Search This Blog

Friday, March 15, 2024

Sukun



jis ko dhunda tu ne gali gali 
vo tou azal se tujh may hi tha
efa   ka waada tu tou bhul gaya
magar ahad rag-e-jaan may hi  tha
farar la-haasil   aye fareb-e-nazar
huma waaqt tu  uski nazar may tha
teri fitrat ne daawey tou bade kiye
magar kamal  iblis   ke jhaansey may tha
ghulba-e-nafs ne chin liya  tujhe,tujh se 
khalifa-e-waqt per ye  waqt aana hi   tha
ye daud teri tujh se tera sab le legi
sukun dil ka dil may uske hone se tha

is insaanon ke jungal may...

 


is insaanon ke jungal may

naam hai hum deewanon ka 

hosh ki baatein sab karte hain

magar saath hai paimanon ka

ye daur hisson ko le dooba hai

yehan shor hai mayekhanon ka

laakh samjhaya rab ki hikmat nay

magar hai haal wahi uchakte shaanon ka

ghafil agah hai aane waale kal say 

aadi hai pal do pal ke latafath khanon ka

ye duniya husn o ishq may ghalthan hai

ye mahaz pesh khima hai tufanon ka

rab ne kasar takhlikh may koi na rakhi

insan khud dushman hai apni jaanon ka

chund roza ayeshparasti ne haq faramosh kiya

warna adam bashinda tha azal se asmaanon ka