-e-waqt ka nasha hai
kabhi maujon pe chadey bhi
asan nahi hai hawaon se milna
koii zor-azma insey ladey bhi
baadlon ki roz kar ke sawari
pehene chaand ke kadey bhi
phulon ki kyarion se chura kar
khayaal ne zewar ghadey bhi
shinghar kahan ho paaya insey
humne laakh moti inme jadey bhi
husn tou ankhon may teri hai
noor karde khadey khadey bhi

Wednesday, May 18, 2016

ek dhadkan hai inka intizaar ............................







Ye sher hain takhayul ka  mizaaj
Ye shayeri hai jazbon ka gudaaz
naam-o-namud hai jin ki justaju
 honge khayaal vo kaise sarfraaz

-----------------------------------------------------

tifl-e-maktab huii hai arzoo
dil hai chalakne ko beqaraar
zindagi ab wabaal-e-jaan hai
deewaar duniya ke karobaar
ankhein pyaasi hain deed ki
tere jalwe se hongi ashkbaar
zehn-o-dil bhi khamosh hain
ek dhadkan hai inka intizaar 
khayaal ab behela na sakenge
hum hain faqat tere talabgaar