Search This Blog

Wednesday, October 28, 2015

her tehra hua mosam....................




waqt ke haathon 
insan shikar hota hai
her tehra hua mosam
aakhir guzar hi jaata hai
sadiyon ka shor bhi ekdin'
sunnaton may dhal hi jaata hai
jawan her khwab bhi ek shab
ahista ahista so hi jaata hai
gosht post ki saikdon sadaon ka
dalilon say gala ghuut hi jaata hai
husn ki haqeeqat say ghabra kar
khud say tak nazar churata hai
maaya si kaaya ka jaal phaila kar
khud apni haqeeqat bhul jaata hai
is jahaan ko phir zindgani hai
insan ek baar hi may chuut jaata hai
raah pehchan ki nahi hai pecheeda
khud say guzar kar hi khuda haath aata hai

Tuesday, October 20, 2015

Sehera sairab bhi hai aur pyasa hai.......




aye  dil  tera shikwa kuch aisa hai
sehera sairab bhi hai aur pyasa hai
ye sairaabi teri fitrat ka paansa hai
pyaas  mutlashi rooh ka khaasa hai
ghum na kar ke  tahi-daman hai tu
ayesh-koshi  mahaz ek jhaansa hai
qeemat  maangne waale bhul gaye
un ki  hasti ka ye mole zara  sa hai
bashar, duniya rab ki nawazish hai
samjho to khazana warna kaasa hai
sadion say qufas ka aadi insaan hai
soch,teri soch pe ye pehra kaisa hai

Thursday, October 15, 2015

Loag mohabbat karlenge....


Loag mohabbat kar lenge
Dum wafa  ka  bhar lenge
dastur yehi hai  jazbon ka
her derd gawara kar lenge
kya kaam dil  ka duniya se
tere dil pe guzara karlenge
ye  umr ki konsi  manzil hai
is ghum say kinara karlenge
Kabhi hosh ko tu awaz to de
Teri sada ko Sahara karlenge
Jub dhundegi tujh ko nazar
Hersu tera nazaara kar lenge
Ye daur khwab hai tilsim hai
ye pal pal hamaara karlenge
mehbub nahi kuch tere siwa
bas mehbub hamara karlenge

Wednesday, October 7, 2015

tum kehte ho mai likhti hun.....................................




tum kehte ho mai likhti hun
mai likhti hun tum kehte ho
khizan-rasida khayalon may
phir ek naya rang bharti hun
apni beeti kahan is qabil hai
mai tarikh tumhari likhti hun
loug kahenge mai paagal hun
manzoor ye tohmat kehti hun
tere jalwey tou ek perda hain
tere dil ki hi baatein karti hun
kitne rang hain is pathjhad ke
ek tera rang dhunda karti hun
be-hissi had jub toda karti hai
tere khayaal bulaaya karti hun
log faramosh mujh ko kar denge
teri mehefil may tou rehti hun