Search This Blog

Tuesday, May 28, 2019

teri yaad ka mosam...................................




lay phir agaya hai 
ek naya rang le kar
teri yaad ka mosam
mere saakt zehen-o-dil ko
hosh may laata hua paiham
mujh se duniya naraz ho to ho
sifak tha teri khamushi ka mosam
meri soch ke parr,justaju teri thi 
magar ek si apni perwaz thi baham
guzri hui sadiyon ne poocha hai
tha shab-o-roz may kahin hamara ghum
chalo safeer tum bhi,safeer hum bhi hain
aas manzil ki jub talak,mila karenge hum
zindagi sab se giran hai,tanhai ka mosam
tera hona kisi niyamat se nahi hai kum

Wednesday, May 22, 2019

Mai Adam.......




teri khuld se nikal kar
tere jahan se mil kar
kya kya na haath aaya
mere dono jahan ke malik
tujhe kahan kahan na maine paaya
tere hijir ka ghum keh raha hai
mai kabhi tujh se,juda ho hi na paaya
ye husn ye nazare,sab mere liye bane hain
sab se haseen tune mujhe banaya
teri ek nigah paa kar kya kya na maine paaya
duniya saza nahi hai ye raaz samajh may aaya
adam azal se junnati hai,duniya mahaz safar hai
do-jahan ke badshah ne yehi hai samjhaya
daman tahi na rakhna,wapasi ki raah takna
junnat ke baam-o-darr se paigham yehi hai aaya
khuda gawah hai,adam ka ek hi muddua hai
tere siwa dil ne qarar kahin na paaya
ye dore tujh se mere khalikh,yon bandhi hai
koi iblis,koi shaitan isko na tod paaya
jawab hun mai teri her kashmakash ka
mere hone ne malik ,tera hona samjhaya
haasil-e-safar yehi hai awal-o-akhir wahi hai
sidrat-ul-muntaha se tahat-us-sara tak tera hai saaya 

Monday, May 13, 2019

nazar-e-karam ka hai ye nazrana......


ek sanglakh chatan sa lagta hai
kabhi barf ka koi todda sa
kabhi pal may pighalta perwana
kabhi aanch dekar khud jal jaana
ankhon may ghazab ka alam hai
kitnon ka basera hai ye veeraana
per kahin aur rehta hai deewana
teri be-rukhi may bhi helawat hai
is chup se behter hai usko paa jana
ek sunnata rooh may hai utera
ya ho gaya hai ye tera veeraana
num zarkhiz zameen ho jis dil ki
waan asan hai gulon ka lag jaana
maali ko hai roghbat her us dil say
nazar-e-karam ka hai ye nazrana

Wednesday, May 8, 2019

Mai kahan hun in khakon may...............................



ye mai nahi hun maano tou
tum hi tum ho pehchano tou
mai kahan hun in khakon may
ye tum hi tum ho ankhon may
jo rang chura kar hum aaye hain
ye sang tumhara daman laaye hain
umar guzaari thi bandh ankhon may 
tum se hi hosh ke lamhe paaye hain
tujhe be-khudi yaad bhala ab kon kare
tujh may hi jaan meri hum doob mare
maana tha vo qismat ka ek kheil sahi
ek bunnd ka pyasi dharti se male sahi
taqdeer aksar yon bhi samjhane aati hai
jub tak chot hari hai ye tera saathi hai
haqeeqat jub khwab si lagne lagti hai
qudrat yon hi perdon ke peeche milti hai
ye kheil nasibon ka hota hai dilwalon se
rab khush hota hai aise hi matwalon se