Search This Blog

Tuesday, August 25, 2009

Ye Dhundleke............



Ye dhundleke aaj ache lageyItalic
Ye rang acha hua dekha nahi
Yaad kaun us pal ko karey
Jis pal nay humko chaha nahi

Aye Zamaan Tu Vo Nahi


Aye hawa tu hai wahi
Aye fiza mai hun wahi
Aye zamaan tu vo nahi
Kal tu shajar saayadar tha
Kal tu mosam-e-pur bahar tha
Kal tera haseen karobar tha
Aaj bhi hai wahi zameen
Aaj bhi hai wahi asmaan
Haan vo dhundta hai mujhe
Mai kahan hun in ke darmyaan
Kal talak jis hasti ka maan tha
Kal talak jo jazba meri jaan tha
Aaj ki in surkhiyon ka elaan tha
Aaj ki tarha kal bhi mehmaan tha
Waqt her lamhe ki pehchaan tha

Sunday, August 23, 2009

Phir Ramzan Aaya Hai


Phir Ramzan aaya hai
Ek naya armaan laaya hai
Kal talak jo na ban paaya
Vo kaamil imaan laaya hai

Zara socho waqt ye aakhir
Baar baar bedaar karta hai
Kyon Soii qismat jagaane ko
naya daras tayaar karta hai

tumhen ho na ho bando
khuda ko tumse mohabbat hai
tum per karam jub jub ho
usi mohabbat ki badaulat hai

hai ye kaisi madhoshi
ye nasha duniya ka kya hai
tum jaante ho deewano
mohabbat khud ek nasha hai

aao mohabbat ki hi khaatir
mohabbat ka sajda ada hojaaye
is maah rab ki qurbaton ka
her deewana maza paaye

wahi raasta hai ibaadat hai
manzil wahi pehlu-e-qudrat hai
soch ka ek lamha ghanimat hai
khuda ke siwa kya haqeeqat hai

dil bandha sada rishton may
insaan butta sada qiston may
khaas tha adam farishton may
insaan samjha na nishton may

mai ne dekhi hai raah junnat ki
kiaise milti hai manzuri minnat ki
mohabbat ke maaron se mohabbat ki
khuda ne qaayem unki khatir junnat ki

aao hum apni duniya saja daalen
apne amal ko junnat bana daalen
ek ba-mohabbat zindgi ki bina daalen
aao her daagh dil ka mitaa daalen

Monday, August 10, 2009

Ya-rab ye kaunsi manzil hai


Ya-rab ye kaunsi manzil hai
Khayaal kahin,kahin dil hai
Ek shehar, jo kabhi apna tha
Ab yaadon may shaamil hai
Koi zameen kahan chunta hai
bas hasti ka apni qaayel hai
Khwab hosh ke dushman hain
Khird phir bhi unper maayel hai
Kya farq emaarat aur be-dar ka
Terey aage her koii saayel hai
Mumtaaz jo insaan ko karti hai
vo shaye kuch aur nahi dil hai
chund lamhe jo haath aaye hain
yehi samjho tou mataa-e-kul hai
ek aansu jo kisi ka chun lo tum
barzaq per bhaari vo jhilmil hai
her aankh ummid ka markaz hai
ek qadam ki doori per saahil hai
her honi ka waqt muayeen hai
chaand phir kyon tu be-kal hai

Sunday, August 9, 2009

Na koi sawaal tum karo



Na koi sawaal tum karo
Ke jawaab ki ho mujhe justaju
Tumhari shukhion se kaho
Meri khamoshi meri aabru
Sadion ka zabt tod kar
Meri tanhaion ko mod kar
Ek Talluq naya jod kar
Chaldiye tum bhi chod kar
Dil ko yehi zid rahi
Ke tum sa koii nahi
duniya laakh kehti rahi
ke tum tum hi nahi
tumhare safar ka samaan huii
mai ek puul hi rahi
musafir aaya aur guzar gaya
puul kub safar kar saka
kahin ek khayaal khaam tha
kahin ek adhuri shaam thi
kahin ek nooha aam tha
tumhari be-rukhi ki qasam
kahaan bhule hain hum
phuul aur mahak tum le gaye
khaar seeney may liye phirtey hain hum
aankhon ko aaj bhi
jaane kis jalwe ka intizaar hai
jo manzar aam tha
fareb-e-nazar ka khumaar hai
haqeeqat kahti hai mai aur hun
saamne saraab hai aur mai door hun
imaan kehta hai baa-khuda
mai usi ke dam se mashoor hun

Monday, August 3, 2009

Teri surmaii aankhen kehti hain




khushian tujh may rehti hain
tera bholapan ek jaadu hai
vasal ki ghadiyaan kehti hain
teri saadgi ka ye aalam hai
jaise koii shaam jaam huii jaati hai
teri guftaar ki nermi kya kahiye
jaise koii naat sunaii deti hai
sartaapa karam ka paikar tu
qaabil-e-karam karde milkar tu
teri sohbat ka ye jaadu hai
apna ab dil per qaabu hai
derd derd may tu rehta hai
ghum mera, tera kehta hai
shaam-o-sawere tere paharey
kisi mod per ab dil na teherey
jub tanhaii had se badh jaati hai
chupke se teri khushbu aati hai
andhera jub gehera hojtata hai
teri yaad roshan ho jaati hai
ab meelon meelon sunnatta hai
laikin teri awaaz mujh tak aati hai

Sunday, August 2, 2009

Sehemi sehemi shaamen hain


sehemi sehemi shaamen hain
kaise ujde ujde din hain
pathjhad ke mosam hain
gulshan ke apne ghum hain
wahi din saal sadiyan hain
sawaal karti nadiyaan hain
sehra sehra behti hain
najaane kya kehti hain
kinaaron ka muh taktey
khamosh saahil darya hain
pedon ki ujdi shaakhen jaise
beghar panchi ka girya hain
badal bhi chup rehte hain
derd Saba ke sehte hain
Duniya ek fasaana hai
manzar saarey kehte hain

Her taraf khubsurat


Her taraf khubsurat
Mili roz ek junnat
Zindgi kehti rahi hai
mai hun khubsurat
Phir ye aag si
Kahaan lagi hai
Ye rooh aaj tak
Kyon sulag rahi hai
iradon ka endhan
wafaon ka bandhan
Kahaan liye jaraha hai
Nazar kuch nahi aa-raha hai
Ek-tarfa nibaah hai
Dusri ore mera khuda hai
Darmyan mohabbaton ke
Saayon sa faasla hai
Hum na milenge
Taqdeer ka faisla hai
Ek jism hai haqeeqat
Dooja gumaan khubsurat
Magar ye dil sa kya hai
kyon ye judda hai
jaise kaanton may lipte
kisi phuul ki sada hai
yehi meri panaah hai
yehin mera khuda hai